★بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم★لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ★اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ★
YaNabi.in
ILME E GHAIB E MUSTAFA DALAIL KE SAATH - Ja-al-haq Discussions on

ILME E GHAIB E MUSTAFA DALAIL KE SAATH

edited August 2016 in Ja-al-haq
GHAIB k Maine Gaib woh chupi hui chiz hai jis ko INSAAN na to Aankh, Kaan, Naak wagera, ya kisi Hawaas se Mehsoos kar sake , aur na Bila Daleel Aqal main Aasake . For E.g : Khanon ki lazzaten (TASTE) , aur in ki Khushbu wagera hamare liye GAIB nahin , q k Yeh Aankh se Chupay hone k Baawajood , dusre Hawaas (Naak, zabaan) se Mehsoos ki ja sakti hain, Ab Gaib kya hoga... Jinnat, Malaika (Farishtey) , aur Jannat aur Dozakh Wagera hamare liye is waqt GAIB hain.. Q k Yeh na Hawaas se maalooom hosakte hain, aur na hi Bila Daleel E Aqal se ,.. Ab GAIB hote hain, 2 tarah k.. 1) Woh GAIB, jis par koi Daleel Qaim hosake , Yaani Dalael se maaloom hosake.. For E.g: Jese Jannat, Dosakh aur ALLAH TA'ALA ki Zaat o SIFFAAT ... k In Baaton ka Andaza, Is DUNIYA ki Cheezen dekh k aur QURA'ANI AAYAAT dekh kar pata chalta hai.. 2) Dusra GAIB woh jis ko Kisi DALEEL se Bhi Maaloom na kiya ja sake, For E.g: QAYAMAT ka ILM, K Kab hogi?? , INSAAN kab Marega?? , Aur Aurat k Pait main Larka hai ya Larki, Bad Bakht (Buri) Aulaad hai, Ya NAIK BAKHT (NAIK) AULAAD, yeh woh Baaten hain, jin ko Daleel se bhi maaloom nahin kiya ja sakta... Isi Dusrey GAIB (TYPE) ko Mafateh-AL-GAIB , kaha jata hai.. Ek Aayat hai Qura'an ki (Parah 29, Surah 72, Aayat 26,27) .. Uski Tafseer Bezaawi main is hi Aayat k Tehet, Gaib ki Kuch yun Taareef ki gai hai: "GAIB se Muraad woh chupi huwi CHEEZ hai, jis ko Hawaas na Pa saken aur na Badahatan usko Aqal chahe " Tafseer Kabeer Surah Baqar k Shoru main Isi Aayat k Ma Tehet hai: " Aam Mufassareen ka Qol hai, k GAIB woh hai, jo Hawaas se Chupa ho , Phir GAIB ki 2 Qismen hoti hai , Ek to woh jis par Daleel ho , dusri woh jis par koi Daleel nahin " Tafsser ROOH ur Bayaan main Shoru SURAH E BAQAR k Ma Tehet hai: " GAIB woh hai, jo HAWAAS aur AQAL se poora poora chupa ho , is tarah k kisi Zariye se bhi IBTADA'AN , KHULLAM KHULLA maaloom na hosake , GAIB ki 2 QISMEN (TYPES) hain , Ek woh jis par koi Daleel na ho , woh hi is Aayat se Muraaad hai, k ALLAH TA'ALA k Paass GAIB ki Kunjiyaan (CHABIYAAN) hain , dusri Qisam woh jis par Daleel Qaim ho , Jese ALLAH TA'ALA aur Uski Siffaat, woh hi is Jagah Muraad hai" (YEH TAMAAM TAFASEER IS LIYE LIKHI HAIN TAA K AAP KO YEH NA LAGE K MAIN GAIB KI TAAREEF APNI MARZI SE BATA RAHA HUN, Yeh Taareef Muffassareen se Sabit haii) ZAATI aur ATAAI Ilm e Ghaib ZAATI :- ALLAH taala ka Ilm Zaati hai,Yaani Khud ka Ilm,use kisi ne diya nahi,woh apni Qudrat se har chiz karta hai,use Har pal o zarre ki khabar pehle se hi maalum hai,ALLAH k liye ghaib kuch nahi yaani ALLAH k liye koi chiz chupi hui nahi hai. ATAAI :- Humare Sarkar صلى الله عليه و سلم ka ilm Ataai hai,Yaani k ALLAH se ilm e ghaib ataa hua hai,Humare Sarkar صلى الله عليه و سلم ka jo ilm e ghaib hai woh ALLAH ki ataa se hai,khud se kuch nahi aur ALLAH ne kitna Ilm e ghaib ataa kiya yeh baat toh lauh e mehfooz ko b khabar nahi,aap صلى الله عليه و سلم ko ALLAH ne Bepanha ilm ataa kiya hai. ILM-E-GAIB k Saboot QURA'AN ki roshni main. Aayat 1: فَكَيْفَ إِذَا جِئْنَا مِن كُلِّ أُمَّةٍ بِشَهِيدٍ وَجِئْنَا بِكَ عَلَىٰ هَٰؤُلَاءِ شَهِيدًا Tarjama: " To kaisi hogi jab ham har ummat se 1 gawah laayen aur Aur Ae MEHBOOB tumhen un sab par gawah aur nigahbaan bana kar laayen ". (PARAH 5 ,Surah 4(Nisaa),Aayat 41) Tafseer Nesha Poori main isi Aayat k Ma Tehet hai. " Is liye Huzoor ( صلى الله عليه و سلم )ki Rooh Mubarak tamaam Roohon aur Dilon aur Nafson ko dekhne waali hai , Q k HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne farmaya k ALLAH ne jo pehle peda farmaya who mera NOOR hai ". Tafseer ROOH UL BAYAAN main Isi Aayat k Ma Tehet hai " HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )par Aap ki ummat k Aamaal Subah-O-Shaaam pesh kiye jaate hain , Lihaaza Aap UMMAT ko Un ki Alaamaat se Jaante hain, aur In k Aaamaal ko Bhi, Is liye Aap in par GAWAHI denge ". Tafseer Madarik main Isi Aayat K Ma Tehet hai . " HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )Gawah hain, Mominon par Un k Eemaan k Kaafiron par un k Kufar k Aur Munaafiqon par un k Naffaaq k ". Is Aayat aur In Tafaaseer