★بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم★لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ★اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ★
YaNabi.in
Important Question ¤~ Question-> Ramadan/Rozay Se mutalik - Mas'la Masayel Discussions on

Important Question ¤~ Question-> Ramadan/Rozay Se mutalik

edited May 2018 in Mas'la Masayel



like & Share 

~¤ Important Question ¤~
Question->
Ramadan/Rozay Se mutalik Funny sms bhejna kesa?
Answer->
Yaad Rhy Ramzan Muqadas Mahina He
Lihaza Aise MSG Hargiz Na Karen Jisme Ramadan,Rozay,Roze Daron Ka Mazak Udaya Gya Ho,
Maslan (eg):
>Kuch hi Rozon me apka to Ye HaaL HoGya
>Roza Rakh k kesi shakal ho gayi hai
>Aftar se PehLe 50KG, Aftar Ke Baad 80KG
>Yar Tumhe Abi Tak Qaid Nhi Kya Gaya (shaitan se comparison)
etc.
Khudara Is Be-Adabi (Ke Gunah) Se Bachen
(Ref: Daruifta Ahlesunat)
Plz Fwd 568 Reac)
واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
(عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
ﺟﺰﺍﻙ الله خيرا for reading
{Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
~@ Apne Roze Ko 6 Cheezo Se Bachaiye @~
1)-Nigaah Ki Hifazat Ho Kisi Aisi Jagah Nazar Na Pare Jo Aap Ke
Roze Ke Sawab Ko Khatam Kar de. (Mard kisi Gair-Mehrum Aurat ko hargiz na dekhe)
2)-Zabaan Ki Hifazat Jhuth, Chugal Khuri, Be Kaar Ki Baate, Gibat ,Gaali, Ladai Jhaghda, Kisi Ka Mazaaq Udana In sab Baaton Se Zabaan Ki Hifazat Karen.
3)-Kaan Ki Hifazat Har Wo Cheez Jis Ka Zabaan Se Nikalna NaJaiz Hai Isi Tarah Us Ka Sunna Bhi Na Jaiz Hai.
4)-Haath, Pair, aur Badan Ko NaJaiz Cheezo Se Bachana Hath Ko Haraam Cheez Ke Pakadne Se
Bachana Pair Ko Gunaah Ki Taraf Le Jane Se Bachana Isi Tarah Puri Body Ko Haraam aur NaJaiz Kaamo Se Bachana.
5)-Haraam Maal Se Iftaar Na Karen Yaha Tak Ke Agr Aap Ko Koi Iftaari Ki Dawat De aur Aap Ko Maloom Ho Ke Wo Haraam Kamata Hai Ya Aap Ko Shaks Ho Us Ki Kamai Me To Aiso Ke Yaha Iftaari Na
Karen
6)-Iftaar Ke Baad Apne Roze Par Naaz aur Fakhr Na Karen Balke Darte Rahe Ke Kahin Ye Roza Qayamat Ke Din Mere Muh Par Na Maar Diya Jaye
Har Haal Me Allah Ka Shukar Ada Karen Aur Roza Qabool Hone Ki Ummid Rakhe aur Dua Karen !
جزاك الله خيرا... For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
~¤ Important Question 2 ¤~
Question->
Dua-e-Iftar khajur khane se pehle padhi jaye ya baad mein ?
Answer->
Iftar ki dua amuman qabl az iftar padhne ka riwaaz hai yani Iftar shuru karne se pehle padi jaati hai
Imaam Ahle Sunnat Maulana shah Ahmed Raza khan رضی الله عنہ
{Fatawa Razawia,Jild 1,page no 132 ( ج۱۰ ص۶۳۱ ) } me apni tehkik yeh pesh ki hai ki dua iftar ke baad padhi jaye.
Question (Extended)->
Iftar ke baad padhi jaye matlab khajur khane ke baad ya phir pura iftaar karne ke baad wazahat farmayein Huzoor
Answer->
Khajur,chuara (Sukhi khajur) ya pani se iftar karna Sunnat hai.
Khajur kha kar ya pani pee lene ke baad dua-e-Iftar padhein.
Agar aapko dua ka tarjuma pata hoga toh mazeed samajh ne me aasani hogi.
Tarjuma-
"Aye Allah عزوجل !
Maine tere liye Roza rakha aur tujhpar Imaan laya aur tujhpar bharosa kiya aur tere diye hue rizq se Iftar kiya."
واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
(عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
{Reference-: Ahkam-e-Shariat
(Ahl-e-Sunnat) group}
~¤ Roza kis-kis chiz se kholna Sunnat hai ¤~
(1) Aaqa-e-Kareemصلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaya :-
"Khajoor Se Roza Kholo Aur Agar Khajoor Na Mile Toh Paani Se Roza Kholo, Isliye Ki Wo Paak Hai."
(Abu Dawoòd, Tirmizi)
(2) Hazrat Anasرضی الله عنہ Bayaan Karte Hain Ke Hazrat Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Namaz Se Pehle Taaza Khajooro'n Se Roza Kholte The, Agar Taza Khajoore Na Milti To Sookhe Khajooro'n Se Roza Kholte Aur Agar Sukhi Khajoore Na Hoti To Chand Ghoont Paani Pee Lete The.
(Abu Dawood , Tirmizi)
In hadees se malum hua ki
1-Khajur
2-Paani
3-Chuare (Sukhi khajur)
se roza kholna Sunnat hai.
جزاك الله خيرا... For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
~¤ Important Question 3 ¤~
Question->
Kuch logon se Sunte rehte hain ki Sehri ka waqt Azaan se kuch hi der pehle khatm hota hai.
(Maslan:Sehri ka aakhiri waqt 4:27 tha aur kisi shakhs ne 4:32 tak sehri ki aur roza bhi rakhliya to kya uska roza ho jayega ?
Jab ki usse sehri ka aakhiri waqt pata tha magar usne kaha ke thoda waqt rehta hai Toh usne jaan kar aisa kiya magar shayad la-ilmi ki wajeh se aisa kiya hai)
Rehnumai farmayein.
Answer->
Roozey ko us ke waqt per band
kerna hi lazim hai bhai,time guzerny ke baad bhi khaty rahy tou rooza nahi hoga.
Question (Extended)->
Toh 4:35 ka time tha toh usse ek minute bhi late nahi kar sakte ?
Answer->
G han ek second bhi late nahi ker sakty.
واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
(عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
{Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
~¤ Pani peene ki 6 Sunnatein ¤~
1)-Seedhe haath se peena.
2)-Baith kar peena.
3)-Ujale me paani ko dekhkar peena.
4)-Peene se pehle "Bismillah" padhna.
5)-Teen saans me peena.
6)-Peene ke baad "الحمدلله" kehna.
Saare bhaiyon se request hai ki in aasan sunnaton par amal karne ki koshish karein.
"Bhaiyon gar Sukoon chahiye,
Sunnaton par chala kijiye."
Keep Watching Madani Channel !
ﺟﺰﺍﻙ الله خيرا for reading
~●~●~●~● ~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~ ●~●~●~●~
~¤ Important Question 4 ¤~
Question->
ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
Taraveeh ki Namaz ke mutallik zara detail me bata dein...
Answer->
ﻭﻋﻠﯿﮑﻢ ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
Yeh padhlein....
••● Taraweeh ke Ahkam ●••
1)-Namaz-e-Taraweeh mard-o-Aurat k liay Sunnat-e-Moaqada hai, es ka tark dono k liay jaiz nahi, ager karain gey tou gunahgar hon gey.
2)-Jamhoor ulama ka eshe per itefaq hai k namaz-e-taraveeh ki 20 rakatain hain, lehaza jo 8, 12 yan 16 perhty hain yeh kaheen sey bhi sabit nahi.
3)-Namaz-e-Taraveeh ka waqt esha ke Farz sey shuru ho jata hai aur tuloo-e-fajr tak rehta hai, witr es sey pehly bhi perhy ja sakty hain aur baad main bhi. Witr jama'at k sath perhna Afzal hai LAZIM nahi.
4)-Namaz-e-Taraweeh ka waqt khatam ho gaya aur adda nahi keen, tou namaz-e-taraweeh ki qaza nahi hoti, ager in ki qaza perhy ga tou nafawil-e-mustahab main shumar hon gey.
5)-Afzal yeh hai k 20 rakat 10 salam sey perhi jaian, yaani her 2 rakat k baad salam pheer dein. 4,4 ker ke perheen 5 salam k sath tub bhi ho jaian gi.
6)-Aik quran-e-paak ko khatam kerna ho tou afzal hai k 27th shab ko khatam kia jai , es sey pehly quran khatam hua tou akhri shab tak namaz-e-taraveeh perhi hogi, aisa nahi hai k quran khatam tou ab namaz-e-taraweeh bhi khatam, ramazan ki saari raaton main taraweeh 20 rakat perhna sunnat-e-muaqada hai, mard aur aurat dono k liay.
7)-Her 4 rakat k baad itni deir beithna mustahab hai jitni deir main 4 rakatain perhi hain.
8)-Jitni deir beithy es main ikhtiyar hai k chup bethy rahain, yan durood perhain yan koi dua, behter yeh hai k tasbeeh-e-taraweeh perhain.
9)-Taraweeh main jama'at kerwana sunnat-e-kifaya hai, k ager masjid k sub loog jama'at tark ker dein gey tou sub gunahgar hon gey, aur kuch ney jama'at sey perhi tou sub ki sunnat adda ho gai, afzal yehi hai k jama'at k sath perhi jai.
10)-Taraweeh masjid main jama'at k sath perhna afzal hai, ager gher main jama'at kerwata hai tou jama'at k tark ka gunah nahi, han wo sawab nahi mily ga jo masjid main milta hai.
11)-Aik masjid ko chor ker dosri masjid main jaana jaiz hai, laikin IMAM main koi aeb na ho tou budgumani ker k na jai, weisy he kisi dosri masjid main chala jana chahta hai tou jaiz hai.
12)-Taraweeh ki ujrat leina yeh najaiz hai, perhny wala aur perhany wala dono gunahgar hon gey, ujrat sirf yeh nahi jo teh ker li jai, bal k understood hai k yahan taraweeh perhany per kuch milta hai tou yeh leina bhi jaiz nahi, han ager keh dey k main na kuch don ga aur hafiz bhi keh dey k na kuch loon ga, phir loog weisy he tohfatan kuch dein tou jaiz hai.
13)-AIk imam ka 2 masjidon main poori poori namaz-e-taraweeh perhana jaiz nahi.
