★بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم★لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ★اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ★
YaNabi.in
~@ ﷽ Musalman Aur Social Media @~ all post - Mas'la Masayel Discussions on

~@ ﷽ Musalman Aur Social Media @~ all post

edited May 2016 in Mas'la Masayel
~@ ﷽ Musalman Aur Social Media @~ {Post no.01 (of 21)}Topic #00->


Clarification...If You're a Muslim be Like a Muslim !!!الْحَمْدُ للَّهِ رَبِّ الْعَـلَمِينَالصلوٰۃ والسلام علیک یا رسول اللہYeh Post's ki Series unke Liye hain Jo khud ko Musalman kehte hainAllah عزوجل aur uske Rasool ﷺ ki baat ko Haq Janta haiQuran aur Hadees ke Hukm ko Manta haiAgar aap inme se hain toh aapko yeh aane wale Post's samajh me aayegiWarna ho sakta hai kisko aane wale Post's se Problem ho aurAitraaz kareKyunki In Post's me Musalmano ko mukhatib kiya gaya hai aiso ko nahi Jo shariat ke kisi hukm par kahein,->Itna Sab kaun dekhta hai/->Apni Life hai/->My Life My Rules/->Toh kya Kuch bhi na karein/->Ek Hi toh life hai yaar/->Aisa thodi hai/->Sab chalta hai/->Itna amal karenge to jee hi nahi payenge/->Sab Log toh karte hain/->Aaj-Kal Zamana aisa hai/->Sab ki wajah se karna padta hai/->Zamane ke saath chalna padta hai etc...Mere Pyaare bhai Duniya Me Ek hi Deen Saccha hai Aur Woh"Deen-e-Islam" hai aur Sab Kuch nahi chalta hai Woh Chalta hai Jo Allah aur uske Rasool ﷺ ka Farman hai unka hukm haiQuran Aaj bhi woh hi hai Hadeesein aaj bhi woh Hi hain aur Qayamat tak koi tabdili nahi hogi Inme kyunki yeh Rehti Duniya ke liye Hidayat hainAaj kuch badla hai toh Zamana badla hai magar Jo kaam 1400 saal pehle Najaiz ya Gunaah tha woh aaj bhi Najaiz aur Gunaah Hi haiLihaza Humein Ilm-e-deen seekhna chahiye aur shariat par amal karne ki koshish karni chahiye warnaJo Allah aur Uske Rasool ﷺ ki baatein nahi mante isse inkar ya iske khilaaf karte hain Unke ke Liye Allah ne Pehle hi Wazeh Ailaan kardiya hai Apni Kitaab me,Chunanche,Quran-e-Kareem me Irshad hota hai,"Jis din Unke Muh Ulat-Ulat kar Aag me tale jayen Kehte honge'Haaye ! Kisi tarha !Humne Allah ka Hukm Mana hota aur Rasool ka Hukm Mana hota'."{Surah Ahzab->66}Aur kahenge jab taqlif me honge,"Ab Hum Apne Gunaho par mukeer hue (Ikraar kiya)toh Aag se nikalne ki bhi koi raah hai ???"{Surah Momin->11}Magar Ab koi rasta na hoga...Sirf aur sirf Afsos,Sharmindagi hogi Aur Hasrat hogi ki Aye Kash ! Main Gunaah na karta aur Aakhirat ke Liye Kuch Sawaab ikhatta karliya hota...Quran-e-Majeed Me Irshaad hota hai,"Kahega Haaye kisi tarha Maine jeete-jee neki aage bheji hoti..."{Surah Al-Fajr->24}Pyaare Bhai Marna toh hai hi ek din iska koi inkaar nahi kar sakta toh ab Aqalmand Insaan woh Hi hai jo Maut se pehle Maut ki tayyari karleAaqa ﷺ ne farmaya (Mafum),"Duniya Kafiro ke Liye Jannat hai Aur Momino ke Liye Qaid khana..."Toh iss Muktasar si zindagi ko Gunaah se bachte hue Nekiyo me guzarne ki koshish karein Yeh Duniya Faani hai khatam ho jane wali hai isme Aap kitne saal jiyenge 50-60-70 ya 100 saal ???Magar Marne ke Baad wali zindagi hamesha baaki rahne walihai kabhi khatam na hogi Ab yeh hamare upar hai ki Hum Jannat me jaane wale amal karna chahte hain ya Dozak me""'Yeh duniya-e-faani hai mehboob tujhko ???Huwi waah kya chiz marghoob (Desirable) tujhko ???Nahi aqal itni bhi majzoob (Possessed) tujhko ???Samajh lena ab chahiye khoob tujhko,Jaga Jee Lagane ki Duniya Nahi hai,Yeh Ibrat ki Jaa hai Tamasha nahi hai..."""Social Media ke zariye ek tadad hai Jo Galat kaam kar rahi hai aur unhe khabar bhi nahiIss Post se Mind Clear karna tha ki Sab Kuch nahi Chalta hai har chiz me humein Shariat ka hukm dekhna hogaAur Life Apni nahi hai Allah ki di hui hai So Rules bhi ushi ke hainEk Hi Life hai sahi baat hai Magar ishi Kuch saalo ki Life Me Jannat me jaane ke Liye amal karne hain taaki Hamesha ke Liye hamara thikana Jannat ho Allah ko naraz karke Jahannam ko apna thikana nahi banana haiWestern Culture ya Free Mind ya Logon ke samne accha banne ke chakkar me kahin hum aapni aakhirat toh barbaad nahi kar rahe ???Aage 20 Post's aur aayenge inko Banane ka Maqsad hai yeh batana ki Social Media par humse anjaane me Bahut si galtiyan hoti hai jis wajah se pata nahi Humein kitna Gunaah bhi Milta hogaAllah ne chaha toh Post's ki series hogi aage bhi posts aayenge jisme nishandehi ki jayegi humse Jo galtiya hoti hainunkiAllah hum sabko in baato ko padhkar samajhne aur amal karne ki Taufiq ata farmaye !Zaroor Share karein...جزاك الله خيرا... For reading~●~●~●~●~ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ (ﷺ)~●~●~●~●~

