★بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم★لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ★اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ★
YaNabi.in
Taraweeh Ki 20 Rakaat Ka Bayan - Ja-al-haq Discussions on

Taraweeh Ki 20 Rakaat Ka Bayan

edited May 2018 in Ja-al-haq

Taraweeh Ki 20 Rakaat Ka Bayan




Ramzanul Mubarak Karib Aate Hi Daur e Haajir Ka Fitna E Azeem Wahabi Gair Mukallid ne Pichle chand saalo se Ek Fitna Choda hai ye barsaati mendak Seasonal hote hai har maah koi na koi kalabaji ka show inka shuru hi rhta hai jaise season ho waise aitraaz karte hai.
Ramzanul Mubarak aate hi ek fitna choda jaata hai wo TARAWEEH ki rakat ko leke fitna failaya jaata hai aur awaam ko shak o subahat me daala jaata hai k jo 20 RAKAT TARAWEEH padhi jaa rhi hai ye khilaf e Sunnat hai Biddat hai etc. Aur Social Network me Chahe Facebook watsapp ya other applications me fitna badi tezi se failaya jaata hai.
Is Topic ko Hum Kuch Posts me Mukammal karnge chunki ye article hai bahot zyada nhi likha jaa sakta bahot zyada tehkeeki hawale SCan pages etc sab Taraweeh k Topic Me Hamari Kitab me aayga par yaha itna likh denge In Sha ALLAH Taa’ala k Mukhalifeen ki bolti band hojaygi.


20 Raka’at Taraweeh Padhna Sunnat E Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم Sunnat e Sahaba Sunnat Aamatul Muslimeen Hai
8 Rakaat Taraweeh Khilaf e Sunnat Hai aur jo Log ye Dawa karte hai 8 Rakat Taraweeh Hone Ki unke pass dalail k naam pe kuch nahi hai fakat akal k ghode hai baat darasl ye hai Ibadat inko bhoj lgti hai ye apni nafs k gulam hai har mahine kuch na kuch Shosha Chodte hai Taraweeh K 20 Raka'at Hone Ka saboot.
Hadees 01 :
“Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ farmate hai Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ramzan Me Witr K Elava 20 Rakaat Taraweeh Padte The”
References:
(Imam Ibn Abi Shaeba Al Musannaf Vol : 02, Pg : 163, Hadees : 7692)
(Imam Tabrani Al Ma’jmaul Ausaat , Vol : 01, Pg : 243, Hadees :798)
(Imam Tabrani Al Ma’jmaul Ausaat , Vol : 05, Pg : 342, Hadees : 5440)
(Imam Tabrani Al Ma’jmaul Kabeer , Vol : 11, Pg : 393, Hadees : 1210)
(Imam Bayhaqi Al Sunan Al Kubra, Vol : 02, Pg : 496, Hadees : 4391)
Is Hadees e Nabvi Se Pata chala k Khud Nabi e Karim ﷺ  Bees 20 Rakat Taraweeh Padhte The.
Hadees 02 :
و حدثني عن مالك عن يزيد بن رومان أنه قال
كان الناس يقومون في زمان عمر بن الخطاب في رمضان بثلاث وعشرين ركعة
Yahya ne Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se mujhko khabar di unhone Yazeed bin Ruman رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  se riwayat kiya ki wo farmate hain “Log Hazrat Umar Farooq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ke zamane me 23 rakat ke liye qiyam karte the”
Reference :
(Muwatta Imam Malik, Book : As Salah Chapter : Ma Ja-a Fi Qayam e Ramzan Volume : 1 Page : 159 Hadith number : 380)
Is se 02 Baat Maloom Huwi ek ye k Taraweeh 20 Rakaat Hai aur Witr 03 Rakaat Hai.


Hadees 03 : Hazrat Saeb Bin Yazeed رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  say marwi hai unhone bayan kiya k  "Hazrat Umar Bin Khattabرَضِیَ اللهُ عَنْهُ k 'Ehad (door e Khilafat) main Sahaba IkramRadi ALLAH T'ala Anhuma Azmain maah-e-Ramzan main bees (20) rakat taraweeh parhty they aur un main soo (100) ayaat wali soortain parhty thy aur Hazrat Uthman رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  k 'Ehad (Door e Khilafat) main shiddat e Qayam ki waja say wo apni laathiyun say tayk lagaty they." References : (Imam Bayhaqi As Sunan Al Kubra Vol : 02, Pg : 498/99, Hadees : 4617) (Ibn e Hasan Faryabi ,Kitab As Siym Vol : 01, Pg : 131, Hadees : 176 (Ibn e Ja'd Al Musnad Vol : 01, Pg : 413, Hadees : 2825)
Scan Page Of Imam Bayhaqi As Sunan Al Kubra


Imam Nawawi ne Iski Sanad Ko Siqah Karar Diya (Al Khulasa Al Ahkam pg : 576, Hadees No : 1961) Below Is Scan page
Imam Badrudin Ayni Rahmatullah Alaih Ne bhi Isko Sahih Qarar Diya Hai (Umdatul Qari Shara E Sahi Bukhari Vol : 05, Pg : 264, Print Darul Fikr Berut) Gair Mukallideen k Famous Scholor Mubarkpuri likhte hai Ye Hadees Sahi Hai (Mubarakpuri, Thofat ul Ahwazi, Vol: 03, Pg : 453) Is Hadith ko Imam Bayhaqi, Imam Faryabi aur Ibn e ja'd nain rawayat nain kiya. Aur Imam Faryabi nain farmaya k is hadith k Rijaal thiqah hain.