se Maaloom huwa k HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )Az Awwal ta Qayaamat tum logon k Kufr-o-Eemaan-o- Naffaaq-o-Aamaal wagera sab ko Jaante hain , is liye Aap sab ki Gawahi denge , Yeh hi to ILM-E-GAIB hai.. Aayat 2: وَمَا كَانَ اللَّهُ لِيُطْلِعَكُمْ عَلَى الْغَيْبِ وَلَٰكِنَّ اللَّهَ يَجْتَبِي مِن رُّسُلِهِ مَن يَشَاءُ ٌۖ Tarjama: "Aur ALLAH ki shan yeh nahin keh Ae Aam logon tumhen GAIB ka ILM de, haan ALLAH chun leta hai apne Rasoolon se jise chahe chahe" . (PARAH 4 ,Surah Al-Imran, Aayat 179) Tafseer E Be Zaawi main isi Aayat k Ma Tehet hai. Tarjama: " Khuda Ta'ala tum main se har kisi ko ILM-E-GAIB nahin dene ka Muttala'a kare, is KUFR O EEMAAN par jo dilon main hota hai, Lekin ALLAH ne Pegambari k liye jis ko Chun leta hai , Pas Us ki taraf Wahi farmata hai , aur Ba'az Guyoob (gaib Ki jama) ki Un ko Khabar deta hai , Ya un k liye Aese Dalael farmata hai , jo GAIB par Rehbari karen " (Anwaar Ul Tanzeel, Jild 1, PAGE 308, Matbooa Mustafal Baabi, Misar) Tafseer E Khazan main hai. Tarjuma: " Lekin ALLAH chun leta hai , Apne ASOOLON main jise ko chahta hai , Pas Unko Khabardaar karta hai, Baaz ILM-E-GAIB par." (Al Baab Taweel fi Ma'ani Ul Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer E Khazin, Jild 1, PAGE 308,Matbooa Daar Ul Ma'arfah, Beroot) Tafseer E Kabeer main isi Aayat k Ma Tehet hai. Tarjuma: " Lekin In Baaton ka Batareeq GAIB par Muttala'a hone, k Jaan lena, Yeh AMBIYA KARAAM Ki KHOOSOSIYAT hai" . (Tafseer Ul Kabeer, JILD 9, PAGE 111, Matbooa Daar ul Fikar, Beroot) Tafseer E Jalalen main hai. Tarjuma: " Maaenay (meaning) yeh hain k ALLAH apne Rasoolon main jis ko Chahta hai , Chun leta hai , pas In ko GAIB par Matla'a Kar deta hai ".... " KHUDA TA'ALA tum ko GAIB par Matla'a nahin karneka , Taa k Faraq karne se pehle Munaafiqon ko Jaan lo . Lekin ALLAH jis ko chahta hai , Chhaant leta hai, to us ko Apne GAIB par Matla'a fermata hai , jese NABI ( صلى الله عليه و سلم )ko Munaafiqeen k haal Par Matla'a farmaya ". (Tafseer-E-Jalaalen, Page 92, Matbooa Daar Ul Hadees Al Qaira) Is Tafseer se simply maaloom hota hai, k ALLAH TA'ALA ne NABI ( صلى الله عليه و سلم )ko Apne Ba'az GAIB k ILM par Matla'a farmaya.. ROOH Ul BAYAAN main hai. Tarjuma: " Q k Haqeeqaton aur Haalaat k GAIB Zaahir nahin hote Bager RASOOL ( صلى الله عليه و سلم )k Waastay se" . (Tafseer E ROOH Ur Bayaan, JILD 2, PAGE 162, Matbooa Daar Ul Ahya At Turaas Ul A'arabi, Beroot) Aayat 3: َ وَعَلَّمَكَ مَا لَمْ تَكُن تَعْلَمُ ۚ وَكَانَ فَضْلُ اللَّهِ عَلَيْكَ عَظِيمًا (Surah Al-Nisaa,Aayat no 113) Tarjama: "aur tumhen Sikha diya jo kuch tum na jaante the , aur ALLAH ka tum par bada fazal hai". Tafseer-E-Jalalain, Page 97 , main hai. Tarjama: "Yaani Aahkaam sikhae , aur ILM-E-GAIB sikhaya " IMAAM Hussain Bin Mas'ood Bagwi 516 Hijri main likhte hain: Tarjama: " (Aur ALLAH ne aap ko woh sab Ilm Ata kar diye jo , aap nahin jaante the ) Yaani Ehkaam main sab , aur ILM-E-GAIB main se . (Tafseer Mo'allam Ul Tanzeel, Jild 1, Page 479, Matboo'a Darul Ma'arfa'a, Beroot) Ab yeh jo baat likhi gai hai, yeh Tafseer aaj se Taqreeban 900 saal pelhle likhi gai , agar yeh baat galat hoti, to Kiya in likhne waale sahab ko roka na jaata??? Tafseer-E-Madarik main hai. Tarjama: " Deen aur Shariyat k Umoor Sikhae, aur chupi huwi baaten , Dilon k Raaz batae". (Tafseer-E-Madarik, Jil 1, Page 282, Matboo'a Maktab Ul Qura'an, Peshawar) Jaame Al Bayaan main hai. Tarjuma: " Yaani Aap ko woh sab baaten bata din, jo Aap Qura'an k Nuzool se pehle na jaante the ". (Tafseer-E-Tibri, Jild 5, Page 270, Matboo'a Dar Ul Fikar, Beroot) Is Aayat aur in Tafaseer se maaloom huwa k HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ko tamaam Aaenda aur Guzishta Waakiyaat ki Khabar di gai , Yaani ILM-E-GAIB.. Aayat 4: مَا أَنتَ بِنِعْمَةِ رَبِّكَ بِمَجْنُونٍ Tarjuma: " Tum Apne RAB k Fazal se Majnoon nahin". (PARAH 29, SURAH 68 (Surah Qalam),AAYAT 2) Tafseer-E-ROOH UR BAYAAN main isi Aayat k Ma Tehet hai. Tarjama: " Yaani Aap se woh Baaten chuip huwi nahin hain, jo Azal main thin, aur jo Abad tak hongi , Q K jann k Maaenay (Meaning) hain chupna, Aap us ko jaantay hain jo ho chuka, aur KHABARDAAR hain us k jo hoga ". Is Aayat ki is Tafseer se Saaf Saaf ILM-E-GAIB k baaray main Maaloom hota hai.. Aayat 5: وَلَئِن سَأَلْتَهُمْ لَيَقُولُنَّ إِنَّمَا كُنَّا نَخُوضُ وَنَلْعَبَُ Tarjama: " Aur Ae MEHBOOB agar tum un se puchho