★بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم★لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ★اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ★
YaNabi.in
Shaan-e-Ghaus-e-Azam رضی الله عنہ all post - Tasawuf Discussions on

Shaan-e-Ghaus-e-Azam رضی الله عنہ all post

edited January 2017 in Tasawuf

~@ Shaan-e-Ghaus-e-Azam رضی الله عنہ @~
Post #1:-

Zaroor padhein...
Warna phir na kehna maine bataya nahi tha !


Khankah me ek ba-parda khatun apne munne ki lash chadar me liptaye,sine se chimtaye zar-o-katar ro rahi thi.
Itne me ek "Madani Munna" daudta hua aata hai aur ham-dardana lehje me us khatun se rone ka sabab daryaft karta hai.

Woh rote hue kehti hai,
"Beta !
mere shohar apne lakhte jigar ke deedar ki hasrat liye duniya se rukhsat ho gaye hai,
Yeh baccha us waqt peth me tha aur ab yeh hi apne baap ki nishani hai
Aur
meri zindagani ka sarmaya tha yeh bimar ho gaya main isse issi khankha me dum karwane la rahi thi ki raste me isne dum tod diya hai,
main phir bhi badi umeed lekar yahan haazir ho gayi ki is khankha wale buzurg ki wilayat ki har taraf dhoom hai aur inki nigaahe karam se ab bhi bahut kuch ho sakta hai magar woh mujhe sabr ki talkin karke ander tashrif le ja chuke hain."

Yeh kehkar woh khatun phir rone lagi.

Madani Munne ka dil pighal gaya aur us ki rehmat bhari zubaan par yeh alfaz khelne lage,
"Mohtarma !
Aapka munna mara hua nahi balki zinda hai !
Dekho toh sahi !
Woh harkat kar raha hai..."

Dukhyari Maa ne betabi ke saath aapne 'Munne ki Lash' par se kapda uthakar dekha toh woh sach-much zinda tha aur haath pair hila kar khel raha tha...

Itne me khankha wale buzurg ander se wapas tashrif laye
Bacche ko zinda dekhkar saari baat samajh gaye aur laati utha kar yeh kehte hue 'Madani Munne' ki taraf lapke ki,

"Tune abhi se takdir-e-khudawandi ke sar-basta raaz kholne shuru kar diye hain..."

Madani Munna wahan se bhag khada hua aur woh buzurg uske peeche daudne lage,
'Madani Munna' yaka-yak Qabristan ki taraf muda aur buland aawaz se pukarne laga,
"Aye Qabr Walon !
Mujhe Bachao !"

Tezi se lapakte hue buzurg achanak thithak kar rukh gaye,
kyunki
qabristan se teen sau (300) murde uth kar 'Madani Munne' ki dhal ban chuke the
aur woh Madani munna door khada aapna chand sa chehra chamkata muskura raha tha...

Un buzurg ne badi hasrat ke saath Madani munne ki taraf dekhte hue kaha,
"Beta !
Hum tere martabe ko nahi pohach sakte,
Isliye teri marzi ke aage aapna sar-e-Taslim kham karta hun..."

Meethe meethe Islami Bhaiyon !
Aap jaante hain woh 'Madani Munna' kaun tha ???

Us Madani munne ka naam

"Abdul Qadir" tha aur aage chal kar woh "Ghaus-ul-Azam رضی الله عنہ" ke lakab se mashoor hue...

{Book->Munne ki lash
Page no.1-3
By Dawat-e-Islami}
الحمدلله عزوجل
Yeh Shaan hai "Peerane Peer" ki...

Ishi ke saath aapne naye topic ka pehla post padhliya hai aur aage aane wale posts bhi zaroor padhein jiska topic ka naam hai,

"~@ Shaan-e-Ghaus-e-Azam رضی الله عنہ @~"

جزاك الله خيرا... For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

"Namaz Pado Isse pehle Tumhari Namaz (Janaza) padayi Jaye !"

Please Share if Possible...