14)-Aik he jama'at main aik sey zaid imam k peechy namaz-e-taraweeh perh sakty hain, laikin behter yeh hai k poorey terweeh per imam badlain, maslan 8 aik k peechy aur 12 dosrey k peechy.
15)-Nabaligh bachy k peechy baligheen ki namaz nahi hoti.
16)-Ramazan main Witr jama'at k sath perhna AFZAL hai.
17)-Yeh jaiz hai k aik shaks esha aur witr perhaye aur dosra taraweeh.
18)-Ager sub logon ney esha ki jama'at tark ker di hai tou taraweeh bhi jama'at k sath na perhain, han baaz ko jama'at mil gai tou wo taraweeh main shirkat ker sakty hain. Yeh hukm behtari ka hai lazim ka nahi.
19)-Ager esha jama'at k sath nahi perhi tou witr bhi jama'at k sath na perhain, beyshak taraweeh jama'at k sath perh li ho.
20)-Taraweeh bila waja beith ker perhna makroh hai, ziada ter ke nazdeek hogi he nahi.
21)-Imam ney 3 rakatain bhool sey perh dein hain aur salam pheer dia, 2nd perh beitha nahi tha tou yeh rakatain na hon gi.
(Reference->Bahar-e-Shariat, Hissa:4)
{Copied from-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
ﺟﺰﺍﻙ الله خيرا for reading
~●~●~●~● ~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~ ●~●~●~●~
‪#‎BoycottAgainstIsraelContinues‬
{Note:- Aaj 3 Ramadan-ul-Mubarak hai yaani
Sayyida, Tayyiba, Tahira, Zaahida, Aabida, Zaakira, Sayyida-e-Kaainat, Malikaa-e-Firdaus, Noor-e-Chashm-e-Rahmatullil Aalameen صلی اللہ علیہ وسلم ki Pyaari Sahabzadi
"Hazrat Sayyida MAA FATIMAH ZEHRA ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨها" ke Urs Mubarak ki tarikh hai.
Aap Sabse Arz hai ki Khoob khoob esal-e-sawaab karein aur Niyaazon ki bhi tarkib banayein}
Question->
ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
Sajda-e-tilawat Quran me kitni martaba hai aur sajda kis par wajid ho jata hai ?
Answer->
ﻭﻋﻠﯿﮑﻢ ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
Qur’an Majeed Me 14 Aayatein Aisi Hai Ke Jin Ke Padhne Ya Sunne Wale Aur Sunane Wale Dono Per Sajdah Karna Wajib Ho Jata Hai
IsKo Sajdah Tilawat Kehte Hai.
(Durre Mukhtaar Jild 1, Safa 513)
Question (Extended)->
Isko karne ka tarika kya hai ?
Answer->
Sajdah Tilawat Ka Tariqa Ye Hai Ke Qible Rukh Khade Ho Kar
“ALLAHU AKBAR” Kehta Hua Sajdeh Me Jae Aur Kam Se Kam 3 Baar “سبحــــــــــان ربي الاعلــــى” (Sajde me padhi jaane wali tasbeeh)
Kahe – Phir “Allahu Akbar” Kehta Hua Khada Ho Jaye – Bas Na Is Me Allahu Akbar Kehte Hue Haath Uthana Hai Na Is Me Tash’had Hai Na Salam.
(Durre Mukhtaar Jild 1, Safa 513)
Question (Extended)->
bhai jab sajda e tilawat wali ayaat suni ya padhi toh kya sajda tab hi karna zaroori hai ?
Mazeed yeh bhi bata dein ki sajde wali ayaat kon-kon se pare me hai.
Answer->
Namaz k dooran ager aajai tou fooran kerna WAJIB hai,
ager beiroon-e-namaz aajai tou fooran kerna WAJIB nahi hai, laikin ager wazoo ho tou MUSTAHAB hai ki ker lia jai...
Yeh paaron main hai dekh lein;
-Para:9, Sura Aaraf, Verse:206.
-Para:13, Sura Raad, Ayat:15.
-Para 14, Sura Nehl, Ayat:49.
-Para 15, Sura Bani israeil, Ayat:107-109.
-Para 16, Sura Mariyum, Ayat:58.
-Para 17, Sura Hajj, Ayat:18.
-Para 19, Sura Furqan, Ayat:60.
-Para 19, Sura Namal, Ayat:25-26.
-Para 21, Sura Sajda, Ayat:15.
-Para 23, Sura Daood, Ayat:25.
-Para 24, Sura Sajda, Ayat:37-38.
-Para 27, Sura Najam, Ayat:62.
-Para 30, Sura Inshiqaq, Ayat:20-21.
-Para 30, Sura Alaq, Ayat:19.
واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
(عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
{Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
~¤ Important Question 6 ¤~
Question->
ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
Kya Ehtelam (Night fall) hone se Roza toot jata hai ?
Answer->
ﻭﻋﻠﯿﮑﻢ ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
Ji Ehtelam hone se Roza nahi toot'ta....
Yeh riwayat padhlein.
->3 Chizo Se Roza Nahi Toot'Ta<-
1)-Pachhna
(Badan Se Fasid khoon nikalwana jise Hijama Bhi Kehte Hai}
2)- Qaye {Ulti}
(Jo Khud se Ho isse Roza nahi toot'ta,
magar Qasdan {jaanbujkar} Kiya Aur Muh Bhar Qaye Hui To Toot Gaya)
3-Ehtelam
(sote Me Mani Ka Nikalna, Ya bemari Ya Boojh Uthate WAQT Nikal Jaye To Roza Nahi Toota, Apne Haaton (Mushtzaani/Masturbation se) Nikala to Toot Gaya)
{Tirmizi, jild-2, page-177, 719}
واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
(عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
~¤ Roza Iftar karwane wale ki Magfirat ¤~
Mere pyaare Aaqa Madine wale Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم ka farman magfirat nishan hai...
"Ramzan ke mahine me momin ka rizq badhaya jaata hai Jo isme rozadar ko iftaar karaye uske gunaho k liye magfirat hai aur
uski gardan aag se azaad kardi
jayegi aur iftaar karane wale ko
waisa hi sawaab milega jaisa roza rakhne wale ko milega
Bagair iske (yaani roza rakhne wale ke) ajr me kuch kami ho"
Sahaba Ikram ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨهما ne arz ki Ya RasoolAllah صلی اللہ علیہ وسلم
"Hum mein se har koi toh itna ikhtihar nahi rakhta ki kissi ko Roza Iftar kara paye"
Aaqa صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya...
"ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ, yeh sawaab (toh) us (shakhs) ko dega jo 1 ghoont dhoodh ya 1 khajoor ya 1 ghoont paani se roza iftaar karwaye
aur
jisne rozadar ko pet bhar khilaya, usko ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ,mere hauj se pilayega ki kabhi pyasa na hoga
Yahan tak ki jannat me dakhil hojaye"
(Mafum from faizane ramzan hindi pg 14)
جزاك الله خيرا... For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
~¤ Important Question 7 ¤~
Question->
ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
"Takbir-e-tahrima" me lafz "Allahu-Akbar" keh kar Namaz shuru kari magar itni zor se nahi kaha ki khud ke kaan sun lein toh Namaz ho jayegi ?
Rehnumai Farmayein
Answer->
وعلیکم السلام ورحمت الله وبرکاته
"Takbeer-e-tehreemi" namaz main FARZ hai,
itni awaz sey kaha jai ke khud ke kaan sun lein ager aas paas koi rukawat ya shoor nahi hai tou,
laikin ager itni awaz sey kaha he ki khud ke kaano ney nahi suna tou Namaz na hogi kyunki Namaz shuru hi nahi hui,
kyun ki in ko sahi talafuz sey adda kerna bhi lazim hai,
es liay apny kaan sun lein yeh lazim hai.
Question (Extended)->
Jama'at ke saath bhi itni buland awaaz se kehna farz hai?
Answer->
G han itni awaz sey kahain k khud k kaan sun lein.
Question (Extended)->
Huzoor ek aur baat kya Islami behno ke liye bhi yeh hukm hai ?
Answer->
G han.
واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
(عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
{Reference:-Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
~@ Ek Hadees @~
~¤ HADEESE NABAWI ¤~
Hazrat Abdullah Bin Mas'ood رضی الله عنہ Se Riwayat hai ki "Rasool-e-Akram"صلی اللہ علیہ وسلم
Ne Farmaya...
"Woh Shakhs Jannat Mein Na Jayega Jiske Dil Me Ratti Barabar Bhi Ghuroor (takabbur/Attitude) Hoga."
(Saheeh Muslim-1-191-267)
Aye Allah !
Hum sab ko is Gunaah ki bimari se naja'at ata farma....
جزاك الله خيرا... For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
~¤ Important Question 8 ¤~
Question->
Taraveeh ki 20 rakaatein kya hadees se sabit hai ?
kyunki kuch log sirf 8 rakaat taraveeh padhte hai.
Answer->
Bhai es hawaley sey yeh perh lein:
Namaz-e-taraveeh ki rakatain 20 hoti hain aur saari he sunnat-e-moaqada hoti hai,
8 rakat perhna khilaf-e-sunnat hai.
Taraveeh "tervia" ki jama hai aur tervia kehty hain jism ko rahat
deina,
kyun k taraveeh main her 4 rakat k baat kuch deir beithty hain es liay es beithny ko tervia kaha jata hai,
jama kum az kum 3 per booli jati hai,
ager taraveeh ki rakatain 8 hooten tou es k dermiyan main aik tervia aata phir es ka naam taraveeh na hota kyun k 3 tervioon k liay kum az kum 16 rakatain chahiyain,
jin main her 4 rakaton ke baad aik
tervia ho aur witr sey pehly koi tervia nahi hota.
lehaza taraveeh ka naam he 8 rakat ki terdeed kerta hai.
Lehaza taraveeh 8 rakat perhna kahi per bhi sabit nahi hai, na he koi eski koi daleel la sakta hai.
Ab hum 20 rakaat padhne ki SAHABA k dalail pesh kerty hain:
-Hazrat Umer ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ ney apny zamana-e-KHILAFAT main 20 rakat namaz-e-Taraveeh