to kahenge k hum to Yun hi Hansi Khel main the ". (PARAH 10, SURAH 9 Surah Tawbah, AAYAT 65) Tafseer Durr e Mansoor O Tarbi main isi Aayat k Ma Tehet: Tarjuma: " HAZRAT MUJAHID (رضي الله عنه) se riwayat hai, is Aayat k Nuzool k Baaray main hai k Ek Munaafiq ne kaha k MUHAMMAD(Sallalaho Aleh Wassallam) Khabar dete hain , k Falaan ki Oontni (Camel) Falaan JANGAL main Hai, In ko GAIB ki kiya KHABAR ". ( Al-Darar Al Masoorni Fi Tafseer, Al-Maasoor, SURAH TOBA, Aayat 65, Jild 3, PAGE 456, Matboo'a Darul Kutub Ul ILMIYA, Beroot) Bad Aqeedah logon se Darkhuwast hai k Baar baar parhen, k Ek Munaafiq ne kaha tha k HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ko GAIB ki Kiya khabar.. Arey hosh karo, GUSTAAKHON tum b Munaafiqon k Aqaid pe chalte ho .. hosh karo.. ALLAH ka KHOF karo .. IMAAM MUJAAHID Bin Jabar Al Makhzoomi At'Taba'i , 104 HIJRI main.. (Yaani Aaj se taqreeban 1300 saal pehle) likhte hain: TARJAMA: " IMAAM MUJAAHID (REHMATULLAH ALEH) is Aayat ki Tafseer main Farmatay hain, k Ek MUNAAFIQ ne kaha MUHAMMAD (ALEH SALAAM) humen yeh HADEES sunaate hain k FALAAN SHAKHS ki Oontni (Camel) FALAAN Waadi main FALAAN FALAAN din hai, Yeh GAIB ko Kiya Jaanen ". (Tafseer MUJAAHID, Tehet, Surah TOBA, Aayat 66, JILD 1,PAGE 283, Matboo'a Al Mansooraat, Ul ILMIYA, BEROOT) IMAAM ABU JAAFAR BIN JAREER TIBRI 311 Hijri main IMAAM MUJAAHID ( رحمة الله عليه )se Riwayat nakal karte hain: " Inhon ne farmaya k Munaafiqeen main se ek SHAKHS ne kaha k MUHAMMAD (ALEH SALAAM) hum se bayaan karte hain k FALAAN ki Oontni Falaan Falaan Waadi main hai, Bhala woh GAIB ki Baaten kiya jaanen ". (Jaamay Ul Bayaan, Fi TAfseer Ul Qura'an, Al Maaroof Tafseer Tibri,Surah TOBA, Aayat 65, Jild 10, PAGE 196,Matboo'a Daarul Haya, Beroot) Is Aayat aur Tafseer se Saaf Maaloom huwa k HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )k GAIB se Inkaar karna MUNAAFIQEEN ka Kaam tha, Jis ko QURA'AN ne Kufar qarar diya.. Aayat 6: عَالِمُ الْغَيْبِ فَلَا يُظْهِرُ عَلَىٰ غَيْبِهِ أَحَدًا إِلَّا مَنِ ارْتَضَىٰ مِن رَّسُولٍ Gaib ka jaanne wala to apne gaib par kisi ko musallat nahin karata siwaa e apne pasandeedah rasoolon ke (Paarah 29 sura e jinn aayat 26/27) Tafseer Azeezi main Isi Aayat k Ma Tehet, Page 173 pe hai : Tarjuma: " Jo cheez Tamaam MAKHLOOQAAT se Gayab ho , Woh Gaib Mutlaq hai, jese Qayaamat k Aane ka Waqt, aur Rozaana aur har cheez ki Pedaaishi aur Shar'ai Ehkaam aur Jese Parwardigaar ki Zaat-O-Siffaat Bar Tareeq tafseel, is Qisam ko RAB TA'ALA ka Khaas GAIB kehte hain. Pas Apne Khaas GAIB par woh kisi ko Muttal'a nahin karta, Is k Siwa Jis ko pasand farma Le, aur Woh RASOOL hote hain, chahey Farishtey ki Jins se hon ya INSAAN ki jins se , Jese HAZRAT MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Apne Ba'az GAIB Zaahir farmata hai Tafseer-E-Khaazin main isi Aayat k ma Tehet hai Tarjama: " Siwae is k Jis ko apni Nabuwwat aur Risaalat k liye Chun liya , pas Zaahir farmata hai , jis par Chahta hai GAIB , Taa k unki Nabuwwat par Daleel pakri Jaaway , un GAIBi cheezon se jis ki woh Khabar dete hain, Pas yeh un ka Mojaza hota hai (Labaab ul Taaweel, Fi Maani U Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer-E-Khazin, JILD 4, Page 319, Matboo'a Darul Ma'arfatah Beroot ) ROOH Ul BAYAAN se yahi Aayat Tarjama: " Ibn-E-SHIEKH ne farmaya k RAB TA'ALA is GAIB par jo is se khaas hai , kisi koMuttal'a nahin farmata siwae burgozeedah RASOOL k aur jo GAIB keh RAB se KHAAS nahin , us par Ger RASOOL ko bhi Matle'a farma deta hai ". (Tafseer ROOH Ul BAYAAN, JILD 10, Page 236, Matboo'a Darul Haya, Beroot) )Is Aayat aur In Tafaseer se Maaloom huwa k KHUDA TA'ALA apne Pasandeedah RASOOLON ko ILM-E-GAIB Ata karta hai .. Aur Sab se Ziyadah MEHBOOB ALLAH k Nazdeeq, HAZRAT MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) hain.. to jo Bad Aqeedah log, HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ki Shaan kam karne ki koshish karte hain.. unko ALLAH TA'ALA k Azaab se darna chahiye Aayat 7 وَمَا هُوَ عَلَى الْغَيْبِ بِضَنِينٍ Tarjama: " Aur yeh NABI, GAIB batane main Bukheel nahin ". (Surah Takweer aayat 24) Yeh jab hi hosakta hai, Jab HUZOOR (ALEH SALAAM) ko ILM-E-GAIB ho , aur HUZOOR (ALEH SALAAM) logon ko is se Muttal'a farma dete hon. Mu'aalim U Tanzeel main isi Aayat ke Ma tehet hai: Tarjama: "HUZOOR (ALEH SALAAM) GAIB aur Aasmani Khabron par aur in Khabron aur Qisson par Bukheel nahin hain . Muraad yeh hai keh HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )k Pass GAIB aata hai , pas woh is main tum par Bukhl nahin karte , Balkey tumhen Sikhate hain , aur Tum ko KHABAR dete hain, Jaise keh Kaahin chupate hain, wese nahin Chupaate". (Mu'aalim U Tanzeel, JILD 4, PAGE 422, Matboo'a Darul Kitaab Ul Ilmiya, Beroot) Tafseer-E-Khazin main hai: Tarjama: "Muraad yeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) k pass ILM-E-GAIB aata hai , to tum par is main Bukhl nahin farmate , Balkay tum ko Sikhate hain". ( Lubaab U Taaweel , Al Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer-E-Khazin, JILD 4, PAGE 357, Matboo'a Darul Ma'arfatah, Beroot) Is Aayat o Ibaarat se Maaloom huwa k HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )logon ko ILM-E-GAIB sikhate hain. Aur Sikhae ga wohi, jo khud jaanta hoga..Is aayat se sahaba ekiraam ka gaib daan hona bhi saabit hua keh Sarkar e aqdas صلى الله عليه و سلم ne unhen yani sahaba e kiraam ko gaib ka ilm ata farmaya Aayat 8: َ وَعَلَّمْنَاهُ مِن لَّدُنَّا عِلْمًا Tarjama: " Aur use apna ILM-E-LADUNNI Ata kiya, (Yaani HAZRAT KHIZR عليه السلام ko) ". (Parah 15, Surah 18 Surah Kahf, Aayat 65) Bai Zaawi main hai: Tarjama: " HAZRAT KHIZR عليه السلام ko woh ILM sikhae jo, hamare saath Khaas hain, bager hamare batae koi nahin jaanta aur who ILM-E-GAIB hai ". (Tafseer-E-Bai Zaawi, JILD 3, PAGE 510, Matboo'a Darul fikar, Beroot) Tafseer IBN-E-JAREER main ABDULLAH IBN-E- ABBAS se Riwayat hai: Tarjama: "HAZRAT KHIZR عليه السلام ne farmaya tha, HAZRAT MOOSA عليه السلام se keh tum mere saath Sabr na kar sako ge, Woh KHIZR, ILM-E-GAIB jaante the, k Unhon ne Jaan liya ". (Jaame Ul Bayaan, Fi Tafseer Ul Qura'an, AlMa'aroof, Tafseer Tibri, JILD 15, PAGE 323,Matboo'a Darul Haya, Beroot) ROOH UL BAYAAN main hai: Tarjama: " HAZRAT KHIZR ko jo Ladunni ILM sikhaya gaya, woh ILM-E-GAIB hai aur is GAIB k Muta'alliq Khabar dena hai , KHUDA k Hukum se , jaise is taraf IBN-E-ABBAS رضي الله عنه gae hain". (Tafseer-e-ROOH Ul Bayaan, JILD 5, PAGE 321, Matboo'a Darul Haya, Beroot) Tafseer-E-Madarik main hai: Tarjama: " Yaani HAZRAT KHIZR ko GAIB ki khabren din , aur kaha gaya hai, k ILM-E-LADUNNI woh hota hai, jo banday ko ILHAAM k Tareeqay par haasil ho ". (Tafseer-E-Madaarik, JILD 2, Page 22, Matboo'a Maktab Ul Qura'an, Peshaawar) Tafseer-E-KHAAZAIN main isi Aayat ke tehet hai: Tarjama: " Yaani HAZRAT KHIZR ko ILM-E-BAATIN ILHAAM k Tareeqay par Ata farmaya". Is Aayat O Tafseeri Ibaarton se Maloom huwa keh RAB TA'ALA ne HAZRAT KHIZR ko bhi ILM-E-GAIB Ata farmaya tha, jis se Laazim Aya keh HUZOOR Sarkar e aqdas صلى الله عليه و سلم ko bhi ILM-E-GAIB Ata huwa, kiyon keh Aap Tamaam Makhlooqaat-E-ILAHI main sab se ziyaada Afzal aur AALIM (Yaani ILM waalay) hain , aur HAZRAT KHIZR عليه السلام bhi Makhlooq hain.. Aayat 9: وَكَذَٰلِكَ نُرِي إِبْرَاهِيمَ مَلَكُوتَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَِ Tarjama: " Aur isi Tarah hum IBRAAHIM ko Dikhate hain. Saari Baadshahi Aasmaanon ki aur Zameen ki". (Parah 7, Surah 6 Surah An-‘aam, Aayat 75) Tafseer-E-KHAAZIN main hai: Tarjama: " HAZRAT IBRAAHIM عليه السلام ko Sehra par khada kiya gaya, aur un k Liye Aasmaan khol diye gae, Yahaan tak k Unhon ne Arsh O Kursi aur jo kuch Aasmaanon main hai Dekh liya , aur Aap k Liye Zameen Khol di gai , Yahaan Tak keh Inhon ne Zameenon k neeche zameen aur un k Ajaibaat ko dekh liya jo Zameenon main hai ". (La BAab Taaweel Fi Tanzeel, Al Ma'aroof, Tafsser-E-Khaazin, JILD 2, PAGE 126, Matboo'a Darul kutub Ilmiya, BEROOT) Tafseer-E-MADARIK main isi Aayat k MA TEHET hai: Tarjama: " Mujaahid ne HAZRAT IBRAAHIM عليه السلام k liye saaton (7), Aasmaan khol diye gae , aur Unhon ne dekh liya , jo Kuch Aasmaanon main hai, Yahaan tak keh Un ki NAZAR ARSH tak puhanch gai, aur un k liye, Saat (7), Zameen kholi gain keh Unhon ne Woh cheezen dekh lin, jo zameenon main hain ". Tafseer-E-MADARIK, JILD 1, PAGE 373, MATBOO'a, MAKTABUL QURA'AN,PESHAAWAR) ROOH-UL-BAYAAN main is Aayat k Ma Tehet hai: Tarjama: " IBRAAHIM ko Aasman O Zameen ki Ajaebaat O Garaebaat dikha diye, aurARSH ki bulandi se Tehet-Suri tak khol diye ". (Tafseer-E-ROOH-UR-BAYAAN), JILD 3, PAGE 72, MATBOO'A Darul Haya, BEROOT) TAFSEER-E-IBN-EJAREER-ABI-HAATIM main hai: Tarjama: " HAZRAT IBRAAHIM pe khuli posheedah tamaam cheezen khul gaen, Pas in par Makhlooq k Aamaal main se bhi kuch Posheedah