Hadees 04 :
حَدَّثَنَا وَكِيعٌ ، عَنْ حَسَنِ بْنِ صَالِحٍ ، عَنْ عَمْرِو بْنِ قَيْسٍ ، عَنِ أَبِي الْحَسْنَاءِ أَنَّ عَلِيًّا أَمَرَ رَجُلاً يُصَلِّي بِهِمْ فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً
Hazrat Abu Al Hasan رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  bayan karty hain k
"Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  nain ek shakhs ko ramzan main paanch (5) tarweehon main bees (20) rakat parhaany ka hukam diya."
Is Hadith ko Imam Ibn e Abi Shaibah aur Imam Bayhaqi nain rawayat kiya hay. Aur yeh Alfaaz Imam Bayhaqi k hain.
References : (Ibn e Abi Shaibah Al Musannaf, Chapter : Ramzan main (taraweh main) kitni rakatain jaen, Vol : 5, Pg : 163,Hadees : 7763) (Imaam Bayhaqi As Sunan Al Kubra, Vol : 2, Pg : 497, Hadess : 4397) (Ibn e Abul Barr , At Tamheed, Vol : 08, Pg : 115) (Mubarakpuri , Tuhfatul Ahwazi Sharah Jami' Tirmidhi Vol : 03, Pg : 445) (Ibn e Qudamah Al Mughana Vol : 01, Pg : 456)
Hadees 05 :
حَدَّثَنَا حُمَيْدُ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ ، عَنْ حَسَنٍ ، عَنْ عَبْدِ الْعَزِيزِ بْنِ رُفَيْعٍ ، قَالَ كَانَ أُبَيّ بْنُ كَعْبٍ يُصَلِّي بِالنَّاسِ فِي رَمَضَانَ بِالْمَدِينَةِ عِشْرِينَ رَكْعَةً وَيُوتِرُ بِثَلاَثٍ.
Abdul Aziz bin Rafi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se marwi hai ki Ubay bin Ka’ab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ logo Ramzan me Madina Munawwara me 20 rakat padhate the aur 3 witr.
Reference :
(Musannaf Ibn Abi Shaybah Volume 005. Page No. 224, Hadith Number 7766) Below Is Scan Page of Ibn Abi Shayba




Hadees 06:
أخبرنا أبو الحسن بن الفضل القطان ببغداد أنبأ محمد بن أحمد بن عيسى بن عبدك الرازي ثنا أبو عامر عمرو بن تميم ثنا أحمد بن عبد الله بن يونس ثنا حماد بن شعيب عن عطاء بن السائب عن أبي عبد الرحمن السلمي  عن على رضي الله عنه قال دعا القراء في رمضان فأمر منهم رجلا يصلي بالناس عشرين ركعة قال وكان علي رضي الله عنه يوتر بهم وروى ذلك من وجه آخر عن علي