ki jama'at ka baqaida intizam kia aur eshe per SAHABA ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨهما ka ijma hua.
(Mauta Imam Maalik, Kitab-us-Salah, V:1, Page:115,Hadees:252)
Gheir Muqalid (Wahabiyon) ke liye dalail:
-Ibn-e-Abi Sheiba aur tibrani kabeer main aur Abdullal ibn-e-hameed ney riwayat ki
"Taraveeh 20 rakat hai aur 20 rakat he perhi jai gi".
(Musanif Ibn-e-Abi Sheiba, V:2,
Page:124, Hadees:7692)
-"Ahl-e-ilm ka aml es per hai jo Hazrat Ali-o-Umer ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ aur deegar SAHABA sey
merwi hai k taraveeh 20 rakat hai, Sufiyan Soori, Ibn-e-Mubarik aur Imam Shafaee ney apny sheher makka muazama main yehi cheez
raij dekhi k musalman 20 rakat taaveeh perhty they".
(Sanan Al-Tirimzi, V:3, Page:149, Hadees:806)
{Detailed Explanation to be Continued....}
واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
(عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
{Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
جزاك الله خيرا... For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
~¤ Important Question 8 (Continued) ¤~
Question->
Bhai taraveeh ki 20 rakaatein kya hadees se sabit hai ?
kyunki kuch log sirf 8 rakaat taraveeh padhte hai.
Answer (Explanation Continued)->
Gair Muqalideen (wahabi) 8 rakat tarawih ke suboot mein Sahih Bukhari ki ek Hadees pesh karte hai jo Haqeeqat mein Tarawih ke baare mein hai hi nahi
Gair Muqalideen (wahabi) ki daleel aur uska jawaab:
Daleel:
HADEES:
Abu Salma bin Abdur Rahmaan رضي الله تعالى عنه riwayat karte hai unhone Hazrat Aisha ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨها
se RasulAllah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلم ki Namaz ke mutaliq pucha.
Aap ki Namaz kaisi thi ?
Unhone kaha Ramzan ho ya Gair e Ramzan, 11 rakato se zyadah kabhi na padhte the,
4 rakate aisi padhte unki Umdagi aur tawalat ke baare mein to pucho hi nahi,
phir 4 rakate adaa farmate unki umdagi aur tawalat ka kya kehna.
Phir 3 rakat padhte.
Hazrat Aisha kehti hai, maine arz kiya Yaa Rasulallah
صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ !
Aap witr padhne se pehle so jate hai ?
Aap ne farmaya, Aisha meri Aankhe to so jaati hai lekin dil nahi sota.
[Sahih Bukhari, jild 1, pg 451]
JAWAB:
Is Hadees mein to sirf itna hai ki Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ saara saal 11 rakat padhte the.
Is mein Tarawih ki sarahat to nahi hai.
Is Hadees mein to Tahajjud ki namaz ke baare mein hai.
11 rakat se muraad 8 rakat Tahajjud aur 3 rakat Witr.
Kyunki is Hadees ko Tamaam Muhadiseen (Imam Muslim, Imam Abu Dawood, Imam Nasai, Imam Tirmizi, Imam Abdur Razzaq wagaira رضي الله تعالى عنه ) Tahajjud ke baab mein laaye hai.(kitaab me)
Aur is Hadees mein us Namaz ka zikr hai jo Pura saal padhi jaati hai aur Tarawih saara saal nahi padhi jaati.
Agar is namaz se tarawih muraad hoti to Gair e Ramzan ke alfaaz na hote.
Is Hadees ke aakhir mein hai ki 3 rakat witr padhte the Jabki Gair Muqallideen Ahle Hadees Kehlane wale ya Jamatul Muslimeen kehlane wale to ek rakat witr padhte hai.
Agar is Hadees ke pehle hisse se Tarawih muraad lekar pehle hisse par amal karte hai to phir dusre hisse par amal kyu nahi karte ?
Aur Tamaam Ahaadees ki kitabo mein is Hadees ko Imam Malik رضي الله تعالى عنه ki sanad se laya gaya hai jabki khud Imam Malik رضي الله تعالى عنه 
8 rakat tarawih ke Qaail nahi.
{NOTE: TARAWIH KI 8 RAKAT KISI SAHIH HADEES SE SABIT NAHI. MUSALMAAN DHOKA NA KHAYE.}
واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
(عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
جزاك الله خيرا... For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
~¤ Important Question 9 ¤~
Question->
ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
Roza tod dene wali chizon ke baare me batakar rehnumai farmayein !
Answer->
ﻭﻋﻠﯿﮑﻢ ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
Yeh Padhlein
<<-Rooza toar deiny wali cheezon ka Bayan->>
-Khaney, peeny yan phir sohbat (intercourse) kerny sey rooza toot jata hai, jub k roozadar hona yaad ho.
-Huqqa, cigar, cigarette waghera peeny sey bhi rooza toot jata hai, agarche yeh khayal bhi ho k halaq tak dhuwan nahi pohancha.
-Paan yan tambako khaney sey bhi rooza toot jata hai, agarche es ko baar baar thookty rahain, kyun k es k bareek ajza ander chaly jaty hain.
-Toothpaste kerny sey bhi es k bareek ajza ander chaly jaty hain, lehaza rooza toot jata hai.
-Daanton k dermiyan koi cheez chaney k baraber yan ziada thi, yan agarche kum thi, mu sey nikaal ker kha lia tou rooza toot jai ga.
-Daanton sey khoon nikal ker halaq k neechy uter jaany sey rooza toot jata hai.
-Roza daar honey k bawajood kisi dawai ko naak k zariyay ander cherhaya tou rooza toot jata hai.
-Vicks laganey aur steam leiny sey bhi rooza toot jata hai.
-Sarak per jo gaariyon ka dhuwan hota hai, ager yeh gheir ikhtiyari toar per ander chala gaya tou rooza nahi hooty ga, han ager koi jaan ker esko ander ley ker jaata hai tou toot jai ga.
-Roozadar k mu main kisi ney cheez pheinki aur roozadar hona yaad hai, ab ander ley li tou rooza toot jai ga.
-Kuli kerty huay paani halaq k neechy uter gaya aur roozadar hona yaad tha tou rooza toot jai ga.
-Sooty huay main paani pee lia yan kuch kha lia tou rooza toot jata hai.
-Dosrey ka thook nigal lia, yan apna thook haath main dala aur nigal lia tou rooza toot jai ga, weisy he mu ka thook ander ley jany sey rooza nahi toot'ta hai, laikin mu main thook jama ker k ander ley ker jaana, aisa kerna roozey ki halat main MAKROH hai.
-Aanso yan paseena mu main chala gaya, ager aik 2 qatrey hain tou muaaf hain, ziada hain tou rooza toot jai ga, jub k in ki numkeeni poorey mu main mehsoos ho.
-Roozey k dooran khud ba khud vomit ho jai tou beyshak balti bher nikly rooza nahi toot'ta hai.
Ager rooza yaad hai aur jaan k vomit ki tou ager mu bher hai aur us main khana niklta, yan khoon nikla yan kerwa paani nikla tou rooza toot jai ga, sirf bulghum yan thook nikalney sey rooza nahi tooty ga.
-Jaan ker vomit ki laikin mu bher na thi tou rooza nahi tooty ga.
Mu bher keh khud sey aai, ager aik chana baraber bhi wapis ander ley li tou rooza toot jai ga.Mu bher nahi thi aur wapis ander ker li tou rooza nahi tooty ga.
(Mu bher vomit wo hoti hai jisko rokna chahain tou bhi na rook sakain)
-Aurat ko kiss kia yan kisi cheez ko shehwat sey dekha aur manni kharij ho gai tou rooza toot jata hai.
-Hand practice kerny main ager mani kharij ho gai tou rooza toot jai ga.
-Aurat ko mard ney khud touch kia aur mard ki manni kharij ho gai tou mard ka rooza toot jai ga, ager aurat ney mard ko touch kia yan kiss kia aur mard ki manni kharij ho gai tou mard ka rooza nahi tooty ga, same case aurat k liay bhi hai.
-Eye drops dalney sey bhi rooza toot jata hai.
-Naak main dawa dalney sey bhi rooza toot jata hai.
-Musht zanni ki tou jub anzal ho jai ga tou rooza toot jai ga.
-Islami behn ka roozey k dooran kajal lagana jaiz nahi, es sey bhi rooza toot jata hai.
-Islami behn ko haiz-o-nifaas aagaya tou rooza toot jai ga, chahy roozey main aik minute he baaqi ho, es roozey ki qaza kerni hogi.
Islami behnain ushe waqt sey kha pee sakti hain jub inhain jub inka rooza tooty ga haiz-o-nifaas ki waja sey, baaqi wajoohat ki bina sey ager rooza toota tou islami bhai aur behnain rooza khulney waqt tak kuch na khaian.
-Roozey ki halat main koi khany ki cheez chakhna makroh hai, chakhna esko kehty hain k zaban k front k hissy per thora sa laga ker taste check ker ley, chamach bher k kha lia tou rooza toot jai ga, chakhna sirf 2 suraton main jaiz hai, aik yeh k biwi ko shoher ka khoof ho k ager check nahi kia tou shoher ghussa kary ga, dosra yeh k bazaar sey koi cheez ley rahy hain chakhi nahi tou nuksan ho jai ga.
(Faizan-e-Sunnat, Ahkam-e-Rooza)
واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
(عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
{Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
جزاك الله خيرا... For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~