Comments

  • ~@ ﷽ Musalman Aur Social Media @~ {Post no.02 (of 21)}Topic #01 (of 12)->Islami Behno (Ladies) ka Social Media Par Photos Upload Karna...{Part 01 (of 05)}الْحَمْدُ للَّهِ رَبِّ الْعَـلَمِينَالصلوٰۃ والسلام علیک یا رسول اللہ{Please Refer Post No.01 Also}Aaqa-e-Kareem ﷺ ne Farmaya (Mafum),"Aurat ke husn-o-jamal ko dekhna Shaitaan ka waar hai,Jisne Gair-Mehram se aankh ki hifazat nahi ki uski Aankhon me baroz-e-Qayamat'Aag ki salayi' pheri jayengi."الله اکبرDekha Aapne ki kis Qadr Sakht Hukm sunaya gaya hai Mardo ke Liye Jo Gair-Mehram Aurat ko dekhne ka ?Ek Mard ke Liye Yeh kaam Najaiz aur Haraam hai ki woh kisi Gair-Mehram Aurat ko dekheJo Ladkiyan/Auratein Social Media par Photos Upload karti hain unse arz hai kiBehen/Sister kya aapko is baat ka Ilm bhi hai ki Aapke sirf Ek Photo Upload karne ki Wajah se aap kitne Logon se Gunaah karwane ka zariya ban rahi hain ???Let Me Explain,Jab Aap ek Photo Upload karti hain toh woh aapke 200-400-600-1000+ Friends Dekh sakte hainYeh silsila yahin khatam nahi hotaAb inme se Jo isko like karta hai Comment karta hai ya Sharekarta hai toh uske bhi Saare friends (500-1000+) ko notification Milta hai aapke photo kaAb ishi tarha aapka yeh photo pata nahi hazaro laakho ya usse bhi zyada Gair-Mardo ki nazar se guzarta hoga jisse dekhkar woh bhi Gunaah me pad jate hainaurAapko pata hona chahiye ki in sabke Gunaah karne me sabsebada haath aapka hai kyunki na aap apna (ya kisi aur Aurat) ka photo upload karti na yeh usko dekhte na inse Gunaah hota yaani asal sabab toh aap Hi hain inse Jo Gunaah hue isliye in sab ke Gunaah me aapka bhi hissa hogaEk Jawaab khud se Puchein ki Kya Milta hai Aapko yun Apni aakhirat ko dao par Lagakar ???bas Kuch deir ki lazzat ???Likes aur Comments milte hain toh khushi hoti hai Arre Yeh Hi khushi Kal-baroz-e-Qayamat bahut bhari na pad jayeHadees-e-Paak ka Mafum hai ki,"Jo haste-haste Gunaah karega woh rote hue Jahannam me jayega..."Kya Aap bhi Jahannam me Jana Chahti ho ???Ek Baat Yaad rakhein,"Kuch deir ki Lazzat paane ke Liye Gunaah mat karo,Kyunki Lazzat toh khatam ho jayegi Magar Gunaah hamesha ke Liye baaki reh jayega..."Sach me Lazzat aakhir kitni deir ke Liye rehti hai Kuch deir kokhushi zaroor milti hai ???Magar Us Lazzat ko paane ke Liye Jo Gunaah kiya tha woh toh hamare Naam-e-Amal me darz ho chuka hai Qayamat takke liye...Just Give It a Thought !!!"""Yehi tujhko dhun hai rahun sab se bala (Aage)Ho zeenat nirali ho fashion nirala,Jiya karta hai kya yun hi marne wala ???Tujhe husn-e-zahir ne dhoke me dala...Jaga Jee Lagane ki Duniya Nahi hai,Yeh ibrat ki Jaa hai Tamasha nahi hai..."""Zaroor Share Karein !!!جزاك الله خيرا... For reading~●~●~●~●~ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ (ﷺ)~●~●~●~●~