Abdul rehman Sulami رَضِیَ اللهُ عَنْهُ farmate hain ki Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Quran ke qari’een ko bulaya aur unme se ek ko 20 rakat padhane ka hukm diya. Jabki Hazrat Ali  رَضِیَ اللهُ عَنْهُanhu khud bhi 20 rakat padhte the.
Reference :
(Bayhaqi Sunan al-Kubra Vol 002, Pg . 699, Hadees : 4620) Hadees 07 :
عَنِ الْحَسَنِ أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ جَمَعَ النَّاسَ عَلَى أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ فِي قِيَامِ رَمَضَانَ، فَكَانَ يُصَلِّي بِهِمْ عِشْرِينَ رَكْعَة
Hazrat Hasan Basri رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  farmate hain ki Hazrat Umar farooq رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne Ubay bin Ka’ab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ke piche logon ko Jama kiya aur 20 rakat padhi.
References :
Siyar al A'lam wa al Nubalah Volume 001, Page No. 400-1, Biography of 'Ubayy Ibn Kab'
Imam al-Nawawi ne kaha: 'Iski sanad Sahih hai'. (بإسناد صحيح)
[Al-Khulasa al-Ahkam, Hadith Number 1961]
Hadees 08 :
حَدَّثَنَا وَكِيعٌ ، عَنْ نَافِعِ بْنِ عُمَرَ ، قَالَ كَانَ ابْنُ أَبِي مُلَيْكَةَ يُصَلِّي بِنَا فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً، وَيَقْرَأُ بِحَمْدِ الْمَلاَئِكَةِ فِي رَكْعَةٍ
Waki رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se marwi hai unhone Naafe bin Umar رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se riwayat kiya wo farmate hain ki Ibn Abi Mulaika رَضِیَ اللهُ عَنْهُ hume ramzan me 20 rakat padhate the.
Reference :
[Musannaf Ibn Abi Shaybah Vol 05, Pg : 223, Hadees : 7765]
Hadees 09:
حَدَّثَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ ، عَنْ حَجَّاجٍ ، عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ ، عَنِ الْحَارِثِ أَنَّهُ كَانَ يَؤُمُّ النَّاسَ فِي رَمَضَانَ بِاللَّيْلِ بِعِشْرِينَ رَكْعَةً وَيُوتِرُ بِثَلاَثٍ وَيَقْنُتُ قَبْلَ الرُّكُوعِ Hazrat Haris رَضِیَ اللهُ عَنْهُ riwayat karte hain ki wo Ramzan me 20 rakat padhte the aur 3 rakat witr padhte the aur Ruku se pehle Qunut padhte the. Reference : [Musannaf Ibn Abi Shaybah Vol : 05, Pg : 224, Hadees : 7767]
Hadees 10 :
Imam Tirmizi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ka Nazariya :
وأَكْثَرُ أهْلِ العِلمِ على ما رُوِيَ عن عليٍّ وعُمر وغَيْرِهِمَا مِنْ أَصحابِ النبيِّ عِشْرِينَ رَكْعَةً. وَهُوَ قَوْلُ الثَّوْرِيِّ وابنِ المُبَارَكِ والشَّافِعيِّ رحمه الله. وقَالَ الشَّافِعيُّ: وهَكَذَا أدْرَكْتُ بِبَلَدِنَا بِمَكَّةَ، يُصَلُّونَ عِشْرِينَ رَكْعَةً
Ahle-Ilm ki ek Jamat 20 rakat padhne par muttafiq hai, jaisa ki ye Hazrat Usman رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Hazrat Ali رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  aur RasoolALLAH صلى الله عليه و آله وسلم ke dusre sahaba se marwi hai. Sufiyan Sawri, Abdullah ibn Mubarak aur Imam shafaii Rahimullah Azmain ne bhi yehi kaha hai. Imam Sahafaii رَضِیَ اللهُ عَنْهُ farmate hain ki Unhone Makka ke logon ko 20 rakat padhte hue dekha hai..
Reference :
[Sunnan Jami’i al Tirimdhi, Book of Fasting, Chapter on Qiyaam in Ramadan Volume 3 Page No. 169 Hadith No. 806] Scan Page of Imam Tirmizi is Below

Post 02 Wahabi ki Muwatta Imam Malik Ki Pesh Karda Dalil

Comments

  • Refutation of Wahabis Claim Regarding Taraweeh of Muwatta Imam Malik

    PART 02 : GAIR MUKALLIDEEN KI PESH KARTA DALIL AUR USKA JAWAB
    Aitraaz 01: Muwatta Imam Malik Par Wahabi k Aitraaz Ka Aur Dalail Ka Jawab
    Yahya رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne hume khabar di Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se riwayat kiya unhone MUHAMMAD BIN YUSUF se riwayat kiya ki Saaib bin Yazeed رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne kaha ki Umar Farooque رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ne Ubay bin Ka’ab رَضِیَ اللهُ عَنْهُ ko hukm diya ki wo 11 rakat namaz padhaye.
    Qari 100-100 rakat wali Sureh padhaye hatta ki hum log lakdiyon ke sahare khade hone lagen. Aur hum na chhoden yahan tak ki fajr ho jaye”
    Reference :
    (Al Muwatta Imam Malik, Vol : 01, Book No 06 Salati Fi Ramadan, Hadees : 250, ‘English Version : Book 06 Hadees 02’)