Comments

  • ~¤ Important Question 10 ¤~
    Question->
    ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    Kin chizon se Roza Nahi tuthta hai ?
    Answer->
    ﻭﻋﻠﯿﮑﻢ ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    Yeh Padhlein
    <<-Un cheezon ka bayan jin sey rooza nahi toot'ta->>
    -Bhool ker khaya pia yan sohbat ki aur roozey dar hona yaad nahi tha tou rooza nahi tooty ga.
    -Rooza yaad tha aur gard-o-ghubar, makhi wagheira halaq main chali gai tou es sey rooza nahi tooty ga, khua ghubaar aaty ka ho yan dhuwan ho yan mitti ho.
    -Bus yan deegar gariyon ka dhuwaan bhi na chahty huay ander chala gaya tou rooza nahi tooty ga.
    -Agerbati yan moombati ka dhuwan na chahty huay ander chala gaya tou rooza nahi tooty ga, han khud jaan k ander ley lia tou rooza toot jai ga.
    -Iter, perfume yan kisi bhi cheez ko smell kerny sey rooza nahi toot'ta hai, roozey ki halat main iter lagana bhi jaiz hai.
    -Ghussl yan wuzoo kia aur paani halaq k neechy chala gaya, roozey dar hona yaad nahi tha tou rooza nahi tooty ga.
    -Kisi khaney ki cheez ko soongney sey mu main yan halaq main eska maza peida hony sey bhi rooza nahi tootay ga.
    -Cotton bud yan kisi tinkey sey kaan saaf kiay aur wohi mael laga hua tinka yan cotton bud kaan main wapis daala tou rooza nahi tooty ga.
    -Daant k ander koi cheez mamooli c reh gai thi ab wo thook lagny ki waja sey ander chaly gai tou rooza nahi tooty ga.
    -Mathi galy main chaly gai tou rooza nahi tooty ga, ager jan k esko nigal lia tou rooza toot jai ga.
    -Bhooly sey khana kha rahy they yan paani pee rahy they yaad aaty he bahir nikal dia tou rooza nahi tooty ga.
    -Subah sadiq sey pehly kha pee rahy they, subah hoty he tark ker dia tou rooza ho jai ga.
    -Gheebat kerny sey rooza nahi toot'ta hai, albata yeh sakht haram kaam hai.
    (Roze me Gunaah ?
    Tauba Tauba !)
    -Kisi ko gaali deiny sey, choori kerny sey, jhoot bolney sey, dhoka deiny sey, wada khilafi kerny sey rooza nahi toot'ta hai, albata roozey ki halat main yeh kaam kerna roozey ki noorariyat ko khatam ker deita hai, sawab bhi kum ho jata hai.
    -Roozey ki halat main ager koi ghalat manzer dekha aur manni kharij ho gai tou sirf dekhny sey rooza nahi tooty ga, albata khud apny hath sey mani kharij ki yan apny hath involve tha ab manni nikli tou rooza toot jai ga.
    -Roozey ki halat main surma lagana jaiz hai, es sey rooza nahi toot'ta hai.
    -Ager ghussal farz tha tou beyshak sara roozey ka waqt aisy he guzra rooza ho jata hai, laikin ghussal main itni takheer ker di k namaz ka waqt chala gaya tou yeh haram hai, aur weisy bhi ghussal jald he kerna chahiyay kyun k hadees-e-paak main hai jis gher main jumbi hota hai es main rehmat k farishty nahi aaty.
    -Ehtalam honey sey rooza nahi toot'ta hai.
    -Thook yan balghum ander ley jany sey rooza nahi toot'ta.
    -Naak main reinth(gand) jama tha esko saans kheink k ander ley gaey, es sey bhi rooza nahi toot'ta.
    -Miswak kerny sey rooza nahi toot'ta hai, laikin flavoured miswak nahi ker sakty hain, eska hukm tooth paste wala hai.
    -Thandak hasil kerny k liay kuli kerna yan mu ka agla hissa dhona yeh bhi roozey ki halat main jaiz hai.
    -Apna thook ander ley jany sey rooza nahi toot'ta, laikin mu main thook jama ker k ander ley ker jana, yeh roozey ki halat main kerna makroh hai.
    واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
    (عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
    {Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~

    ~¤ Important Question 11 ¤~
    Question->
    Agar kisi ko diabeties ho ya koi bimari ho ya kamzori ho toh is halat main ramzan ke roze nahi rakh pate to un ke liye kya hukm he ?
    Answer->
    Bhai dekhiyay beemari k sabab rooza chorney ki 3 conditions hain,
    1)-aik yeh k kisi KHOOF-e-KHUDA rukhney wala doctor aap ko kahy k aap rooza na rukhiyay,
    2)-dosri condition yeh hai k aap ka past experience hai,
    jeisy pichli baar roza rakha tha toh chakkar aagaye the diabetes ki wajah se toh ab aap rooza chor sakti hain,
    3)-Teesra yeh k mojooda MUSHAHIDA (Current Observation) yeh keh raha hai k rooza rukha tou beemar ho sakte hon,
    lehaza in 3 wajoohat ki bina per aap rooza choor sakti hain,
    laikin baad main in roozey ki qaza aap per FARZ hai.
    Question (Extended)->
    Agar koi beemar hai Roze rakh sakta hai par Tarawi nahi padh sakta to kya uske roze qubool nahi honge ?
    Answer->
    Dekhiyay bhai taraveeh nahi perhi tou roozey ho jaty hain,
    laikin taraveeh perhna SUNNAT-e-moaqada hai mard aur aurat dono k liay,
    esko nahi choor sakty hain,
    ager beith ker bhi nahi perh sakta hai tou lait ker perh ley esharon ke saath.
    واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
    (عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
    {Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~