  • ~@ ﷽ Musalman Aur Social Media @~ {Post no.03 (of 21)}Topic #01 (of 12)->Islami Behno (Ladies) ka Social Media Par Photos Upload Karna...{Part 02 (of 05)}الْحَمْدُ للَّهِ رَبِّ الْعَـلَمِينَالصلوٰۃ والسلام علیک یا رسول اللہ{Please Refer Previous Post's Also}Kuch Islami behno se kaha jaye ki Parda kiya karein ya yeh samjhaya jaye ki Apne photos Upload na kiya karein Social Media par toh jawaab hota hai ki Insaan ka "Zehan Saaf honachahiye" aur "Parda Dil ka Hona chahiye"Un Islami Behno se Sawaal hai,Kya Deen-e-Islam ko Aap Khatoon-e-Jannat Hazrat Fatima Zahra ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨها se behtar janti ho ???Kya Aapka Zehan Umm-Ul-MomineenHazrat Aisha Siddiqa ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨها se bhi Zyada Pakiza Hai ???Kya Aapke Dil Hamare Pyaare Aaqa ﷺ Ki Betiyo se Bhi Zyada Saaf hain ???Kya Aap Sahab Ikraam عليهم الرضوان Ki Biwiyo Se Bhi Ziyada Paak aur saaf Ho ???Khabardar ! Khabardar !Yeh aapki kam-ilmi kahin aapki Aakhirat barbaad na karde...kya Aapne Allah ka Wazeh Farman nahi Suna ???Khuda-e-Rehman عزوجل Quran-e-Majeed me Irshad Farmata hai,"Aur Musalman aurto ko hukm do ki apni nigahein kuch nichi rakhein aur apni parsai ki hifazat karein,aur apna banaw (Shape) na dikhaye magar jitna khud hi zahir haiAur dupatte apne girebano par dalerahe aur apna shingar zahir na kare..."(kisi Gair Mard par){surah Noor,Ayat no.31}Aur Ek Jagah Farmaya...{Yeh bilkhusus Un Islami behno ke Liye zyada zaroori hai Jo burqa pehenti hain ya parda toh kar leti hain Magar Apne chehre ko Gair-Mardo se nahi ChupatiKuch aisi bhi hoti hain jo Job karti hain Ya Teacher's/Doctor's hain Burqa pehenti hain magar Office ya Hospital me jaakar chehre se Parda hata deti hain yaad rahe aisi jagahkaam karna jaiz nahi jahan Sharai parda karne ki ijazat na ho}Irshaad hota hai,"Aye Nabi Apni Biwiyo aur Apni Sahabzadiyo aur musalmano ki Aurato se farmado ki Apni chadaro ka ek hissa apne muh par daale rahein..."{Surah Ahzab,Ayat no.59}Kya Ab bhi Aapki soch woh Hi hai Jo pehle thi ???Kya Ab bhi Allah ke hukm ke khilaf Amal karengi ???Allah عزوجل ka ek aur Farman Padhiye aur Gaflat ki neend se uth jayiye,"Aur Uski pairavi karo Jo acchi se acchi Tumhare Rabb se Tumhari taraf utari gayi...(yaani Quran-e-Majeed)Isse pehle ki azaab Tum par achanak aajaye aur Tumhe khabar na ho...(Yaani Tum Gaflat me pade raho isliye chahiyeki pehle se Hoshiyar raho)Ki kahin koi Jaan yeh na kahe ki Haaye Afsos !Un takseero (galtiyo) par Jo Maine Allah ke baare me ki...(yaani uski ita'at na ki aur uske haq ko na pehchana aur uski Riza ki Fikr na ki)Aur Beshak main hansi banaya karta tha..."(Surah Al-Zumar,55-56)Ab Is Gaflat ki chadar ko utar phenkein...Yaad Rakho,"""Ek din marna hai Aakhir maut hai,Karle jo karna hai Aakhir maut hai,Chand rozaa hai ye duniya ki bahar,Dil laga na is se Ab Hoshiyaar,Umr na apni yun Gaflat me guzaar,HoshiyaarAb Hoshiyaar !Ab Hoshiyaar !"""Allah humein padhkar samajhne aur ispar amal karne ki Taufiq ata farmaye !Zaroor Share Karein !!!جزاك الله خيرا... For reading~●~●~●~●~ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ (ﷺ)~●~●~●~●~
Sign In or Register to comment.
|Donate|Shifakhana|Urdu/Hindi|All Sunni Site|Technology|