    Is Hadees ko Kaum e Wahabiya Bataur e Dalil Pesh Karti hai aur dawa karti hai dekho Hadees me aaya hai K Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم 11 Rakaat padhte the 08 taraweeh hogyi baaki witr par ye sirf unko bata sakte hai jo inki kabaliyat se wakif nahi hai.
    Pehli baat ye dalil Khud Gair Mukallid Wahabi k Amal aur uske usool k khilaf hai.
    Uski bahot  Wajah hai aur bhi hum aage Is hadees ki haisiyat iske status ka khulasa  karenge
    I) Ye Hadees Usool e Wahabiya k Khilaf Hai Ji Haa Aaye Dekhe Kyu ?
    Gair Mukkalideen is hadees ko bataur e dalil pesh nahi kar sakte kyuki unke yaha Sahabi ka Kaul Huzzat hi nahi hai unke yaha Sirf ALLAH aur RASOOL ka Kaul hi hujjat hai.
    Proof 01 :
    Ghair Muqallideen ke Shaikhul kul Fi Kul Shaykh Nazeer Hussain Dehelwi Likhte hai ke “Sahabi ka Qaul Hujjat Nahi Hai.”
    (Fatawa E Naziriya Vol : 01, Pg : 340) Proof 02 : Gair Mukkalid k ALLAMA SHAWKANI likhte hai
    وَأَفْعَالُ الصَّحَابَةِ وَأَقْوَالُهُمْ لَا حُجَّةَ فِيهَا ke Sahaba e Ikraam Radiallaho anhuma azmain  Ke Af’aal aur unke Aqwal Hujjat nahi hai. (Nail ul Autaar Vol : 07, Pg :  365)  Proof 03 : Gair Muqalideen ke Ustaad ul Ulama Muhaddis Yahiya Gondalwi Likhte hai “Tabain ke Aqwaal Balke  Sahaba Ke Aqwal Ikhtelaafi Umoor me Hujjat Nahi Hote. (Khair ul Kalaam , Pg : 249) aur bhi bahot hai itne se pata chala k tumhare nazdik Sahaba ka Kaul huzzat hi nahi maante balki biddat qarar dete hai to phir tumhare liye ye aqwaal kaise huzzat k taur pesh kar sakte hai.
    II) Inke yaha bada masla hai WITR ki rakaat ko leke wo ye k ye KAUM WITR bhi 1 Rakat padhti hai ji haa ye WITR 01 Rakaat padhte hai ab is hadees ko pesh kiye hai jo khud unke khilaf hai.

    01) Is Hadees me Aaya 11 Rakaat 4 + 4 = 8 Taraweeh hogayi baaki bachi 03 wo witr to ab tum to 03 witr k munkir ho agar is hadees ko sach me sahi maante ho to 08 Taraweeh aur 03 Witr padho witr kyu khaa gaye ? agr tumhare akeede se mel khati to 09 Rakat hona Tha 11 kyu huwi ?
    Kyu Hadees k ek part ko maano baaki chod do ye MUNAFIKAT hai wahabio.
    Dekhte hai hum tum 03 kab pdhte ho ye padhke aap samajh gye honge ktna dhoka dete hai ye wahabi ye ek basic baat hai wo is baat ka hi jawab nhi de paaynge haa bhagenge yaha waha par jawab nhi aayga.
    Apni munafikat tum un bholi bhali awaam k saamne to kar sakte ho jo tumhare Nautanki waale chehra dekh muttasir hojaye jo Jirah Tadeel Aur Asma Ur Rizal naa janti ho par ahle ilm k aage nhi.

    02) Hadees me Ek Raavi hai jo jinka naam
    محمد بن يوسف عن السائب بن يزيد أنه قال أمر عمر بن الخطاب
    NOTE: : "MUHAMMAD BIN YUSUF AN SAIB IBN YAZID"
    Ab inhi MUHAMMAD BIN YUSUF se rivayat dusri hadees padho usme kya hai
    Musannaf Abdur Razzaq me bhi same Hadees isi Sanad se hai lekin uske alfaz hain
    محمد بن يوسف عن السائب بن يزيد أن عمر جمع الناس في رمضان على أبي بن كعب وعلى تميم الداري على إحدى وعشرين ركعة
    MUHAMMAD BIN YUSUF se riwayat hai unhone saaib bin Yazeed se riwayat kiya ki Umar Farooque رَضِیَ اللهُ عَنْهُ  ne ramzan me logon ko Ubay bin Ka’ab ke piche jama kiya aur unhone logon ko 21 Rakat Padhai.