    ~¤ Important Question 12 ¤~
    Question->
    Salaam
    Jo ramzan key rozay na rakh Sakta ho tu us ko kitna fidiya dayna hay plz ek proper amount bata dein paison ki 30 rozoon ke.
    {Maslan (eg) kuch diabetes ke patients Roze nahi rakh paate}
    Answer->
    وعلیکم السلام ورحمت الله وبرکاته
    Dekhiyay pehly yeh hukm hota hai ki ager baad main kabhi tandrust ho jai tou rooza rukhy,
    laikin baad main bhi tandrust hone ka chances nahi hain (jaise aapne bataya ki Diabetes ke Mariz) tou phir fidya dey,
    ek roozey ka ek sadqa-e-FITR, yaani 2 kilo main 80 grams kum geyhoon,
    jo aap khud khaty hain,
    yeh weisy he dey dein yan es ke baraber raqam adda ker dein.
    واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
    (عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
    {Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
    ~@ Faizan-e-Ramzan @~
    Mankul hai ki Allah Talah ne Hazrate Sayyeduna 
    Moosaعليه السلام,
    Se Farmaya ki
    "Maine Ummat-e-Muhammadiya صلی اللہ علیہ وسلّم, ko 2 Noor ata kiye hai taaki woh 2 Andhero ke zarar (Yani Nuksan) se Mehfuz rahe."
    Sayyeduna Moosa 
    Kalimullahعليه السلام,
    Ne Arz ki,
    "Ya Allahعزوجل, Woh 2 Noor kaunse hai ?"
    Irshad hua,
    "Noor-e-Ramzan Aur Noor-e-Quraan."
    Sayyeduna Moosa
    Kalimullahعليه السلام,Ne Arz ki,
    "2 Andhere kaun kaun se hai ?"
    Farmaya,
    "Ek Qabr ka Aur Dusra Qayamat ka."
    (Durtunnasihin, Safha 9)
    {Faizane Sunnat Hindi Pg 873}
    Pyaare islami bhaiyo humein bhi chahiye ki Jo Allah ne humein Noor ata kiye hain usse Qabr aur Qayamat ke andhere ko door karne ki koshish karein...
    Maut se pehle Maut ki Tayyari karein !
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~

    ~¤ Important Question 13 ¤~
    Question->
    ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    Roza chhod dene ki ijazat kab hai tafseel se bata dein...
    Answer->
    ﻭﻋﻠﯿﮑﻢ ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    <<-Rooza chorny ki wajoohat ka bayan->>
    -Safr ki halat main rooza rukhny ka ikhtiyar hai, musafir k paas option hoti hai, chahy tou rooza rukhy, chahy tou na rukhy, na rukhny per gunah nahi hai.
    -Sharai musafir wo hota hai jo 92km tak jany ki niyat sey apny makam-e-ikamat sey bahir hogaya ho, es k detail ahkam aap ko hamari files main mill jaian gey.
    -Musafir jub safr ki halat main ho tub rooza muaaf hai, abhi halat-e-ikamat main hain din main safr kerna hai tou rooza rukhna hoga.
    -Beemari ki waja sey rooza chorny ki 3 suraton hain,
    1)-pehli yeh k kisi khoof-e-KHUDA rukhny waly doctor ney aap ko mana kia ho k ager rooza rukha tou aap ki beemari berh jai gi yan us k theek honey ki duration berh jai gi, es bina per aap rooza choor sakty hain, laikni doctor khoof-e-khuda wala ho, aaj kal aam doctors zara sa nazla zukam ho tou rooza chorny ka keh deity hain, aisa doctor na ho perheezgar aur sharai masail janany wala ho.
    2)-Dosra yeh k aap ka koi past experience hai, jeisy pehly rooza rukha tha aur same beemari thi, tou beemari berh gai thi yan theek honey main time lag gaya tha tou es bina per bhi rooza chor sakty hain.
    3)-Teesra yeh k mojooda mushahida ho, yaani aql yeh keh rahi ho k rooza rukha tou beemari berh jai gi yan theek honey main time lagy ga, in 3 suraton ki bina per rooza chor sakty hain.
    -Beemari ki bina per rooza choora tou hukm yeh hai k jub tandrust ho jai tou roozey ki qaza kary, yeh FARZ hai, fidya deina kaafi nahi, han future main bhi rooza rukhny per qudrat nahi rukhta hai tou phir fidya deiny ka hukm hai.
    -Ek roozey ka fidya yeh hai k jo aata aap apny gher main use kerty hain eska 1 kilo 920 grams sadqa ker dein, yaan itni raqam, yeh aik roozey ka fidya hai, jitny roozey hain us k hisaab sey multiply ker lein.
    -Koi aisi beemari aagai hai k ab rooza berqarar rukha tou sehat kharab ho jany ka khatra hai yan jaan chaly jaany ka khatra hai tou rooza toor sakta hai.
    -Jo rooza toora eski baad main qaza kerna farz hai.
    -Jo islami behn pregnant hain wo doctor sey mashwara ley lein, doctor tajweez kerta hai k rooza rukhain gi tou bachy ko yan aap ko nuksan pohanchny ka khatra hai tou rooza choor sakti hain.
    -Bhook aur piyaas ki beemari aisi ho k halaq honey ka khatra hai tou rooza chor sakta hain.
    -Aisa burha (buzurg) hai k rooza rukhny per qaadir nahi tou rooza chor sakta hai.
    -Ager burha admi serdi main rooza rukhny per qadir hai germi main nahi tou hukm yeh hai k serdiyon main roozey rukhy yeh us per farz hai, germi k choor sakta hai.
    -Haiz-o-Nifaas wali k liay rooza rukhna haram hai, in ayaam k roozon ko baad main qaza kerna farz hai.
    -Jin suraton main rooza baad main rukhny ka hukm hai in suraton main baad main rooza rukhna FARZ hai, ager baad main bhi nahi rukh sakty hain tou fidya dein, aik roozey ka fidya 2 kilo main 80 grams kum aata hai jo khud khaty hain, yan es k baraber raqam.
    -Kaam ki mushakat ki waja sey rooza chorny ki ijazat nahi hai, bal k utna kaam kia jai jitna aap roozey main nibha sakty hain, jo loog kaam ki mushakat ki waja sey bila waja rooza chor deity hain yeh gunahgar hoty hain, maalik ko bhi chahiyay k mulazmeen sey utna kaam he ley jitna wo roozey ki halat main ker sakty hain.
    واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
    (عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
    {Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~
    ~¤ Important Question 14 ¤~
    Question->
    Salaam
    Agar aurat ka haat lag jaye to kiya wuzu toot jayega ?
    janbujhkar chune se wazu tuthta hai ya anjane me lag jaye to bhi wuzu tuth jata hai????
    Answer->
    ﻭﻋﻠﯿﮑﻢ ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    Bhai sirf haath lagne se wuzu nahi toot'ta hai,
    han ager haath laga aur mazzi nikal aai tou wazoo toot jai ga,
    aur ager manni nikal gai tou wuzu bhi toot jai ga aur GHUSSAL bhi farz ho jai ga.
    (Yaad rahe Kisi gair-mehrum Aurat ko shehwat ke saath jaankar haath lagana bahut bada Gunaah hai aur iska shumar Zina karne me hoga)
    Question(Extended)->
    logon me yeh baat bahut mashoor hai ki Zor se hasne se wuzu tute jaata hai ?
    Rehnumai farmaye
    Answer->
    Bhai rokko aur sujood wali namaz main ager baligh ney qehqaha lagaya yaan itni awaz sey hasa k khud bhi suna aur dosron ney bhi suna tou namaz bhi fasid ho gai aur wazoo bhi toot gaya,
    ager itni awaz sey hasa k khud tou suna leikin dosron ney nahi suna tou namaz fasid ho gai laikin wazoo baaqi raha,
    ager sirf muskuraya tou na wazoo tootey ga na he namaz tootey gi.
    Beiroon-e-namaz (Namaz ke alawa) qehqaha laganey sey wazoo nahi toot'ta hai laikin dobara ker leina MUSTAHAB hai.
    واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
    (عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
    {Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~
    ~¤ Important Question 15 ¤~
    Question->
    Salaam
    Hazrat Wuzu kin chizon ke too'th jata hai...
    Rehnumai farmayein !
    Answer->
    ﻭﻋﻠﯿﮑﻢ ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    Yeh Padhlein
    <<-Wuzu tod dene wali chizon ka Bayaan->>
    -Pakhana, peeshap, waddi, mazzi, manni, keera, pathri mard ya aurat k aagey ya peechy sey niklain tou wazoo toot jata hai.
    -Ager mard ka khitna nahi hua hai aur soorakh main sey in main sey koi cheez nikli jo ouper batai gaeen, aur khitney ki khaal k ander he hai, tub bhi wazoo toot jai ga.
    -Aurat k aagey sey jo khalis ratoobat bey aameizish-e-khoon nikalti hai nakiz-e-wazoo nahi, ager kaprey per lag jai tou kapra paak hai.
    -Mard ya Aurat k peechy sey hawa (gas) kharij hui tou wazoo toot gaya.
    -Mard ya aurat ke aagey sey hawa nikli, ya phir pait main aisa zakhm hogaya k jhilli tak pohancha, es sey hawa nikli tou wazoo nahi tootey ga.
    -Khoon, peep ya phir zard paani kahi sey nikal ker baha aur beh ker aisi jaga pohancha jis ko wazoo ya phir ghussal main dhona FARZ hai tou wazoo toot gaya,
    ager sirf ubhra aur baha nahi, jeisy sui waghera lag jai tou khoon sirf ubherta hai behta nahi hai, ya phir miswak ki tou daant sey khoon chamka,
    aur naak main ungli daali khoon aaya laikin behny ki mikdaar main nahi, in suratoon main wazoo nahi tootey ga.
    -Ager khoon, peep, aur zard paani beh ker kisi aisi jaga nahi laga jis ka wazoo aur ghussal main dhona FARZ hai tou es surat main wazoo nahi tootey ga. Jeisy aankh main daana tha, phatker aankh k ander he beh gaya.
    -Zakhm hua hai aur es main sey koi ratoobat sirf chamki laikin behi nahi tou wazoo ney tootey ga.
    -Chaala nikla hua tha aur es ko cheel dia, ager es ka paani beh gaya tou wazoo toot jai ga.
    -Kaan main oil dala tha aur wo aik din baad kaan ya naak sey nikla tou wazoo nahi tootey ga.
    -Mu sey khoon nikla tou ager khoon thook per ghalib hai tou wazoo toot jai ga werna nahi.
    -Ager thook ka color red ho gaya hai tou khoon thook per ghalib hai.
    -Naak saaf ki aur es main sey ager jama hua khoon nikla toy wazoo nahi tootey ga.
    -Mu bher ulti wazoo ko toor deiti hai.
    -Balghum wali ulti wazoo nahi torti chahy jitni bhi ho.
    -Beemar ager lait ker namaz perhta hai, leita huay tha k neend aagai tou wazoo toot gaya.
    -Oungney ya phir beithy beithy jhonkney sey wazoo nahi toot'ta .
    -Jhoom ker gir para aur fooran aankh khul gai tou wazoo nahi toota.
    -Baligh ney ager itni awaaz sey qehqaha lagaya k hunsi ki awaaz aas paas walon ney sunni, tou ager namaz main tha tou namaz bhi fasid hai aur wazoo bhi toot gaya.
    -Ager itni awaaz sey hunsa k khud es ney sunna paas walo ney na suna tou wazoo nahi tootey ga, albata aisa namaz main hua tou namaz fasid ho gai.
    -Ager sirf muskuraya, na awaaz nikli na he khud sunna, sirf daant nikley tou na namaz tootey gi na wazoo.
    -Awaam main mashoor hai k apna ya phir kisi ka sitr dekhney sey wazoo toot jata hai, yeh baat sahi nahi, han albata billa zaroorat sitr kholey rukhna mana hai aur dosrey k samney kholna HARAM hai.
    -Sootey main jo raal mu sey nikalti hai, beyshak wo pait sey ai, ya phir badboodar ho, Paak hai.
    -Dukhti aankh sey jo pani nikalta hai wo wazoo toor deita hai.
    -Ager yeh yaad hai k Bathroom ja ker pakhaney ya peeshap k liay betha, laikin yeh yaad nahi k phir kia tha k nahi, tou es soorat main wazoo kerna FARZ hai.
    -Yeh yaad hai k wazoo kerty waqt koi uzv dhulney sey reh gaya tha laikin yeh yaad nahi k wo kon sa uzv tha tou left paoon dho lia jai.
    -Miyani main tarri dekhi aur yeh pata nahi hai k peeshap k qatraat hain yaa paani k, tou ager zindagi ka pehla waqiya hai tou wazoo ker ley,baar baar aisa hota hai tou wazoo na kary, kyun k yeh SHETANI wuswasa hai.
    -Ager koi beywazoo tha aur ab shak hai k main wazoo main hon tou es soorat main wazoo kerna zaroori hai.
    واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
    (عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
    {Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~