Tagged:

Comments

  • ~@ Shaan-e-Ghaus-e-Azam رضی الله عنہ Post #2 @~

    <<<- Bachpan Sharif ki saat (7) karamatein ->>>

    Meethe Meethe Islami bhaiyon
    Hamare Ghaus-ul-Azam ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ علي Maadar-jad Wali the !

    1)->
    Aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ علي abhi aapne maa ke peth me the aur Maa ko jab cheenk aati aur is par jab woh الحمدلله kehti toh Aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه peth hi me jawaban یرحمک اللہ kehte...

    2)->
    Aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه 
    1st Ramzan-ul-Mubarak baroz peer subha sadiq ke waqt duniya me jalwagar hue us waqt honth aahista aahista harkat kar rahe the aur Allah-Allah ki aawaz aa rahi thi...

    3)->
    Jis din Aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ki wiladat hui us din Aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ke diyare wiladat Jilan Sharif me Gyarah Sau (1100) bacche paida hue woh sab ke sab ladke the aur sab Wali-ullah bane...

    4)->
    Ghaus-ul-Azam ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ne paida hote hi Roza rakh liya aur jab suraj ghurub hua us waqt Maa ka dudh nosh farmaya...

    5)->
    Paach (5) baras ki umar me jab pehli baar بِسْمِ اللَّه padhne ki rasam ke liye kisi buzurg ke paas baithe toh " اعوذ " aur بِسْمِ اللَّه padhkar surah fatiha aur الم
    se lekar atthara (18) paare (Quran) padh kar suna diya...
    Us buzurg ne kaha,
    "Beta !
    Aur padhiye"
    Farmaya,
    "Bas mujhe itna hi yaad hai kyunki meri Maa ko itna hi yaad tha,jab main aapni Maa ke peth me tha,us waqt woh padha karti thin,
    Maine sunkar yaad karliya tha."

    6)->
    Jab Aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ladak-pan me khelne ka irada farmate,
    Gaib se aawaz aati,
    "Aye Abdul Qadir !
    Humne tujhe khelne ke wasite nahi paida kiya."

    7)->
    Aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Madarse me tashrif le jaate toh Aawaz aati,
    "Allah عزوجل ke wali ko jagah dedo..."

    (Book-Munne ki lash
    Page no.3-4
    By Dawat-e-Islami)
    الحمدلله عزوجل
    Yeh Shaan hai "Peerane Peer" ki...

    "Do Aalam me hai Kaun Haami Hamara,
    Yahan (Duniya Me) Ghaus-e-Aazam
    Wahan (Mehshar me) Ghaus-e-Aazam..."

    Al-Madad Ya Ghaus-e-Azam 

  • ~@ Shaan-e-Ghaus-e-Azam رضی الله عنہ @~ Post #3 :-

    Ek baar baghdad mualla me taun ki bimari fail gayi aur log dhada-dhad marne lage...

    Logon ne Aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ki khidmat me is musibat se najat dilane ki darkhast pesh ki...

    (Aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ne) Farmaya,
    "Hamare madarse ke ird-gird jo ghas (grass) hai woh khao aur hamare madarse ke kuye (well) ka paani piyo,
    jo aisa karega woh
    انشاء الله عزوجل
    Har marz se shifa payega."

    Chunanche ghas aur kuye ke paani se shifa milni shuru ho gayi yahan tak ki Baghdad sharif se Taun aisa bhaga ki phir kabhi palat kar na aaya...

    "Tabkate Kubra" me Ghaus-e-Azam ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ka yeh irshaad bhi nakal kiya gaya hai,

    "Jis Musalman ka mere madarse se guzar huwa qayamat ke roz us ke Azaab me Takhfif (kami) hogi."

    Allah ki unpar Rehmat ho aur unke sadqe hamari Magfirat ho !

    (Book-Munne ki lash
    Page no.7,
    By Dawat-e-Islami)

    الحمدلله عزوجل
    Yeh Shaan hai "Peerane Peer" ki...