    References :
    [Musannaf Abdur Razzaq, Volume No. 4, Page No. 260, Hadith No. 7730]Ussi tarah ek Rivayat Imam Muhammad Ibn Nasar Maruzi رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se inki 13 Rakaat Taraweeh ki Rivata Nakl Hai.
    Pata Chala K MUHAMMAD BIN YUSUF jo raavi hai inki rivayato me Sakht Iztiraab Hai lihaja inki rivayat motebar nahi agar tum Muwatta Imam Malik ko apni nafs se follow karte ho to Musanif ibn Abdur Razzak ki hadees aur Ibn Nasar ki rivayat karta hadees kyu chod bethe ? Jab baat apne matlab ki aayi to hazam kar bethe jab baat dusre ki aaye to fauran tumhare yaha k Paan Chai bechne waale bhi keh denge Hadees Zaif hai aakhir kab tak Dhoka doge kaum ko hadeeso k naam pe ? Magar Ussi Muwatta Imam Malik me 20 Rakaat Ki Saaf Hadees uske baad hi mauzood hai wo bina Dakar k hazam kar bethe kyu ? ye kab dikhaoge awaam ko ?
    Hadees :
    رواه مالك والفريابي والبيهقي. وقال الفريابي : إسناده ورجاله موثقون
    وقال ابن قدامة في المغني : وهذا كالإجماع.
    “Hazrat Yazeed Bin Rumaan Ne Bayan Kiya Ki Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Daur Me Log (Ba-Shumool-Witr) 23 Rak’aat Padhte They.”
    References :
    (Al Muwatta Imam Malik, Vol : 01, Book No 06 Salati Fi Ramadan, Hadees : 251, ‘English Version : Book 06 Hadees 05’)
    Hadees :
    “Hazrat Maalik Ne Daaud Bin Husain Se Riwayat Kiya, Unhone Hazrat A’raj Ko Farmate Huwe Suna Ki Mein Ne Logon Ko Is Haal Me Paaya Ki Woh Ramdan Me Kafiron Par Laanat Kiya Karte They Unhone Farmaya (Namaz-E-Tarawih Me) Qaari Soorah Baqrah Ko Aanth-08 Rak’aton Me Padhta Aur Ab Baaqi Baarah-12 Rak’atein Padhi Jaati To Log Dekhte Ki Imam Inhein Halki (Mukhtasar) Kar Deta.”
    Reference :
    (Al Muwatta Imam Malik, Vol : 01, Book No 06 Salati Fi Ramadan, Hadees : 252, ‘English Version : Book 06 Hadees 06’)
    To Muwatta Imam Malik ki wo hadees bhi taraweeh ki 8 rakat ko sabit nahi karti jabki 20 rakat upar ki hadees se sabit hai.
    Ab Salafiyon naam nihad ahle hadees firka e Victoria jo awaam ko gumraah kar amal se rokte hai unke paas ek bhi Hadees Khulafa-e-rashideen ki nahi hai jisme 8 rakat taraweeh ho, aur Muwatta Imam Malik me maujud wo wahid hadees muztarib hai, aur MUZTARIB hadees kabhi dalil ke liye pesh nahi ki jati. Khud Ibn taymiyya ne bhi kaha:
    ثبت أن أبي بن كعب كان يقوم بالناس عشرين ركعة في قيام رمضان، ويوتر بثلاث. فرأي كثير من العلماء أن ذلك هو السنة؛ لأنه أقامه بين المهاجرين والأنصار، ولم ينكره منكر
    Translation: ye sabit ho chuka hai ki Ubay bin Ka’ab ne ramzan me sahaba ko 20 rakat aur 3 witr padhai. Is tarah ye Kaseer Ulama ka maslak hai ki ye sunnat hai. Kyunki Ubay bin Ka’ab Muhajirin ke samne bhi aur Ansar ke samne bhi 20 rakat padhte the. Aur kisi bhi ek sahabi ne ispar aitraz na kiya. !" (Ibn Taymiyyah: Majmua al Fatawa Vol : 1, Pg : 191)
    khud inke Shaykul Islam Ibn Taimya ne maana hai Taraweeh k 20 Hone ko jiske fatwe k bina wahabi chalte nahi hai.
  • Taraweeh Par Hadees e Hazrat Ayesha Ka Wahabiyo Ko Jawab