    ~¤ Important Question 16 ¤~
    Question->
    ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    Kapde fold karke Namaz padna kaisa ?
    Kuch log kehte hain Namaz ho jati hai kuch kehte hain namaz hi nahi hoti aise rehnumai farmayein...
    Answer->
    ﻭﻋﻠﯿﮑﻢ ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    Namaz k dooran kapdon ko fold kerna chahy ander ki taraf ho yan bahir, yeh MAKROH-e-tehreemi hai,
    es terhan namaz perhi hai tou namaz ko dohrana WAJIB hai,
    takhnon sey ouper kapda rakhna SUNNAT tareeka hai,
    namaz main takhnon k neechy kapda hai tou yeh
    Khilaf-e-SUNNAT aur
    MAKROH-e-tanzeehi hai,
    laikin namaz ho jai gi, lehaza namaz main ager kapda takhno sey neechy hai tou usko weisy he chor dein.
    Dosra yeh k jo hadees bayan ki jati hai k AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya ki jis ka kapda takhno k neechy hoga uska utna hissa JAHANUM ki aag main jaley ga,
    yeh waeid unke liay hai jo TAKABUR (ghamand/Attitude) ki bina per kapda takhno k neechy latkaty hain, 
    jo takabur ki bina per aisa nahi kerty, un k liay yeh waeid nahi hai.
    Ahadees:
    1-Hazrat Ibn-e-Abbas رضی الله تعالی عنہ sey riwayat hai k AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney humain 7 hadiyon per sajda kerny ka hukm dia aur es cheez sey mana kia k namaz k dooran kapron ko moorain".
    (Sahi Bukhari, Hadees:993)
    2-Hazrat Ibn-e-Abbas رضی الله تعالی عنہ sey riwayat hai k AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney humain namaz k dooran kaprey morney sey mana kia.
    (Sahi Bukhari, Hadees:773)
    Ab jo log kapde fold karke Namaz padhte hain aur aise hi padhne ka hukm dete hain unhe chahiye ki in sahih hadeeson ke baare me gaur-o-fikr kare aur Apni namazon ko sahi kare
    واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
    (عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
    {Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~