na raha ". (Jam-E-Ul-Bayaann-Fi-TAFSEER-Ul-Qura'an, Al- Ma'aroof, Tafseer-E-Tibri, JIL safah 246, Matboo'a Darul Haya, BEROOT) Tafseer-E-Kabeer main hai: Tarjama: " ALLAH TA'ALA ne HAZRAT IBRAAHIM عليه السلام k liye Aasmaanon ko Cheer diya , Yahaan tak k inhon ne, ARSH-O-KURSI aur jahaan tak Jismaani ILM ki Foqiyat Khatam hoti hai, Dekh liya. Aur Woh Ajeeb O Gareeeb cheezen bhi dekhlin, jo Aasmaanon min hain, aur woh Ajeeb-OGareeb cheezen bhi dekh lin, jo zameen k Pait main hai ". (Tafseer-E-Kabeer, JILD 5, PAGE 35, MATBOO'A Darul Haya, BEROOT) IS Aayaat aur in Tafaaseer se maaloom huwa keh ARSH se le k ar Zameen k Andarooni Hissay tak HAZRAT IBRAAHIM عليه السلام ko dikhae gae , aur HUZOOR Sarkar e aqdas صلى الله عليه و سلم ka ILM in se kahin ziyaada hai to Maanna padega , keh HUZOOR Sarkar e aqdas صلى الله عليه و سلم ko bhi yeh tamaaam ULOOM Ata huwe . Khayaal rahe k ARSH ke ILM main LOOH-E-MEHFOOZ bhi aagaya aur (LOOH-E-MEHFOOZ main tamaam ULOOM aur sab kuch likh diya gaya hai, DUNIYA O AAKHIRAT ke tamaam Ma'aamlaat is main likhe gae hain), Lihaaza yeh ILM-E- IBRAAHIMI ki shaan hai to, aap khud sochen keh NABI-E-PAK (Sallalaho Alehe Wassallam) ka kiya ILm hoga, kiyin keh ILM-E-IBRAAHIM عليه السلام aur ILM-E-AADAM عليه السلام to HUZOOR صلى الله عليه و سلم k ILM ka ek Qatra hai.. Aayat 10: يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَسْأَلُوا عَنْ أَشْيَاءَ إِن تُبْدَ لَكُمْ تَسُؤْكُمٌْ Tarjama: "Ae Eemaan waalo, Aesi Baat na pucho ,jo tum par zaahir ki jaayen, to tumhen buri lagen (Parah 7, Surah 5 Surah Maai’dah, Aayat 101) Imaam Abu Abdullah Bin Ismail Bukhaari 256 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjama: " Ek Shakhs ne kaha Ae ALLAH k NABI صلى الله عليه و سلم mera Baap kon hai ?? To AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya Tera Baap Fulaan hai , aur phir yeh Aayat-e-Kareema Naazil huwi , Ae Eemaan waalon Aesi baaten mat pucha karo, k agar tumhare aage, bayaan kardi jaen to tumhen bura lage ". (Sahi Bukhari Kitaab Ul A'atasaam, JILD 2, PAGE 1083, MAtboo'a Qadeemi Kutub Khaana, Karachi) Jab Mu'aanideen Haq ki Gustaakhiyaan hadd se barh gaen, aur in ki Taraf Uthaae gae, sawaalaat ka silsila tool Pakar gaya, to HUZOOR صلى الله عليه و سلم ke Rookh e Anwar par Naaraazgi k Aasaar Namoodaar huwe , Riwaayat main aata hai keh AAP (صلى الله عليه و سلم ) JALAAL main akarmimbar par Jalwa Afroz huwe, aur yeh Aelaaan farmaya, jis ka Zikar HAZRAT ABU MOOSA (رضي الله عنه) ki riwaayat main yun kiya gaya hai: Tarjama: " HUZOOR صلى الله عليه و سلم se kuch cheezon ke baaray main puchha gaya Jinhen AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Na Pasand farmaya, Jab Sawaalaat ka silsila Tawaalat Aekhtiyaar kar gaya, To AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) naaraaz hogae , phir Logon se farmaya, tum mujh se jis Cheez ke baaray main chaho sawaaal karo, Ek Shakhs ne kaha MERA BAAP KON HAI??? AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya TERA BAAP HUZAAFA hai , phir dusra shakhs khada huwa, aur us ne Kaha YA RASOOL ALLAH! MERA BAAP KON HAI?? AAP ( (صلى الله عليه و سلم ) ) ne farmaya tera baap Sheeba ka Ghulaam Saalim hai . Jab HAZRAT UMAR (رضي الله عنه) ne AAP ke Chehray par Naaraazgi ki Kefiyat dekhi to kaha YA RASOOL ALLAH! Hum ALLAH ki baargah main Toba karte hain" . (Saheeh Bukhari, Kitaab Ul ILM, JILD 1, PAGE 19, Matboo'a Qadeemi, Kutub khana Karachi), (Al Beher Az Khaar, Al Maaroof, Bamusnad al Bazaar, JILD 8, PAGE 146, Raqam Ul Hadees 3165, Matboo'a Maktabul Uloom O Al Hakam, Ul Madina tul Munawwarah), (Musnad Abi Ya'ALI, JILD 13, PAGE 288-289, Rakam Ul Hadees 7303), (Muslim Shareef Baab Fil Fazail, Baaab Touqeer (Sallalaho Alehe Wassallam), JILD 4, PAGE 1834-1835, Rakamul Hadees, 2360) Hazrat Anas (رضي الله عنه) se Marvi hai. Tarjama: " HUZOOR صلى الله عليه و سلم (Mimbar par) Tashreef lae, aur Khutba diya, ABDULLAH BIN HUZAAFA ne khare ho kar Arz kiya.. MERA BAAP KON HAI?? AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya TERA BAAP HUZAAFA HAI?? .. Phir AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) baar baar farmane lage, mujh se Pucho... HAZRAT UMAR (Razi ALLAH Anhu) ne Do (2) Zaanon beth kr Arz ki HUM ALLAH TA'ALA ke RAB hone par, aur ISLAAM k Deen hone par, Aur MUHAMMAD (Sallaho Alehe Wassallam) k NABI hone par Raazi huwe , Aap ne yeh Kalimaat Teen (3) Martabaa Dohrae, Phir HUZOOR صلى