    Post 03 : Sahi Bukhari Umool Momineen Ayesha Siddiqa Radi Allaho Anha ki Bayan karda Hadees Par Wahabi Gair Mukallideen Ko Jawab  
    Hadees :
    Hazrat Abu Salma Bin Abdur Rahmaan Se Riwayaat Hai Ke Inhone Hazraat Ayesha Radhi Allahu Anha Se Pucha Ke Rasool E Akram ﷺ Ki Namaz Ramzaan Ul Mubarak Me Kaise Hoti Thi ?Aap Ne Farmaaya Rasoolullah ﷺ RAMZAAN AUR GAIR RAMZAAN 11 RAKAAT SE ZYADA NAHI PADHTE The Aap 4 Rakaat Padhte Na Pucho Ke Wo Kaisi Haseen Aur Kitni Daraaz Hoti Thi ,
    Phir Aap 4 Rakaat Padhte Na Pucho Ke Wo Kaisi Haseen Aur Kitni Daraaz Hoti Thi
    PHIR AAP 3 RAKAAT AADA FARMAATE ,
    HAZRAT AYESHA RADHI ALLAHU ANHAA FARMAATI HAI MAI NE ARZ KIYA AYE ALLAH KE RASOOL ﷺ WITR PADHNE SE PEHLE SOJAATE HAI ? AAP ﷺ NE FARMAAYA AYE AYESHA MERI AANKH SOTI HAI MERA DIL NAHI SOTA.
    Reference :
    (Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab No 31 Kitab Assalato Taraweeh, Baab : Fazl E Man Qiyaam E Ramzaan ,Hadees : 2013) Ye Hadees bahot se makam par Muhadiseen Ne Likhi hai hum yaha kaafi reference bayan karnge jo khud padhne k baad samajh aajayga Is Hadees ko Wahabi Sabse Zyada Motebar Dalil Banake Awaam K Saamne Pesh karte hai aur kehte hai dekho Nabi e Karim ﷺ Ramzan me 08 Taraweeh padhte the Chunki Imam Bukhari Rahimullah ta’ala ne Isko SALAT O TARAWEEH me Kiyam e Ramzaan me likha hai to wahabi ye bolte hai k dekho SAHI Hadees hai ye Taraweeh ki awaam phir inke dhoke me aajati hai. Magar hakeekat bahot alag hai is se jo yaha hum almost khulasa kar denge dhyan se padhe phir gair mukallid na nigal sakenge na ugal sakenge aur yaha bahot shara e hadees bhi aage bayan karnge taaki koi wahabi ye na kahe k khud se hadees ki shara kardi. Important Point To Notice :
    1) Ye Sawal hi Namaz e Tahazud k baare me hai agar Sawal Taraweeh k liye hota to umool momineen ne jawab Ramzan ki taraweeh ka dena tha Par Jawab diya RAMZAN AUR GAIR RAMZAN matlab Nabi e Rehmat Ramzan me bhi aur dusre mahine jaise Shawwal, Jilhajja, Rajjab etc me bhi is trah hi kayam karte hai agr sawal Taraweeh ka hota to gair Ramzan ka zikr hi na hota kyuki Taraweeh Gair Ramzaan me padhi hi nahi jaati Kya Wahabi Ramzan k Elava bhi dusre Mahino me Taraveeh padhte hai ? 2) Yaha Sawal karne waale ko puchna maksad ye tha chunke Ramzan me Nabi E Karim Taraweeh 20 Rakaat padhte hai phir Tahajjud kaise ada karte hai kahin tark to nhi karte the aur yehi jawab Umool Momineen ne diya hai agr wo iska yehi maana samajhti jo wahabio ne samjha hai k yaha Taraweeh ki namaz hai to jarur Jawab sirf Ramzan ka deti naaki gair ramzan ko shamil karti. 3) Ye Hadees se fil farz maan bhi le k Taraweeh hai tab bhi ye hadees aapke favour me nhi jaati hai kyuki Hadees me hai 4 + 4 Rakaat bahot lambi aur taweel padte uske baad 03 Rakaat yaani witr ek saath padte to pata chala yaha witr 03 Rakaat saaf sabit hogayi hai aur wo Ramzan aur Gair Ramzaan dono k liye saabit hai to Tum to 03 witr padhne ko biddat tak bakte ho aur 01 rakaat witr maante ho to yaha dalil tumhare kaam ki nahi hai. Iska khulasa thoda last post me bhi kiya tha. 4)Hadees k aakhri hisse me padhe to pata chalta hai k Ummol Momineen ne Nabi e Karim se pucha k aap WITR padhe sojate hai to jawab diya MAI SOTA HOON MERA DIL JHAGTA HAI aur ye 11 namaz ek saath padte the aur kon apni ammi ka accha baccha wahabi hai jo Isha padh sojata hai aur raat me uthke Taraweeh padhte hai ? balki saare wahabi Taraweeh Sone se pehle hi padte hai to ye dalil tumhare kaam ki nahi hai. Chunki Taraweeh ko Sone se pahle padhna hota hai aur Tahajjud ko sone k baad to pata chala ye hadees Taraweeh ki nahi balki Tahajud ki hai yaha tak k is hadees me TARAWEEH lafz tak nahi hai bila wajah isko Taraweeh banana ki koshish ki jaa rhi hai halanki ye Namaz e Tahajud hai. Ab aaye Iski is Hadees ki kuch shara dekh le yu to bahot hai par kuch hi yaha likh rahe hai ye utne me hi inke haath pair thande padh jaynge In Sha Allah Taa’la 1. Imam Shamsuddin Kirmaani Rehmatullah alaih Shaareh Bukhaari Is Hadees Me Farmaate Hai : Is Hadees Se Muraad Witr (Tahajjud) Ki Namaz Hai Aur (Hazrat Ayesha Radi allaho anha ) se Sawaal Aur (Unka) Jawaab Tahajjud Ke Mutalliq Tha. (Al Kaukab Dur-ri Sharah Bukhari Vol : 01, Pg : 155)
