★بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم★لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ★اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ★
YaNabi.in
~@ April Fool Banana Kaisa @~ - Mas'la Masayel Discussions on

~@ April Fool Banana Kaisa @~


~@ April Fool Banana Kaisa @~
"Shaikh-e-Tarikat
'Ameer-e-Ahle-Sunnat'
Hazrat Maulana Muhammed Ilyas Attar Qadri Razavi Ziya دامت برکاتہم العالیہ" ka Farman,
"APRIL FOOL Manana NA-Jaiz Aur Haram Hai
Jo Ye GUNAH Kar Chuke Hain Wo Tauba Karen Aur Huqooq-Ul-Ibaad Bhi Muaaf Karwain."
( Madani Muzakra 1431/4/8 )
Humein chahiye Jinko jhooth bolkar pareshan kiya dhoka diya agarche mazak me hi kiya ho un sab se Apni galti ki Muafi Zaroor Mange...
Hadees-e-Paak Me aata hai,
"Us Shakhs Ke Liye Khraabi Hai Jo Baat Karte Hue Logo Ko Hasane Ke Liye Jhooth Bolta Hai
Uske Liye Khraabi Hai
Uske Liye Khraabi Hai..."
(MISHKATUL MSABIH Jild 3 Page No 41 Hadis No 4835
SUNNE TIRMIZI Jild 4 Page No 142 Hadis No 2322)
الله اکبر
1st April Ho Ya Koi bhi Din ho Jhooth Hargiz Mat Boliye kyunki jhooth bolna toh acchi baat hai hi nahi
Aur
"Jhooth Bolne Ki Aadat Ka ek bahut Bada Nuksaan Ye Bhi Hai, Ke Jhooth Bolne Wala Jab Sach Bolta Hai Tab Bhi Log Uski Baat Par Yakeen Nahi Karte aur uski sacchi baat ko jhooth Samajhte hain."
Aur waise bhi
Mazak Me Bhi Jhooth Bolne Ki Islam Me Ijazat Nahi,
Jab Ki
Dusro Ne Jhooth Ke Liye Bhi Ek Khaas Din (1st April) Tey Kar Rakha Hai...
Khabardar
Musalmano kabhi bhi inki Naql mat karna,
Hamare dost ya kisi aur ke kehne par bhi humein yun jhooth nahi bolna chahiye na Hi koi galat kaam karna chahiye
Quran-e-Majeed me Irshad hota hai,
"Aur Aye Sunne wale (Musalman) Zameen me aksar woh hain ke Tu Unke kahe par chale toh tujhe Allah ki Rah se bhatkadein woh sirf ghumaan ke peeche hain aur nare atkal daudate hain"
{Surah-Al-Ana'am,Ayat no.116}
الله اکبر
Jhooth Se Aur Jhootho Se Hamara Koi Talluk Nahi Hamare Deen Me Jhooth Ke Liye Koi Jagah Nahi
April Fool Banane Se Bachiye
Aur
1st April Ke alawa bhi Mazak Me Bhi Jhooth bolne se aur logon ko pareshan karne se bachein
Allah humein Padhkar samajhne ke saath saath amal ki Taufiq ata farmaye...
Aur
Ise Msg Ko Aam Kar Ke Dusro Ki Islaah Ka Zariya Baniye !
جزاك الله خيرا... For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ (ﷺ)
~●~●~●~●~
‪#‎BoycottAgainstIsraelContinues‬
"Namaz Pado Isse pehle Tumhari Namaz (Janaza) padayi Jaye !"
Please Share if Possible...
Sign In or Register to comment.
|Donate|Shifakhana|Urdu/Hindi|All Sunni Site|Technology|