الله عليه و سلم ne Sukoot Ekhtuyaar farmaya". (Sahi Bukhari Kitaab Ul ILM, JILD 1, PAGE 20, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi) Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri mai Riwayat karte hain: Tarjama: " HUZOOR صلى الله عليه و سلم ne farmaya tum mjh se jis cheez k Muta'aliq Sawaal Karoge, main tumhen us cheez k Muta'aliq bayaan karunga". (Musnad Ahmed, JILD 3, PAGE 177, Raqam Ul Hadees 12843,Misar) Is Aayat aur in Tafaaseer se ILM-E-GAIB ka saboot milta hai , keh agar koi yeh Aqeedah rakhta tha, keh NABI صلى الله عليه و سلم ko ILM nahin hai, to NABI صلى الله عليه و سلم ke Chehrey Mubarak pe Naaraazgi k Aasaar aa jate the , aur HUZOOR صلى الله عليه و سلم ka Mimbar pe khare ho k Aelaan karna keh Jo puchna hai, jise Puchna hai, Puch le... AAP صلى الله عليه و سلم jawaab denge, Jis Par phir yeh Aayat Naazil huwi ... Bad Aqeeedah Logon ko Chahiye k woh Apne Aqaid ILM-E-GAIB k Muta'aliq durust karlen, Q keh HAQ aur Baatil un ke Saamne hai, jis Raah pe chalna chahen chalay jaen .. Bas itna Zarur yaad rakhna.. HUZOOR صلى الله عليه و سلم ke liye ILM-E- GAIB na maanna Munaafiqon ka kaam tha.. Aayat 11 وَعَلَّمَ آدَمَ الْأَسْمَاءَ كُلَّهَا ثُمَّ عَرَضَهُمْ عَلَى الْمَلَائِكَةِ فَقَالَ أَنبِئُونِي بِأَسْمَاءِ هَٰؤُلَاءِ إِن كُنتُمْ صَادِقِينَ Surah Al-Baqrah Aayat no.31. Tarjama: Aur ALLAH taala ne Adam ko tamam Aashiya k naam sikhaye.phir sab aashiya ko Malaika par pesh kar ke farmaya sacche ho to in ke naam to batao.. Tafseer khazaain ul irfan me is aayat k baare men hai... ALLAH TAALA ne Hazrat Adam Alaihissalam par tamam aashiya wa jumla musammiyaat pesh farama kar aapko unke asma wa sifat wa afaal wa khwas wa usool uloom wa sana’at sab ka ilm bataur ilham ataa farmaya.... Yaani agar tum apne is khayal me sacche ho keh main koi makhluq tum se zyada ilm paida na karuga aur khilafat ke tumhi mustahahiq ho to un chizon ke naam batao kyuki khalifa ka kaam tasarruf wa tadbeer aur adl wa insaaf hai aur yeh bagair is ke mumkin nahi keh khalifa ko in tamam chizon ka ilm ho jin par inko mutassrrif faramaya gaya aur jin ka is ko faisla karna hai..Masla: ALLAH TAALA ne Hazrat Adam Alaihissalam ke Malaika par Afzal hone ka sabab ilm zaahir farmaya isse saabit hua keh ilm asmaa khalwaton aur tanhaiyo ki ibaadat se afzal hai,Masla: is aayat se yeh bhi saabit hua k Ambiya Alaihissalam Maliaka se Afzal hai..... In tafseero se itna maloom hua keh ماكان و مايكون ke saare uloom hazrat aadam عليه السلام ko diye gaye zabanen, chizon ke nafa o zarar, banane ke tareeqe, aalaat ka isremaal sab dikha diye lekin ab mere aaqa o maula ke uloom ko to dekho haq ye hai keh ye ilm e aadam mere aaqa ke ilm ke darya ka ek qatra ya maidaan ka ek zarra hai shaikh ibn e arbi futoohaat e makkiyah baab e dahum men farmate hain tarjama: huzoor ke pahle khalifa aur naayeb aadam عليه السلام hain maloom hua keh hazrat aadam عليه السلام huzoor عليه السلام ke khalifah hain khalifa usko kahte hain jo asl ki gair maujoodgi men uski jagah kaam kare huzoor عليه السلام ki paidaaish e paak se qabl saare ambiya huzoor عليه السلام ke naayeb the Aayat 12 الرَّحْمَٰنُ عَلَّمَ الْقُرْآنَ خَلَقَ الْإِنسَانَ عَلَّمَهُ الْبَيَانَ Surah Rehman Aayat no 1-4 Tarjama : Rahman ne apne mahboob ko quran sikhaya insaniyat ki jaan Mohammad ko paida kiya Maa kaana wa Maa yakoon ka bayaan inhen sikhaya. Tafseer al sawi me hai keh Mohammad صلى الله عليه و سلم jo al insan al kamil hai jinhe Maa kana wa Maa yakoona ka ilm ataa kiya gaya hai(woh sab kuch jo ho chuka,jo ho raha hai aur jo hone wala hai.) ImamAbu Muhammad Husayn b. Mas'ud ibn Muhammad al-Farra' Baghawi al shafi’i (d.516H/1122),apni Tafseer al baghawi men likhte hain keh “ALLAH ne Mohammad صلى الله عليه و سلم ko paida kiya aur unhe har woh baat sikha di jo ho chuka aur jo hone wala hai. ﻭﻗﺎﻝ ﺍﺑﻦ ﻛﻴﺴﺎﻥ : } ﺧَﻠَﻖَ ﭐﻹِﻧﺴَـٰﻦَ { ﻳﻌﻨﻲ : ﻣﺤﻤﺪﺍًً ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ } ﻋَﻠَّﻤَﻪُ ﭐﻟﺒَﻴَﺎﻥَ { ﻳﻌﻨﻲ : ﺑﻴﺎﻥ ﻣﺎ ﻛﺎﻥ ﻭﻣﺎ ﻳﻜﻮﻥ ﻷﻧﻪ ﻛﺎﻥ ﻳﺒﻴﻦ ﻉ ﻥ ﺍﻷﻭﻟﻴﻦ ﻭﺍﻵﺧﺮﻳﻨﻮﻋﻦ ﻳﻮﻡ ﺍﻟﺪﻳﻦ . ( Tafsir al Baghawi under Sura rahman , ayat 3-4). Ibn Kaseer Khalaqal Insaan He created human that is MuHammad Sallallahu ` Alayhi wa Sallam likhte hai Allamahul Bayaan yani bayan sikhaya woh bayaan jo ho chuka aur hone wala hai. NOTE : Imam Baghawi ne hadith classics Sharh al-Sunnah and Masabih al-Sunnah likhi jo baad me Mishkat al-Masabih addition k saath al- Tibrizi