    2. Imam Abu Bakr Ibn Arabi Radi allaho anho Shaareh Tirmizi Farmaate Hai : Nabi ﷺ Ramzaan Aur Ghair Ramzaan Me 11 Rakaat Se Zyaada Nahi Padhte The.Yeh Nabi e Karim ki Namaz Qiyaam E Lail (Tahajjud) Thi.Pas Waajib Hai Ke Is Me Aap Sal allahu alaihi wassalam Ki Iqtedaa Ki Jaaye.
    (Aarizatul hauzi Sharah Tirmizi, Vol: 04, Pg: 19) 3. Imam Ibn Hajar Asqalaani Rahmatullah alaihi Sharah Bukhari Is Riwayat E Ayesha Radiallaho anha Ko Tahajjud Se Mutalliq Qaraar Dekar 11 Rakaat (Tahajjud Ma’a Witr) Ki Hikmat Yeh Bayaan Farmaate Hai : وَظَهَرَ لِي أَنَّ الْحِكْمَةَ فِي عَدَمِ الزِّيَادَةِ عَلَى إِحْدَى عَشْرَةَ أَنَّ التَّهَجُّدَ وَالْوِتْرَ مُخْتَصٌّ بِصَلَاةِ اللَّيْلِ وَفَرَائِضَ النَّهَارِ الظُّهْرُ وَهِيَ أَرْبَعٌ وَالْعَصْرُ وَهِيَ أَرْبَعٌ وَالْمَغْرِبُ وَهِيَ ثَلَاثٌ وِتْرُ النَّهَارِ فَنَاسَبَ أَنْ تَكُونَ صَلَاةُ اللَّيْلِ كَصَلَاةِ النَّهَارِ فِي الْعَدَدِ جُمْلَةً وَتَفْصِيلًا Mere Liye Zaahir Huwa Ke 11 Rakaat Se Zyaad Rakaat Na Hone Ki Hikmat Yeh Hai Ke Tahajjud Aur Witr Raat Ki Namaz Ke Saat Khaas Hai Aur Din Ke Faraaiz 11 Hai. Zohar Ke 4 Farz , Asar Ke 4 Farz Aur Maghrib Ke 3 Farz Jo Din Ke Witr Hai Pas Munaasib Huwa Ke Raat Ki Namaz Bhi Ajmal Aur Tafseel Dono Me Din Ki Namaz Ke Mushaabe Hojaaye. (Fathul Baari Sharah Bukhari Vol : 03, Pg : 21) 4. Qaazi Ayaaz Maliki Rahimullah Ne Bhi Hazrat Ayesha Radiallaho anha . Ki Tamaam riwaayat Ko Jinme Rasoolullah ﷺ Ki Namaz Ka Zikr Hai , Taraveh Ki Bajaaye Salaatul Lail (Namaz E Tahajjud) Ke Mutalliq Qaraar Diya Hai.
    (Sharah Muslim Lil Nawawi, Vol : 06, Pg:19)
    5. Hazrat Shaik Abdul Haq Muhaddis Dehelwi Rahimullah . Is Hadees Ke Mutalliq Likhte Hai : Saheeh Yeh Hai Ke Nabi e Karim Sal allahu alahi wassalam Jo 11 Rakaat Padhte The Wo Tahajjud Ki Namaz Thi.
    (Ashiatul Lamaat, Vol : 1, Pg : 269) In tamam upar bayan karda dalail ne Gair Mukallideen k Bhagne k saare raste band kar diye aur bhi bahot hai yaha tak k inke ghar k sanad bhi pass me hai k yaha Tahajjud Murad hai par ye mauzuda khwarij apni akabir k bhi baagi hai itni dalil dene k baad bhi ye kaum ek dhoka deti hai wo ye hai k
    objection : IMAM BUKHARI ne is Hadees ko Salato Taraweeh Kayam e Ramzan me likha hai is se proof huwa k ye Taraweeh hai ye aakhir hathyaar hai wo bhi ab fuski hojayga yaha
    Al Jawab :
    Imam Bukhari ka Is Hadees ko Salato o Taraweeh me laana kuch wajah se tha aur ye unka apna ijtehad hai aur sabse ahem cheez baab hadees nahi hota ye Muhadiseen ka apna faisla hai wo hadees ko jaha chahe jis baab me chahe likhe jo aage aur khulasa hoga
    Jin jahilo ko baab aur hadees me fark nahi pata wo aaj khud ko ahle hadees keh rhe hai. 01) Imam Bukhari Rahimullah ka isko Salato taraweeh me Kayam e Ramzan me likhne ka matlab ye nhi wo is hadees ko Taraweeh samajhte the balki wo batana chahte the k Tahajjud Ramzaan me bhi padhna hai aur gair e Ramzan me bhi matlab ye hai. 02) Imam Bukhari Isko us baab me laake Ramzan ki Fazail bata rahe hai Yahi Wajeh Hai Ke Inhone Baab Ka Naam “Baab Fazl E Man Qiyaam E Ramzaan “ (Fazail E Qiyaam E Ramzaan ) Rakha Hai. Agar Imam Bukhari Rahimullah Ka Maqsad Taraveh Ki Rakaat Batanaa Hota Jaisa Ke Ghair Muqallideen Ka Dawa Hai Toh Aap Is Baab Ka Naam “ Baab Adad e Qiyaam e Ramzan “(Yaani Baab E Tadaad E Qiyaam E Ramzaan) Rakhte.Lekin unhone Aisa Nahi Kiya ye khud me ek dalil hai k ye namaz e Taraweeh na thi.
    03) Agar bakaul tumhare (wahabio) Imam Bukhari ka kisi hadees ko baab me laana hi uski taraweeh hone ki dalil hai to Khud Imam Bukhari Rahimullah ne bukhari sharif me ek hi hadees ko kaafi alag alag baab me laaya hai wo kyu nahi maante ?
