★بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم★لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ★اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ★
YaNabi.in
AURATO KA MAZAAR PAR JANA KAISA??? - Mas'la Masayel Discussions on

AURATO KA MAZAAR PAR JANA KAISA???

edited May 2016 in Mas'la Masayel
AURATO KA MAZAAR PAR JANA KAISA???
Auraton ka mazar par jaana kaisa he?
Auraton k qabristan aur mazaar per janey k
hawaley sey Mufti Amjad Ali Azmi ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ
ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻠﯿﮧ fermaty hain:"Salamti ka rasta yehi
hai k auraton ko MAZAAR per janey sey
mutlaqan mana kia jai k apno ki qabron per
jaian gi tou roona peetna karain gi, aur
Saleheen ki quboor per jaian gi tou tazeem
main hud sey ziada berh jaian gi yan phir
beyadbi karain gi, aur auraton main yeh dono
batain kasrat sey pai jati hain".
P(Bahar-e-Shari at, V:1, Page:849)
Lehaza aurat ko 3 wajoohat ki bina per mana
kiagaya hai, beyperdagi ki bina per, es liay k
apny azeezon ki qabr per jaian gi tou rooza
peetna karian gi, aur SALEHEEN ki qabron per
jaian gi tou tazeem main hud sey berh jaian
gi.Mazeed ALA Hazrat ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻠﯿﮧ sey
auraton k qabr per janey sey related sawal
hua tou fermaya:"Yeh na poocho k aurat ka
qabr per jaana jaiz hai yan najaiz, bal k yeh
poocho ager wo mazar per jati hai tou us per
kitni lanat perhti hai, jub gher sey qabr per
janey ka irada kerti hai tou ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ aur
es k farishty es per lanat kerty hain, jub gher
sey bahir nikalti hai her taraf sey SHETAN esko
gheer leita hai, jub qabr per pohanchti hai
maiyat ko roh es per lannat kerti hai, jub tak
wapis aati hai ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ ki lanat main hoti
hai".
Lp(Fatawa Razavia, V:9, Page:557)
“Rasool Allah ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ney Qabron Ki
Ziyarat Karney Wali Aurton Par Laanat
Farmayee Hai”.
(Sunan Ibn Majah, Vol 1, 1575 (Sahih)
» Hadees : Abdullah Ibn Abbas ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽ
ﻋﻨﮧ Se Riwayat Hai Ki,“Rasool’Alla h ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ
ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ne Qabro Ki Ziyarat Karney Waali
Aurton Par Laanat Farmayee Hai Aur Isi Tarah
Qabron Par Masjid Bananey Walo Aur Uss Par
Chirag Karney Walon Par Bhi Laanat Farmayee
Hai”.-
(Sunan Abu Dawud)
Mazar ki ziyarat ko jana aurat ke liye mana
hai, mard ka jana jaez hai aur kai hadish e
pak se sabit hai.
Aurto ka mazar par jana mana he. Maslak e haq ahlesunnat k kisi aalim ka fatwa nhe k aurten mazar par ja sakti hen. Baqi mard mazar par jasakte hen. Jo quran o ahadis se sabit he.
IMAM QAZI Se Sawal Hua Ke Aurton Ka Qabrou Aur Mazaraat Pr Jana JAIZ Hy Ya Nhi?
Irshad Farmaya:
Aisi Jaga Jaiz w Najaiz Nhi Puchte.Ye Pucho K Is Me AURAT Pr Kitni La'nat Parti Hy?
Jb Ghar Se Mazar Ki Taraf Chalne Ka Irada
Krti Hy ALLAH Aur Farishton Ki La'nat Hoti Hy, Jb Ghar Se Bahar Nikalti Hy To Sb Tarfon Se Shetan Isay Gher Lety Hain, Jb Mazar Tk Phonchti Hy Mayyat Ki Rooh Is Pr
La'nat Krti Hy, Jb Tk Wapas Ati Hy ALLAH Ki La'nat Me Hoti Hy.
Aala Hazrat Ke Nazdiq AURAT Aur MAZAAR:
"Jis Waqt Aurat (Mazar Par Jane K Lye) Ghar Se Irada Karti He La'nat Shuru Hojati He Aur Jab Tak Wapis Aati He Malaika La'nat Krte Rehte Hen. Siwaye Roza e Rasool K Kisi Mazaar Pr Jane Ki Ijazat Nahi, K Wo Zarya e Magfirat He"
(Malfuzat P#240)
Sign In or Register to comment.
|Donate|Shifakhana|Urdu/Hindi|All Sunni Site|Technology|