    ~¤ Important Question 17 ¤~
    Question->
    ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    Jumma Mubarak kehna kaisa kuch log aitraaz karte hain kehte hain aisa kehna Biddat hai ?
    Rehnumai Farmayein...
    Answer->
    ﻭﻋﻠﯿﮑﻢ ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    Jumma Mubarak Kehna Bilkul jaiz hai asl me Kuch Log la-ilmi aur jahalat ki buniyaad par "Jumma Mubarak" kehne par aitraaz karte hain balki yahan tak isse Biddat kehte hain
    معاذ الله
    Jab ki Nabiyon ke Sultan,Rehmat-e-Alamiyan,Sardar-e-do jahaan,Mehboob-e-Rehmanعزوجل,
    Mere Pyaare-Pyaare Aaqa Madine wale Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم
    ka farman Aalishan,Barakat-o-Magfirat Nishan hai,
    "Aye Musalmano Ke Giroh,
    Beshaq Ye Jumma Woh Din Hai Jisko Allah (عزوجل) Ne Eid Banaya Hai.
    (Mishkat Hadees No. 123)
    Bas isse clear ho jata hai ki jab isse Eid kehdiya gaya toh iski Mubarakbad dene me koi harj nahi hona chahiye magar Aqal ke Andhe ko kahan yeh baat samajh aane wali hai...
    Aayein Jumma ke Aala martabe ko bayaan karti ek Riwayat mulahiza karte hain,
    Aaqa-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya,
    "Juma’a ka din sab dino ka sardar hai,
    ALLAH (عزوجل) ke nazdik sabse bada hai aur wo ALLAH ke nazdik
    "Eid-ul Azha" aur "Eid-ul Fitr" se bada hai,
    ALLAH (عزوجل) ne isme Hazrate
    ADAM (عليه السلام) ko paida kiya, Isme Zameen par unhe utara Aur Isme Unhe wafat di."
    [Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8,Hadith No. 1084]
    Is Hadees se pata chala ki ek nabi ki paidaish unka zameen par utarna aur unki wafat ke din ke bawajud bhi Mo’mino ke liye ALLAH عزوجل ne use Eid bana diya....
    Aur toh aur woh din "Eid-ul-Azha" aur "Eid-ul-Fitr" se bhi afzal kar diya.
    Aaiye Pahele Hum Eid Ka Matlab Samaj Lete Hai Eid Ka Lugvi Maina (wordly Meaning) Hai "Khushi" Agar Koi Arabi Khushi Ka Lafz Arabi Me Kahega To Wo Yahi Kahega "Eid"
    Ise Samjhane K Liye Quran Ki Ek Ayat Pesh e khidmat hai,
    Al-Quran->
    "Essa ibn-e-Mariyam ne Arz ki 
    Aye ALLAH !
    Aye Rab Hamare !
    Hum Par Aasman Se Ek Kuwan Utar Ke Woh (Kuwan Utarne
    Ka Din) Hamare Liye Eid Ho,Hamare Aglon Aur Pichlo Ki"
    (Surah Maida Ayat 114)
    ( عزوجل و عليه السلام)
    Ab batao agar Eidein me Mubarak bad dena jaiz hai toh kaise usse Afzal din par mubarakbad dena biddat hoga ?
    Kya aisi jahalat bhari baatein kehne walon ko aapne aapko Musalman kehte hue sharm nahi aati ?
    Aapni jahalat ki wahaj se Lakhon lakh Musalmanon ko bas yun hi gunaahgar keh dena kahan ki samajhdari hai ?
    Woh kehte hain na ki,
    "Jab Allah Deen leta hai toh Aqalein cheen leta hai."
    Aur jo yeh kehte hain inse kahein
    Itne bhi Doodh ke dhule na bane ki har chiz karne ka saboot Quran-o-Hadees se chahiye agar aisa hai toh mujhe jawaab do,
    *Masjid per GUMBAD banana kis SAHABI sey sabit hai ?
    *Masjid main Aoqat makhsoos kerna kis sahabi sey SABIT hai ?
    *Masjid me Air-Conditioner lagane ki dalil do Quran-o-Hadees se ?
    *Aalishan Jamiat aur Islamic School ki tameer ki dalil lao ?
    *Khatm-e-Bukhari karna Aur Saudi day manana kahan se saabit hai ?
    *Aur toh aur Khana-e-Kaba par Gilaf chadana kaisa ?
    Yeh billa waja aetrazaat hain agar hum bhi aisa karne par aa jayein toh Subh-Qayamat tak jawaab dhundhte reh jaoge magar jawaab na la paoge !
    Hamara kaam Allah عزوجل aur Uske Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ki Riza wale kaam karna hai,
    Woh hum kar rahe hain,
    Zikr karte rahenge aur Durood padhte rahenge
    ان شاءالله عزوجل
    Mean while,
    Jisse abhi bhi Meri baaton se aitraaz hai woh upar diye gaye sawaalon ke jawaab laye aur particularly in sawaalon ke,
    1) Aeroplane par namaz jaiz hai ya nahi ?
    2) loud speaker par namaz jaiz hai ya nahi ?
    3) insurance jaiz hai ya nahi ?
    4) Alcohol aamizish dawa jaiz hai ya nahi ?
    Yaad rahe sirf Jawaab Sirf aur Sirf "Quran-o-Hadees" se chahiye...
    Jis din jawaab le aao hamare saamne aakar baat karna warna dobara muh mat kholna....
    Allah عزوجل humein haq samjhne aur uspar Amal karne ki Taufiq ata farmaye !
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~

    ~¤ Important Question 18 ¤~
    Question->
    ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    Azaan se pehle durood padhna kaisa ?
    Answer->
    ﻭﻋﻠﯿﮑﻢ ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    Quran-e-Paak aur Ahadees-e-Mubarika main kasrat k saath durood perhny ka hukm hai,
    siwai nijasat ki jaga k illawa uthtey beithy chaltey phirty durood shareef perha jai tou es main koi muman'at nahi hai.
    Durood-e-Paak jis qadr aur jitni ziada jagaoon aur mawaqon per perha jai itna he ziada acha hai, eshe liay ahl-e-sunnat wal jama'at k haan durood-e-paak ki
    kasrat ki jaati hai.
    Azaan Sey Pehly Durood:
    Yeh baat yaad rukhiyay k azaan sey pehly durood-e-paak perhny per bohat sey ulama ka ijma hai,
    aur Hadees-e-Pak hai k:
    "Beyshak ALLAH meri ummat ko gumrahi per jama nahi fermai
    ga".
    (Mishkaat Shareef, Page:30)
    Aur jiss kaam ko musalman acha samjhaian jo ALLAH k nazdeek bhi acha hai.
    (Kitaab-al-ma'aat,Page:129)
    History dekhain tou pata lagta hai k sub sey pehly Salaud Deen Ayubi (Allah ki inpar Rehmat ho)
    jo Fatah-e-bait-ul-Muqaddas aur Aashiq-e-Mustafa
    ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ 
    k ilqabaat se jaaney jaty hain,
    inho ney 589 Hijri main apne door-e-hakoomat main Azaan sey pehly Durood perhny ka hukm jaari kia,
    aur es k bawajood k sultan mosoof bazaat-e-KHUD aalim faazil they,
    itney saalon main kisi bhi buzurg ney un k es kaam per tanqeed nahi ki bal k un k kaam ko saraha aur apni duaoon sey nawaza.
    Imam Muhammad Bin Abdul Rehman Sakhawi 902 Hijri k jaleel-ur-Qadr IMAM hain aur Hafiz Ibn-e-Hajr Askalani jo Sahi Bukhari ki mashoor SHARAH likhny waly hain inke shagird hain,
    yeh fermaty hain k Azaan sey pehly durood shareef perhey sey pehly yeh biddat raij ho chuki thi k loog apny khalifa per salam bheja kerty they,
    Salaud deen Ayubi ney es buri
    biddat ko khatam ker k azaan sey pehly durood shareef ko raij kia aur es k MUSTAHAB honey ki daleel nus-e-QURANI sey sabit hai,
    ALLAH fermata hai
    "Pus neik kaam karo"
    (Sura Anbiya, Para:17, Ayat:17),
    tou pus azaan sey pehly
    durood perhna aik achi biddat hai jis per ajr-o-sawab hai.
    (Aqwal-al-badeei, Page:192)
    Pehli baat tou yeh k Durood shareef kisi bhi waqt perhna jaiz hai, chahy azaan sey pehly perhain ya baad main, eska zikr Quran-e-kareem main bhi hai.
    (Sura Ahzaab,Verse:56)
    Ahadees main aata hai:-
    AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ney fermaya:
    "Jub tum moazain sey azaan suno tou wo kalimaat dohrao jo wo keh raha hai, aur es k baad
    MUJH per durood-o-salam perho, aur mery waseely sey dua mango".
    (Mishkaat Shareef,Page:64)
    Hazrat Ibn-e-Abbas
    ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ
    ney sura ahzab ki ayat-e-durood ki tafseer es terha sey ki:
    "Aur her maqaam per durood perho".
    (Jila-ul-Ifhaan, Page:252)
    Arwa Bin Zubair
    ney bani-e-najr ki aik aurat sey riwayat ki k:
    "Mera gher MASJID-e-Nabwi k gird taweel tareen hai,
    Hazrat Bilal ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ mery gher ki chhat per azaan deity, pehly dua karty, durood perhty aur phir Azaan kehty".
    (Sanan Abu Daood, V:1, Page:77)
    Azaan sey Pehly Durood Shareef perhny ko kin kin ulma-e-karaam ney jaiz likha:
    Es ummat key 4 barey muhadiseen jin ko tamaam ummat manti hai unhon ney azaan sey kabal DAROOD
    O SALAM jaiz likh:-
    Hazrat Imam Shurani
    ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ 
    ny apni tasanef Kashaf al Gama
    main.
    Hazrat Imam Hajar Shafai 
    ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧﻋﻠﯿﮧ
    nay apnay Fatawa Kubra main.
    Imam Mula Ali Qari Alehay 
    ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ 
    Mishkao Shareef ki sharah, Sharah Mirkat main.
    Hazrat Imam Shami 
    ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ
    nay Fatawa Shami main azaan sey pehlay aur azaan key bad,
    ikamat sy pehlay Darood o Salam parhney ko jaiz likha.
    "Allah ki in saare Buzurgane Deen par Rehmat ho,
    Aur inke Sadqe Hamari Magfirat ho."
    واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
    (عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
    {Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~

