★بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم★لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ★اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ★
YaNabi.in
Kiya Har Bida'at Gumrahi hai? - Ja-al-haq Discussions on

Kiya Har Bida'at Gumrahi hai?

Kiya Har Bida'at Gumrahi hai?

 "كل بدعة ضلالة وكل ضلالة في النار"

Har bida'at gumrahi hai aur har bid'at ka anjaam jahannam hai.
(Sahi Muslim,Hadith-867&Sunan Nasai-Hadith 1579)

Doston,jaisa ke ap jante hain ke Iron factory se sirf iron nikalta hai aur paper factory se sirf paper.
Isi tarah ka ek naya factory wajood me aya hai jise hum aur ap "Wahabi Fatwah Factory" ke naam se jante hain aur is factory se sirf "Shirk o Bid'dat" ka fatwah nikalta hai.
Is factory ne chunki nai nasal ke brain wash karne ke liye technology aur chamak dhamak ka istemal kiya(Peace Tv,Peace Conference etc) jisse ke nai nasal ke kuch nawjawan asani se inka shikar ban gaye aur inhe hi tawheed parast samajhne lage baaki tamam musalman ko ya to yeh mushrik ya bida'ati tasawwur karne lage.Upar pesh ki gai hadith ko yeh nawjawan nasal musalmao ke har naye amal par chispa karte hain aur unhe bida'ati qarar de kar jahannam ka certificate bhi de dete hain.

Kiya Har Bida'at Gumrahi hai?Upar ki hadees ka kiya matlab hai?

Imam Nawawi is hadees ke talluk se farmate hain ke:Biddat ke masle me 'Har'(kull) ke masle me bahot khayal rakhna chahiye ki 'Har nayi chiz Biddat hai, aur har Biddat gumrahi hai'.Jab Nabi sallallaho alaihe wasallma ne farmaya ki 'Har Bida'at' to yahan par matlab aam hai lekin sakht hai., ki Bahot Bida'at gumrahi hoti hain, lekin sab nahi hoti.“Tahdhib Al-Asma wal Lughat” me Bid’ah kuch is tarah se bayan ki Gayi hai.
"Shariat me Bida'at use kehte hain, jo Nabi sallallaho alaihe wasallam ke zamane me maujud na ho, aur ye 2 qism ki hoti hain, ek HASNAH(Achhi) aur dusri SAIYYAH(Buri)"
(Imam al-nawawi: Vol.6, p.21 in his “Commentary on Sahih Al-Muslim”)

Imam Shafai Rahmatullah alaihe ne bhi is hadees ki tashreeh isi tarah ki hai jise Imam Baheqi ne riwayat kiya hai.

Malum hua ke is hadees me har bida'at se murad bida'at e zalala hai jo Quran o Sunnat ke khilaf ho.
Jaise ke koi kahe ke ramzan ke woh 20 roze hi rakhega ya koi zakaat dene se inkar kare ya koi 5 ki jagah 6 waqt ki namaz padhne lage ya koi taqdeer ko na mane ke yeh sab amal Quran o Sunnat ke khilaf amal hain aur bida'at zalala hain.

Iski hadees me kai misalen pai jati hain

Ek Shaks ne Umar Faruq Radi Allaho anh ko salam bheja, to aapne famaya:
Mai us Shaks ka salam qubul nahi karta jo Deen me bida'at karke Qadariya firqe se ho gaya.
[Miskat, Kitaab-ul-Iman wa-al-Qadr, transmitted by Abu Dawood, Tirmidhi and Ibn Majah]

Qadiriya us firqe ko kahte hain jo taqdeer ka inkar karta hai jo ki Quran o Sunnat ke khilaf hai.Taqdeet par iman rakhna sunnat se sabit hai aur iska inkar karne wala bida'ati hua.

 Bida'at e hasnah yani achchi bida'at:

Umar Farooque Radi Allaho anh ne masjid e nabwi me namaziyon ko tarawih ki namaz me ek qaari ki piche jamaat me ikatha karne ke ba'ad farmaya.

"Ne'amal Bida'ato Hazehi"

Yeh Kitni Achi Bida'at hai.
(Sahi Bukhari,Kitab-Salatut Tarawih,Jild 2,Hadees 707)

Qadiriya ke salam ka jawab na dekar aur use bida'ati qarar dekar hamen bida'at zalala yani buri bida'at ke bare me bataya.
Aur is hadees me khud apni mubarak zaban se tarawih ki jama'at ko bida'at hasnah kahkar hamen sikha diya ke har bida'at gumrahi nahi hoti balki kuch achi bida'at bhi hoti hain.

Sahaba karam,Tabayeen'Taba Tabayeen se lekar ab tak tamam classical scholars ne bida'at ko aise hi samjha aur logon ko samjhaya yani achi bida'at aur buri bida'at.

Agar in scholars ke naam hi yahan darj kiye jayen to yeh article sirf naam se bhar jaye.
Is liye ise mukhtasar rakhte huye hum sirf Imam zahbi ko quote karte hain kiyunki yeh wahabiyon ke nazdeek bahot mu'atbar mane jate hain.

Imam zahbi farmate hain

المحدثات من الأمور ضربان ما احدث
يخالف كتابا او سنة او اثرا او اجماعا فهذه البدعة ضلالة وما احدث من الخير لا خلاف فيه لواحد من هذا فهذه محدثة غير مذمومة قد قال عمر في قيام
رمضان نعمت البدعة

Bidat ki 2 Qisme hain, ek to wo hai ki jo Quran, Sunnat, Asaar, aur
Ijma-e-Ummat ke khilaf ho, wo Bidat-e-Zalala(Gumrahi wali Bidat) hai,
aur Dusri Qism me wo Bidat hain, jo achhe kaam ke liye kiya jaye, to aisi Bidat ko na-pasand nahi kiya jayega.
Aur tabhi to H.Umar r.a ne tarawih ke liye farmaya tha ‘Kitni Achhi Bidat hai’
[Imam Dhahabi in As Siyar al Alam an Nabula, Volume 10, Page No. 70]

Conclusion:Deen me woh naya kaam jo quran o sunnat ke khilaf ho bida'at zalala hai aur jitni bhi hadees bida'at ke khilaf ayi hain woh isi qism ke bida'at ke mutallik ayi hain.

Aur Deen me woh naya kaam jo quran o sunnat ke khilaf na ho bida'at hasnah kahlata hai.
Aur deen me koi acha kaam shru karne se sawab bhi milta hai

Hadees:
Jo Deen Me Acha Kaam Ejaad Karey Usko Aur
Jo Is Par Amal Karenge
Unko Bhi Sawab Jabke Ejaad Krne Wale Ko Inke Barabar Sawab Milega
Jo Deen Me Bura Kaam Ejaad Kare Usey Gunah Hoga
Aur Jitne Log Isko Karenge Unko Aur Unke Barabr Isey Gunah Hoga
(Muslim V#1, P#327)
(Tirmizi V#2, H#872, P#239)

Allah hamen deen ki sahi samajh ata kare aur Bida'at zalala aur wahabi fitne se bachaye-Ameen
Sign In or Register to comment.
|Donate|Shifakhana|Urdu/Hindi|All Sunni Site|Technology|