    "Khuda ke fazl se hum par hai Saaya Ghaus-e-Aazam ka,
    Humein dono Jahaan me hai Sahara Ghaus-e-Aazam ka..."
    الحمدلله

    Al-Madad Ya Ghaus-e-Azam 

  • ~@ Shaan-e-Ghaus-e-Azam رضی الله عنہ @~ Post #4:-
    Ek baar Sarkar-e-Baghdad Huzoor Sayyeduna Ghaus-ul-Azam ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه dariya ki taraf tashrif le gaye,
    wahan ek budhiya ko dekha jo Zar-o-katar ro rahi thi.
    Ek Mureed ne bargah-e-Ghausiya me arz ki,
    "Ya Murshidi !
    Is Zaifa ka iklota khub-ru beta tha,bechari ne uski shaadi rachayi dulha nikah karke dulhan ko ishi dariya me kashti ke zariye apne ghar la raha tha ki kashti ulat gayi aur dulha dulhan samet saari baraat dub gayi.
    Is waqiye ko barah (12) baras guzar chuke hain magar Maa ka jigar hai,be-chari ka gum jata nahi hai,yeh rozana yahan dariya par aati aur baraat ko na paa kar ro-dho kar chali jaati hai."
    Huzoor Ghaus-e-Azam ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ko is zaif (yaani budhiya) par bada taras aaya,aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ne Allah عزوجل ki bargah me dua ke liye haath utha diye, chund minute tak kuch bhi zuhur na hua, be-tab hokar bargah-e-Ilahi عزوجل me arz ki,
    "Ya Allah !
    Is qadr takhir kyun ?
    Irshaad hua,
    "Aye Mere Pyaare !
    Yeh takhir khilaf-e-takdir-wa-tadbir nahi hai,
    Hum chahte toh ek hukm 'Kun' se tamam zameen wa Aasman paida kardete magar ba-muktjaye hikmat 6 din me paida kiye,
    baraat ko dube 12 saal beet chuke hain, Ab na woh kashti baaki rahi hai na hi uski Suwari, Tamam Insaanon ka ghost wagaira bhi dariyai janwar kha chuke hain,
    Reze-reze ko Azzaye-jism me ikkhatta karwakar dobara zindagi ke marhale me dakhil kar diya hai,Ab unki Aamad ka waqt hai."
    Abhi yeh kalam ikhtatam ko bhi nahi pohacha tha ki Yaka-yak woh kashti aapne tamam tar Saaz-o-Saaman ke saath ma Dulha Dulhan wa baraati Sateh Aab par namudar ho gayi aur chund hi lamhe me kinaare aa lagi,
    Tamam baraati Sarkar-e-Baghdad ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه se Duayein lekar khushi-khushi Apne ghar pohachein.
    Is Karamat ko Sunkar be-shumar Kuffar ne Aa-Aa kar Sayyeduna Ghaus-e-Azam ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ke dast-e-Haq Parast par Islam qubul kiya.
    (Book-Munne ki lash
    Page no.7-8,By Dawat-e-Islami)
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~
  • ~@ Shaan-e-Ghaus-e-Azam رضی الله عنہ @~ Post #5:-
    Ek martaba bargah-e-Ghausiyat ma-aab me hazir ho kar logon ne Arz ki,
    "Aali-jaah !
    'Babul Ajanja' ke qabristan me ek qabr se Murde ke chikne ki Aawaz aa rahi hai.
    Huzoor !
    Kuch Karam farmaya dijiye ki bechare ka Azaab door ho jaye."
    Aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ne Irshaad Farmaya,
    "Kya usne mujhse khikreye khilafat pehna (Yaani kya woh mera mureed) hai ?"
    Logon ne arz ki,
    "Humein malum nahi."
    Aapne ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ne farmaya,
    "Kya kabhi woh meri Majlis me hazir hua hai ?"
    Logon ne la-ilmi ka izhar kiya.(yaani kaha humein malum nahi)
    Aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ne farmaya,
    "Kya usne kabhi mera khana khaya ?"
    Logon ne phir la-ilmi ka izhar kiya.
    Aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ne pucha,
    "Kya usne kabhi mere peeche Namaz Ada ki ?"
    Logon ne wohi jawab diya.
    Aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ne zara sa sar-e-Aqdas jhukaya toh Aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Par jalal wa waqar ke aasar zahir hue.
    Kuch der ke baad Farmaya,
    "Mujhe abhi-abhi firishton ne bataya,
    'Usne aap ki ziyarat ki hai aur usse aapse Aqidat bhi thi lihaza Allah Tabarak-wa-ta'ala ne us par Reham kiya."
    الحمدلله عزوجل
    Uski qabr se Aawaz aana band ho gayi...
    (Book-Munne ki lash
    Page no.16-17,By Dawat-e-Islami)
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~
  • ~@ Shaan-e-Ghaus-e-Azam رضی الله عنہ @~ Post #6:-
    "Shaikh Abdullah Bin Ahmed Baghdaadi ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Se Naql Hain Ki,
    "Ek Shaks Asfahaan Ka Rehne Wala Hazrat Abdul Qadir Jilani ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Ki Khidmat May Haazir Hua Aur Arz Karne Laga Ki,
    "Meri Biwi Ek Muddat Se Bimaari May Mubtala Hain Aur Koi Dawa Ya Dua Asar Nahi Karti."
    Hazrat Abdul Qaadir Jilani ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Ne Farmaya Ki
    "Vaadi-e-Sarandeep Ka Ek Sarkash Jinn Hain Jiska Naam Haanis Hain,
    Jab Teri Biwi Ko Sara Ka Daura Ho To Uske Kaan May Kehdena Ki,
    'Aye Haanis !
    Hazrat Shaikh Abdul Qaadir Jilani ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Farmate Hain,
    "Tu Apni Sarkashi Se Baaz Aa
    Warna Maar Diya Jayega !"'"
    Uske Baad Wo Shaks Asfahaan Chala Gaya.
    Jab 10 Saal Ke Baad Aaya To Kehne Laga Ki,
    "Ya Sayyidi !
    Jaisa Ki Aapne Farmaya Tha Waisa Hi Kiya,
    Us Din Ke Baad Fir Kabhi Daura Na Pada."
    (Masalikus-Saaliheen, Pg-344)
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~
  • ~@ Shaan-e-Ghaus-e-Azam رضی الله عنہ @~ Post #7:-
    Ek ghamgeen naujawan ne aakar bargah-e-Ghausiyat me Faryad ki,
    "Huzoor !
    Maine aapne Walide marhum ko raat khwab me dekha Woh keh rahe the,
    "Beta !
    Main azab-e-Qabr me mubtila hun,
    Tu Sayyiduna Shaykh Abdul Qadir Jilani ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ki bargah me hazir ho kar mere liye dua ki dar-khwast kar."
    Yeh sun kar sarkare Baghdad Huzoor-e-Ghaus-e-Azam ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ne Istifsar Farmaya,
    "Kya Tumhare Abba-jaan mere Madarse se kabhi Guzre hain ?"
    Usne Arz ki,
    "Ji Haan !"
    Bas Aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه khamosh ho gaye.
    Woh nau-jawan chala gaya.
    Dusre Roz khush-khush Hazir-e-khidmat hua aur kehne laga,
    "Ya Murshidi !
    Aaj Raat walide Mehrum Sabz Hulla (yaani Sabz Libaas) zeb-e-tan kiye khwab me tashrif laye,
    Woh be-had Khush the,keh rahe the,
    "Beta !
    Sayyiduna Shaykh Abdul Qadir Jilani ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ki barkat se mujh se Azaab door kar diya gaya hai aur yeh sabz hulla bhi mila hai.
    Mere pyaare Bete !
    Tu inki khidmat me raha kar."
    Yeh sunkar aap ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ne farmaya,
    "Mere Rab ne Mujh se wada farmaya hai ki jo Musalman tere madarse se guzrega uske Azab me Takhfif (yaani kami) ki jayegi."
    (Book-Munne ki lash
    Page no.15-16,
    By Dawat-e-Islami)
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~
  • Share :-)  Shaan-e-Ghaus-e-Azam رضی الله عنہ all post http://yanabi.in/u/4
Sign In or Register to comment.
|Donate|Shifakhana|Urdu/Hindi|All Sunni Site|Technology|