    ~¤ Important Question 19 ¤~
    Question->
    ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    Namaz me Qiraat (Surah Fatiha aur dusri surah) kitni awaaz se padhna zaroori hai ?
    Normally bhi jab hum Quran padhte hai toh kitni awaaz se padhna chahiye ?
    Answer->
    وعلیکم السلام ورحمت الله وبرکاته
    Dekhiyay Namaz main QIRA'AT (Quran ki tilawat) kerna FARZ hai,
    qira'at k liay itni awaaz lazim hai ki ager kisi kism ki rukawat na ho tou khud ke kaan sun lein,
    ager aisa nahi kia tou namaz nahi hogi,
    eshe terhan beiroon-e-namaz main bhi tilawat ke liay itni awaz zaroori hai k ager kisi kism ki rukawat na ho tou khud ke kaan sun lein.
    واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
    (عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
    {Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
    <<<- Zakaat ada Karo ! ->>>
    Zakat dena Takmile Imaan ka zari'a hai jaisa ki Huzure Paak, Saahibe Laulak, Sayyahe Aflaak
    صل الله تعالي علیہ والہ وسلم
    ne irshad farmaya,
    "Tumhare Islam ka Poora hona ye hai ki tum apne malon ki Zakat ada karo."
    Ek aur Makam par Irshad Farmaya,
    "Jo Allah aur uske Rasool par Imaan rakhta ho use Lazim hai ki apne maal ki Zakat ada kare."
    (Book: Faizane Zakat (Hindi), Page No. 5 Maktabatul Madina - Gujrat)
    Aapse "Madani Ilteja" hai ki aapki aapni "Dawat-e-Islami" ko Mazboot karne ke liye apni
    Zakaat
    Fitra
    Sadqa'at aur
    Atiya'at
    Dawat-e-Islami ko pesh karein aur khoob sawaab-o-darain hasil karein !
    Allah عزوجل
    aapko khoob khoob jaza-e-khair ata farmaye
    Aur aapka diya maal aapke naam-e-Amal darj farmaye...
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~

  • ~¤ Important Question 20 ¤~
    Question->
    ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    Namaz mein Aankhein band karna kaisa ?
    Answer->
    ﻭﻋﻠﯿﮑﻢ ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    Namaz main aankhein band kerna Makroh-e-tanzeehi hai,
    laikin ager khusho aur khuzzo ankhein band ker ke pedhne mein aata hai toh phir ankhein band ker ke pedhna behtar hai.
    (Bahar-e-Shariat, Hissa:3, Page:634, Masla:63)
    واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
    (عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
    {Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
    ~@ Shab-e-Qadr kya Hai ? @~
    Ek raat jo 1000 (hazar) mahinon se Afzal hai !
    Hazrat-e-Ayesha ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨها se Riwayat hai ki Aaqa-e-kareemصلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya,
    (Mafum)
    “Lailat-ul-Qadr (Shab-e-Qadr) ko Ramzan ke aakhiri ashre (Aakhiri dus dinon) ki taaq (odd numbered) raaton me talash karo (21vi, 23vi, 25vi, 27vi aur 29vi).”
    [Sahih Bukhari, Vol. 1, Page 270]
    Pyaare Islami bhaiyon jald hi Ramzan ki 21vi raat Aane wali hai humein bhi chahiye ki isme zyada se zyada Ibadat karein aur dusron ko bhi iski tarkib dilayein !
    Phir ishi tarha Aane wali har taaq Raat (23,25,27,29) me bhi ibadat karne ki tarkib banayein in raaton ko gaflat me Na guzarein...
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~

    ~¤ Impotant Question 21 ¤~
    Question->
    ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    Kya mard mehndi laga sakte hain koi function ho ya agarche uski shaadi ho ?
    Answer->
    وعلیکم السلام ورحمت الله وبرکات
    Dekhiyay bhai Mard k liye hath
    paoon main mehandi lagana na-jaiz hai,
    AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ki khidmat main aik HIJRA peish kia gaya, jis ney hathon main
    mehandi lagai hui thi, AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ
    ney poocha es ney aisa kyun kia hai,
    bataya gaya k yeh auraton ki naqal kerta hai,
    AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ney esko sheher sey bahir nikal deiny ka hukm dia.
    (Sanan Abu Daood, Hadees:4928)
    الله اكب
    Yaad rukhiyega HIJRA mard ke hukm main hai aur es k liay tamaam wohi sharai ahkaam
    hai jo mard per laago hoty hain,
    lehaza mard k liay jaiz nahi hai hath paoon main mehandi lagana chahy shadi ka moqa he kyun na ho.
    Dosra yeh k auraton ka hath paoon main mehandi lagana jaiz hai es main koi harj nahi.
    واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
    (عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
    {Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
    <<<- Zakaat ada Karo ! ->>>
    Zakat dene wale par Rahmat-e-Ilahi عزوجل ki Chamacham Barsat hoti hai.
    Su-ratul Aa'raf me hai:-
    {Tarjama - e - Kanjul Imaan}
    "Aur Meri Rahmat Har Cheez Ko Ghere Hai To Ankareeb Mai Ne'amato Ko Unke Liye Likh Dunga Jo Darte Aur Zakat Dete Hai."
    (Book: Faizane Zakat (Hindi), Page No. 6, Maktabatul Madina - Gujrat)
    Aapse "Madani Ilteja" hai ki aapki aapni "Dawat-e-Islami" ko Mazboot karne ke liye apni
    Zakaat
    Fitra
    Sadqa'at aur
    Atiya'at
    Dawat-e-Islami ko pesh karein aur khoob sawaab-o-darain hasil karein !
    Allah عزوجل
    aapko khoob khoob jaza-e-khair ata farmaye
    Aur aapka diya maal aapke naam-e-Amal me darj farmaye...
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~
    "Namaz pado isse Pehle ki Tumhari Namaz {Janaza} padayi jaye."

    ~¤ Important Question 22 ¤~
    Question->
    ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﯿﮑﻢ ﻭﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﮐﺎﺗﻪ
    Shirt to pant ke ander {Shirt-in} karke Namaz padhna kaisa ?
    Answer->
    وعلیکم السلام ورحمت الله وبرکاته
    G han perh sakty hain,
    laikin behter yehi hai k bahir nikal ker perhi jai.
    Question (Extended)->
    Magar isme woh kapda fold hone ka hukm toh nahi lagega ?
    Answer->
    Nahi wo es main nahi aai ga.
    Aap Shirt-in karke Namaz parh sakte hain.
    واللہ تعالی اعلم و رسولہ اعلم 
    (عزوجل و صلی اللہ علیہ وسلم)
    {Reference-: Ahkam-e-Shariat(Ahl-e-Sunnat) group}
    ~¤ Attention Please ¤~
    <<<- Ho sakta hai aapko yeh msg mila ho ya aane wale dinon me mile ->>>
    "Jis sakhs ki namaze Qaza hui ho or ta'dat na malum ho toh woh Ramzan ke akhri Juma ke din 4 rakat Nafil 1 salam se pade,
    Har rakat me Sure Fateha ke bad Ayatul kursi 7 bar, or Sure Kausar 15 bar pade.
    Agar 700 saal ki namaze b Qaza hui hogi to is kaffare k liye ye namaz kafi he."
    Pyaare bhaiyon aisi koi riwayat nahi hai yaani yeh msg sahi nahi hai...
    yeh logon ney apny paas sey bana rukhi hai,
    Mufti Ahmed Yar Khan Naeemi رحمت اللہ تعالی علیہ fermaty hain:
    "Jumma-tul-Wida ko zohar aur asr ke dermiyan 12 rakat nafal 2,2 rakat ker ke perhain,
    her rakat main Sura Fateha k baad aik mertaba Ayatal Kursi,
    3 mertaba Sura Ikhlas,
    aik mertaba Sura Falaq aur aik mertaba Sura Naas perhain.
    Es ka faida yeh hoga k jis qadr namazain es ney qaza ker k perhi hongi inko qaza kerny ka gunaah ALLAH ney chaha tou muaaf ho jai ga,
    laikin yeh nahi ki qaza namazain es sey muaaf ho jaian gi,
    wo jitni hain utni he adda kerni hongi".
    (Islami Zindagi, Page:105)
    جزاك الله خيرا... For reading
    ~●~●~●~●~
    ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
    ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
    (صلی اللہ علیہ وسلم)
    ~●~●~●~●~
    "Namaz pado isse Pehle ki Tumhari Namaz {Janaza} padayi jaye."
    ‪#‎BoycottAgainstIsraelContinues‬
    {Note:- Aaj 21 Ramadan-ul-Mubarak hai yaani Aaj
    "Hazrat Ali Mushkil Kusha رضی الله عنہ ki Shadat hui thi Aaj aapke Urs Mubarak ki tarikh hai.
    Aap رضی الله عنہ ki buland-o-bala shaan ka tazkira karti hui 2 Hadees Sharif pesh-e-khidmat hain,
    Aaqa-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم farmate hain,
    "Aye Ali Main Tum Mujhse ho aur Main Tumse hun."
    (Sahih Bukhari, Hadith-2699)
    &
    "'Ali Ke Chehre Ko Dekhna Ibadat
    Hai."
    (Al Mustadrak, Hadith-4665)
    Aap Sabse Arz hai ki Khoob khoob esal-e-sawaab karein aur Niyaazon ki bhi tarkib banayein...

  • subhanallah
Sign In or Register to comment.
|Donate|Shifakhana|Urdu/Hindi|All Sunni Site|Technology|