★بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم★لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ★اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ★
YaNabi.in
KIYA APKO KABHI IN BIDA'ATON KE BARE MEIN BATAYA GAYA? Aksar aisa dekha gaya hai - Ja-al-haq Discussions on

KIYA APKO KABHI IN BIDA'ATON KE BARE MEIN BATAYA GAYA? Aksar aisa dekha gaya hai

KIYA APKO KABHI IN BIDA'ATON KE BARE MEIN BATAYA GAYA?
Aksar aisa dekha gaya hai ke kuch firqa parast maulvi hazrat awamun naas ko Meelad,Juloos,Urs wagairah ke bare me yeh kahkar bahkate hain ke yeh sab amoor Bida'at hain aur har bida'at gumrahi hai aur har gumrahi jahannam me le jayegi.
Kiya is tarah ke firqa parast maulvi saheban ne kabhi apko bataya ke yeh bhi bida'at hain
1-Musalman bachchon ko iman mujammil aur iman mufassil yad karana ke iman ki yeh dono qismen aur inke yeh dono naam bida'at hain.
2-Kalmon ki ta'adad ,unki tarbiyat aur unke naam sab bida'at hain.
3-Qura'an shareef ke 30 pare banana,inmen ruku qayem karna,ayraab ya'ani zer o zabar lagana ayaton ka no lagana sab bida'at hai.
4-Hadees ko kitabi shakal mein jama'a karna,Hadees ki qismen banana ke yeh sahi hai yeh hasan hai yeh zaeef hai bida'at hai.
5-Usool hadees aur usool fiqha ke sare qayede qanoon bida'at hain.
6-Ramzan mein ek jama'at se pure mahine taraweeh par hameshgi karna bida'at hai Bukhari shareef mein Umar Radi Allahu anho ne khud farmaya "Neamal bida'ato Hazehi" yaani yeh behtareen bida'at hai.
7-Sehri ki niyat aur Iftar ki dua ho padhte hain dono bida'at hain.
8-zakaat mein maujuda sikka ada karna aur rupiya paisa se sadqaye fitr ada karna bida'at hai.
9-Mike pe azan o namaz bhi bida'at hai nez namaz ka waqt muqarrar karna ke isha ki namaz 8 bajkar 05 minute par yeh bhi bida'at hai.
10-Hawai jahaz ke zariya hajj ke liye jana bhi bida'at hai.
Aur is tarah 10 nahi balke sainkron bida'at ginaye ja sakte hain.
Ap kahenge ke nahi,hamen to in bida'aton ke bare me kabhi nahi bataya gaya.To sawal paida hota hai ke akhir kiya wajah hai ke yeh sirf un bida'aton ke bare mein awam ko gumrah karte hain jismen Tazeem e Nabi SallAllahu alaihe wasallam hota hai?Kahin aisa to nahi ke inke dil mein bughz e Nabi SallAllahu alaihe wasallam bhara hua hai?Aise logon se dur rahne ki zarurat hai.
Ab dusri baat,agar inki baat ko man liya jaye ke har bida'at gumrahi hai aur har gumrahi jahannam me le jayegi tab to 7 kalma padhne wala,Maujuda Qura'an padhne wala,tarawih ki namaz jama'at se padhne wala,Hadees ki kitab padhne wala,Ilm hadees o ilm fiqha hasil karne wala sab ke sab bida'ati o gumrah huye???(Maaz Allah) kiyunki bida'at ka aam ma'ana yahi hai ke jo kaam Nabi SallAllahu alaihe wasallam ke ahde risalat ke ba'ad musalmanon me rayej hua woh bida'at hai.
Malum hua ke har bida'at gumrahi nahi hai.Hadees me jo aya hai ke "Har bida'at gumrahi hai" isse murad woh bida'at hai jo Qura'an o Sunaat ke khilaf ho.
Misal ke taur par koi fajar ki 2 raka'at sunnat ki jagah 3 padhe,Koi ramzan ke 30 roze ki jagah 40 rakhe,taqdeer ka inkar kare,zakaat ka inkar kare wagairah to yeh sab bida'at sayyiah hain aur in hi bida'aton ke bare me hadees mein kaha gaya ke "Kullu bida'atin zalalah" ke har woh bida'at jo qura'an o sunnat ke khilaf ho woh gumrahi hai aur jahannam me le jane wali hai.
Sign In or Register to comment.
|Donate|Shifakhana|Urdu/Hindi|All Sunni Site|Technology|