d.741H. Ala'uddin Ali Bin Muhammad Khazin al shafi’I [ d. 725 AH] apni Tafsir me likhte hai “Mohammed صلى الله عليه و سلم ko ma kaan wa ma yakoon ka ilm ataa kiya gaya” [ Tafsir Al Khazin ] Aayat 13 قَالَ لَا يَأْتِيكُمَا طَعَامٌ تُرْزَقَانِهِ إِلَّا نَبَّأْتُكُمَا بِتَأْوِيلِهِ قَبْلَ أَن يَأْتِيَكُمَا ۚ ذَٰلِكُمَا مِمَّا عَلَّمَنِي رَبِّي َ Surah Yusuf Aayat no. 37. Tarjuma :- Yusuf ne kaha jo khana tumhe mila karta hai woh tumhare paas na aane paayega keh me uski taabir uske aane se pehle tumhe bata duga. Ye un ilmon men se hai jo mujhe mere rab ne sikhaya Is aayat se Hazrat Yusuf Alaihissalam ka Ilm e ghaib saabit hai) Aayat 14 وَأُنَبِّئُكُم بِمَا تَأْكُلُونَ وَمَا تَدَّخِرُونَ فِي بُيُوتِكُمَْ Surah Al-Imran Aayat no. 49. Tarjuma :- Aur tumhen batata hun jo tum khaate aur jo apne gharo men jama kar rakhte ho. (Yaani woh jo bhi chhupate apne ghar ki 4 diwari men woh sab Hazrat Isa Alaihissalam ko khabar hai) Aayat 15 وَلَمَّا بَلَغَ أَشُدَّهُ آتَيْنَاهُ حُكْمًا وَعِلْمًا ۚ وَكَذَٰلِكَ نَجْزِي الْمُحْسِنِينَ Surah Yusuf Aayat no. 22. Tarjama : Aur jab apne puri quwwat ko pahucha,humne use hukum aur ilm ataa farmaya.aur ham aisa hi sila dete hain nekon ko Aayat 16 فَلَمَّا أَن جَاءَ الْبَشِيرُ أَلْقَاهُ عَلَىٰ وَجْهِهِ فَارْتَدَّ بَصِيرًا ۖ قَالَ أَلَمْ أَقُل لَّكُمْ إِنِّي أَعْلَمُ مِنَ اللَّهِ مَا لَا تَعْلَمُونَ Surah Yusuf Aayat no. 96 Tarjuma: phir jab khushi sunane wala aaya,usne wa kurta Ya'qub k munh par daala usi waqt uski aankhen phir aai(dekhne lage) kaha main na kehta tha keh mujhe ALLAH ki woh shaanen maalum hain jo tum nahin jaante. Aayat 17 وَلُوطًا آتَيْنَاهُ حُكْمًا وَعِلْمًاَ Surah Ambiya Aayat no. 74 Tarjama : Aur Lut ko humne Hukumat aur Ilm diya. In tamam Aayat se Saabit hai keh ALLAH taala ne Sarkar صلى الله عليه و سلم ke saath Digar Ambiya Alaihimussalam ko bhi ilm e ghaib ataa kiya hai. Yahan tak qurani aayaton ka silsila tha ab In Sha Allah ilm e gaib ke suboot men kuchh ahadees pesh ki jaayengi Aap hazraat se guzarish hai keh jo aayaten jo upar pesh ki gayi hai unhen khoob dhiyaan se padhen aur gaur karen keh Allah Ta’ala ne to apne mahboobo ko ilm e gaib ata farmaya hai aur yeh kahte hain keh huzoor صلى الله عليه و سلم ke ilm e gaib maanna shirk hai HADEES 1: Bukhari Kitaabu BadailKhalq aur Mishkaat, JILD 2, Baab BadailKhalq O Zikaril Ambiya men Hazrat UMAR-E-FAROOQ (رضي الله عنه) se Riwaayat hai: TARJMA: " HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم ) ne ek Jagah Qiyaam farmaya , Pas Hum ko Ibtada-E- Pedaish ki khabar de di, Yahaan tak k Jannati log, Apni Apni Manzilon main Puhanch gae , aur Jahannami log apni jagah men jis ne Yaad rakha , Us ne yaad rakha, aur jo Bhool gaya, Woh Bhool Gaya". (Sahi Ul Bukhaari, Kitaabu BadailKhalq, Jild 1, PAGE 453, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi), (Sahi Muslim Kitaab Ul Fatan, JILD 2, PAGE 390, Matboo'a Qadeemi Kutub khaana Karachi) (Mishkaat ul Musaabeh, PAGE 506, Matboo'a NOOR Muhammad kutub Khana) Is Jagah HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne 2 Qism ke Waqi'aat ki khabar di 1) AALAM ki Pedaish Ki IBTADA kis tarah huwi.. 2) Phir AALAM ki INTAHA kis Tarah hogi.. Yaani Az Roz Awwal ta Qiyaamat Ek Ek Zarra Bayaan Kar diya.. Aeni Sharah Bukhari. Fatah Ul Baari, Irshad-Us-Saari, Sharah Bukhari, Mirqaat Sharah, Mishkaat men Upar di gai Hadees ke Ma Tehet hai: Tarjama: "Is HADEES men Dalalat hai keh HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne ek hi Majlis main Saari Makhlooqaat ke Saaray Haalaat ki Az Ibtada ta Inteha tak Khabar di". (Mirqaat Sharah Ul Mishkaat, JILD 11, Maktab-E-IMDAADIYA, Multan) (Irshaad Us Saari JILD 5, PAGE 250) (Haashiya Sahi Bukhari, JILD 1, PAGE 453, Matboo'a Qadeemi, Kutub khana Karachi) HADEES 2: Mishkaat Baab Ul Mojizaat main muslim se Bariwaayat Umar-O-IBN-E-KHATA isi tarah manqool hai magar is main itna aur hai: Tarajama: "Hum ko tamaam un Waaqiyaat ki khabar de di, jo Qiyaamat tak hone waale hain, Pas hum men bada AALIM woh hai, jo in baaton ka Ziyaadah Haafiz hai". (Sahi Muslim, JILD 2, PAGE 390, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi) HADEES 3: Mishkaat Baab Ul Fitan main Bukhaari O Muslim se Bariwaayat Hazrat Huzaifa (رضي الله عنه) hai. Tarjama: " HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم ) ne is jagah QAYAAMAT tak koi cheez na chori, magar uski khabar de di, jis ne yaad rakha, yaad