★بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم★لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ★اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ★
YaNabi.in
~@ Very Important Question @~ Question-> - Mas'la Masayel Discussions on

~@ Very Important Question @~ Question->

~@ Very Important Question @~

Question->
ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ

Mera sawal yeh hai ki kya bhabhi aur devar mein jo masti mazak,touch,joke
ya
kuch bhi freely kar sakte hai ya devar se (Cousins se) bhi parda karna chahiye bhabhi ko ???

Agar bhabhi ko Maa kehte/Mante hai toh us waqt kya conditions lagu hogi ?

Answer->
وعلیکم السلام ورحمت الله وبرکات
Dekhiyay bhai dewer aur bhabi aik dosrey ke na-mehrum hoty hain,(Cousins bhi aapas me Gair Mehram hi hote hain)

lehaza bhabi ka dewer sey (Ya Cousins se) weisy he perda hai jeisy aik ajnabi mard sey hota hai,

sirf maa beta bol deiny sey koi haqeeqi ahkaam maa beity waly apply nahi ho jaty hain,
lehaza na he yeh aik dosrey ko touch ker sakty hain aur na he aik dosrey k sath masti waghera ker sakty hain,
"ager karain gey tou gunahgar hon gey."

Question (Extended)->
bhai mene (Ameer-e-Ahle-Sunnat se) suna hai ke Devar bhabhi ke liye Maut hai ya aesa kuch ? hadees me hai ?

Answer->
G han yeh hadees-e-paak ka mafum hai,

AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم sey poocha gaya k kya dewer bhabi ka per perda hai,
tou SARKAR صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya k,
"dewer tou moat hai."

واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
(عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)

جزاك الله خيرا... For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

"Namaz Pado Isse pehle Tumhari Namaz (Janaza) padayi Jaye !"

Please Share if Possible...

Sign In or Register to comment.
|Donate|Shifakhana|Urdu/Hindi|All Sunni Site|Technology|