★بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم★لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ★اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ★
YaNabi.in
Namaz me Astin ya pajame ya koi aur kapde ko morh (fold) karna Makruh e Tehrimi hai fir padna hoga - Mas'la Masayel Discussions on

Namaz me Astin ya pajame ya koi aur kapde ko morh (fold) karna Makruh e Tehrimi hai fir padna hoga

Namaz me Astin ya pajame ya koi aur kapde ko morh (fold) karna Makruh e Tehrimi hai (yani haram karib)

Is Amal Ke Sabab Namaz Lotaana WAAJIB He

[Bukhari Sharif, Jild 1 Page: 113] [Muslim Sharif Jild 1 Page: 193] [Tirmizi Sharif Jild 1 Page 22] [Abu Dawood Sharif Jild 1 Page 94]

SARKAAR ﷺ nay irshad farmaya Mujhe Saat Haddiyon [do hathilian, do ghutny, dono kadam or peshaani) par sajda karne aur Baal aur Kapde na Urasne (Na fold karna) ka hukam diya gaya hai.

[Sahih Muslim Sharif, Hadith No. 1076] [Sahih Bukhari Sharif: Hadith No. 774]

ab koi ye bahana banaye ki hamare pajame takhno se niche hai aur takhno se niche pajame jaiz nahi isliye fold karte hai tou unke liye yehi suggestion hai ki woh pant ya pajame takhno se upar tak hi silwaye, kyunki takhno se niche tak silwana takabbur me shamil ho jata hai.

video:






Sign In or Register to comment.
|Donate|Shifakhana|Urdu/Hindi|All Sunni Site|Technology|