    04) Agar Imam Bukhari k khud ka Ijtehad ya soch ye hoti k is se murad Taraweeh hai to wo kabhi is hadees ko dusre baab me naa laate balki Sawal karne waale ne ye sawal kiya Ramzan k talluk se to Imam Bukhari ne waha bhi bayan kardi balki Imam Bukhari ne khud is hadees ko Salato Taraweeh k elawa apni hi Sahi Bukhari me aur bhi jagah likhi hai jo ye hai hawale
    Imam Bukhari ne khud is hadees ko 02 aur alag jagah laaya alag baab me laaya kya wo huzzat nahi ?
    (Sahi Bukhari, Vol : 02, Kitab No. 61 Manakib e Nabi Wa Ashabun Nabi , Baab : Nabi ki aankh Soti Hai par Dil Jhagta Hai, Hadees : 3569) (Sahi Bukhari, Vol : 01, Kitab No. 19 Kitab At Tahazzud, Baab : Kiyameen Nabi Bil Lailee Fi Ramjaan Wa Gairihi, Nabi e Karim K Raat Me Kayam Karne Ka Bayan Ramzaan aur Gair E Ramjan Me, Hadees : 1147) Imam bukhari ne isko Tahajjud me bhi laaya hai wo kyu nhi maante ? apne matlab ka hazam baaki chod diya halanki imam Bukhari ka akeeda bhi taraweeh ko leke 08 rakaat ka naa tha balki khud unhone apni kitab Al Kuna me Taraweeeh k 20 rakaat hone ki hadees likhi hai.
    عن ابي الخصيب قال كان سويد بن غفلۃ يؤمنا في رمضان عشرين ركعۃ ( الکنی، از امام بخاری، حدیث 234) Abu Al Khusaib Radi allaho anho Farmaate Hai Ke Suwaid Bin Ghafalah Radi allaho anho Ramzaan Me 20 Rakaat Taraveh Padhaate The. (Al-Kuna : Vol : 2 ,Pg : 234) Pata chala k Imam Bukhari khud 20 Rakaat Taraweeh k kayal the aur bil farz baab me laana hi tum dalil maante ho to bas ek Sawal kya tum Siha Sitta k dusre Imamo ko Imam Muslim, Imam Nasai, Imam Abu Dawood, Imam Tirmizi Rahimullah azmain ko nahi maante ho ?
    Kya Unke Kayam karda baab huzzat nahi hai ?
    Kya Imam Malik Rahimullah ko Nahi maante Unke Kayam Karda Baab Huzzat nahi ?
    Un sabne is hadees ko Kayam e Lail Tahajjud me laaya hai kya karoge iska ?? Pata Chala Muhadiseen ka Baab me laana wo nahi hai jo tumne tehkeek kar nikala hai niche reference mauzood hai dekhlo Other Than Bukhari & Other Than Taraweeh References
    (01. Imam Maalik ne Al Muwatta Imam Malik Vol : 01, Kitab No 07 Assalatul Lail ‘Tahajjud’, Hadees : 263  {English Version : Book : 07, Hadees : 09})
    (02 . Sahi Muslim, Vol : 01, Kitab No 06, Kitabu Salat Al Musafiree’n Wa Kasrihi, Hadees : 738, ‘English - 1607’)
    (03. Sunan Tirmizi, Vol : 01, Kitab No 02 Kitabus Salat, Baab : Maa Zaa’a Fihi Wasafi Salateen Nabi ﷺ Bil Laili) - ye Rivayat Hai Saeed bin Abi Saeed Al Maqburi Se Unhone Hazrat Abu Salma Bin Abdur Rahmaan se Suna.
    (04. Sunan Abu Dawood, Vol : 01, Kitab No 05 Kitab كتاب التطوع, Baab : Fi Salatil Lail, Hadees : 1341)
    (05. Sunan Nasai, Vol : 01, Kitab No 20 Kayam Al Lail, Baab : Kaifa Witr Bi Salat, Hadees : 1697)
    Yaha se saaf maloom huwa k Majority Muhadiseen ne is hadees ko Tahajuud hi bayan kiya hai aur shara me bhi wohi hai aur khud Imam Bukhari bhi Tahazzud hi maante the. Agar Is Namaz se Murad Taraweeh hota KASAM ALLAH RABBUL IZZAT ki jab Baa Jamat Taraweeh Daur e Umar bin Khattab Radi allaho anho ne shuru karwaayi to Umool Momineen bolti k Taraweeh 08 hai balki wo khamosh rhi sahaba ki majority ne 20 padhi hai baa jamaat padhi hai kya kisi ko nhi samjha k taraweeh 08 hai balki sabne 20 hi likhi hai aur amal 1400 saal se itne muhadiseen ne bayan kiya taraweeh k 20 hone ki kya tamam musalman ye biddati the aur tum padhe likhe hogye ho akal k naakhoon lo aur hosh me aao kin jahilo k piche chal pade ho
    Ab bhi koi aankh me patti bandhe apni hi khud sakhta tehkeek ko leke aage badhe apna dimaag lagaye aur awaam ko gumraah khud gumraah ho aiso ko samajhna chahye k kaha jaa rahe hai.
    Allah se Dua hai k Tamam Musalmano ko is daur k fitna e azeem gair mukallideen k maker o fareb se mehfooz rakhe.
  • like & share

    Taraweeh Ki 20 Rakaat Ka Bayan http://yanabi.in/u/30

  • Subhanallah
  • subhan allah
Sign In or Register to comment.
|Donate|Shifakhana|Urdu/Hindi|All Sunni Site|Technology|