rakha, jo bhool gaya woh Bhool gaya". (Sahi Bukhari, JILD 2, PAGE 977, Matboo'a Karachi) (Dalaelun Nabuwwah, IMAAM Baihaqi, JILD 6, PAGE 313, Matbo'a Daar Ul Qutub Ul Ilmiya, BEROOT) Haafiz Shaha Buddeen 862 Hijri main likhte hain: TARJAMA: " HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم ) ka ek hi Majlis main ROZ-E-QIYAAMAT tak ke Ahwaal O Waaqiyaat ka Bayaan farmana , aap ka Azeem mojiza hai, aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki SHAAN Taweel Kalaam ko chand jumlon main bayaan karna is ka Aaenadaar hai. aur is ki Misaal ek dusri Jahat se ABDULLAH BIN UMAR O AAS (رضي الله عنه) ki Hadees main hai Jisay IMAAM TIRMIZI ( رحمة الله عليه ) ne Riwaayat kiya hai, Keh HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم ) hamaray pass tashreef lae, AAP k haath main 2 kitaaben thin.. Seedhay Haath waali Kitaab keh baaray main farmaya yeh Kitaab RABBUL AALAMEEN ki taraf se hai, is main Ahl-E- Jannat aur in ke Aaba'a aur in ke qabeelon ke naam hain, in par kabhi bhi na koi naam Ziyaadah ho sakta hai aur na koi naam kam ho sakta hai.. Phir AAP (صلى الله عليه و سلم) ne Baayen Haath waali Kitaab ke Baaray main AHLE DOZAKH ki Nisbat isi ke Misl Bayaan Farmaya". (Fatah-Ul-Baari, Sharah Sahi Bukhari, JILD 6, PAGE 291, Matboo'a Dar-un-nashar,Kitaab Ul Islaamiya, Lahore) IMAAM BADARUDDEEN Aeni Hanfi 855 Hijri main likhte hain: Tarjama: " HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم ) ka ek hi Majlis main Roz-E-Qayaamat tak k ahwaal O Waqiyaat ka bayaan farmana AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ke Mojizaat main se ek Azeem mojiza hai, aur aesa kiyon na ho k AAP ( صلى الله عليه و سلم )ko is ke Saath jo Taweel kalaam ko thoray waqt main bayan karne ka Mojiza bhi ata kiya ". (Umdah Qaari , JILD 15, PAGE 110, Matboo'a Darul Fikar Beroot) ALLAMA AHMED QAStLAANI bhi 911 Hijri main yahi likhte hain: (Bahawala: Irshaad Us Saari, JILD 5, PAGE 250) HADEES 4: Mishkaat Baab Fazael e Sayyedil Mursaleen men Muslim se Ba Riwaayat Sobaan (رضي الله عنه) hai: Tarjama: " ALLAH ne mere Liye, Zameen samait di, pas main ne Zameen k Mashriqon aur Magribon ko dekh liya". (Sahi Muslim Kitaab Ul Fitan O Sharaet O Sa'at, JILD 2, PAGE 390, Matboo'a E Qadeemi, Kutub Khaana Karachi) (Sahi Muslim, JILD 4, PAGE 2216, RaqamUl Hadees 2889, Matboo'a DarUl Kutub Ilmiya, Beroot) MirQaat Sharah Mishkaat aur sharahusShifa liMulla ali Qaari O Zurqaani Sharah Muwaahib, Naseem Ur Riyaaz, Sharah Shifa main Hadees 4 main hai.. Tarjama: "Is Hadees ka khulasa yeh hai keh HUZOOR (ALE SALAAM) k liye zameen samait di gai, aur is ko aesa jama farma diya gaya, jese ek haath main aaenay ko dekhta hai aur zameen ko is tarah sameta keh Door waali ko Qareeb kar diya is k Qareeb ki taraf, yahaan tak k hum ne dekh liya un tamaam cheezon ko jo Zameen main hain".. HADEES 5: Mishkaat Ul Masaabeeh main Abdur Rehman Bin Aaish se Riwaayat hai: TARJAMA: " HUM ne apne RAB ko achi Soorat main dekha , RAB TA'ALA ne apna Dast e Qudrat Hamaray Seenay par rakha, Jis ki Thandak hum ne apne Qalb main Paai, Pas Tamaam Aasmaan O Zameen ki Cheezon ko hum ne jaan liya". (Sunan Daarmi Kitaab Ur Roya, Baab Fi Roiyyah RAB TA'ALA, Fi Nom, JILD 2, PAGE 51, RAQAMUL HADEES, 2155, Matboo'a Nashar Us Sana, Multan) Imaam Abdullah Bin Abdur Rehman Daarmi 255 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjama: " Main ne Apne RAB Azzawajal ko Behtareen soorat main dekha , RAB-E-Zul jalaal ne mujh se farmaya k Malaika Muqqabareen kis baat par jhagra karte hain?? Main ne Arz ki MOLA tu Khoob jaanta hai, HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne farmaya phir mere RAB ne apni REHMAT ka HAATH mere donon Shaanon k Darmiyaan rakh diya, mene us ki Thandak apni dono Chaatiyon k Darmiyaan Paai, Pas mujhey un tamaam Cheezon ka ILM hogaya, jo keh Aasmaaanon aur Zameenon main thin". (Sunan Daarmi Kitaab Ur Roya, Baab Fi Roiyyah RAB TA'ALA, Fi Nom, JILD 2, PAGE 51, RAQAMUL HADEES, 2155, Matboo'a Nashar Us Sana, Multan) Hadees 6: Sharah Mowaahib Ladniyah main HAZRAT ABDULLAH BIN UMAR (رضي الله عنه) ki Riwaayat se hai: Tarjama: " ALLAH TA'ALA ne hamare saamne Saari duniya ko pesh farmaa diya Pas hum is Duniya ko aur jo kuch is main QAYAMAT tak hone waala hai is tarah dekh rahe hain, jese apne Haaath ko dekhte hain" . (Sharah li Allama Zurqaani Ali Ul Mowaahib Ul Ladniyah JILD 7, PAGE 206, Matboo'a Darul Ma'arfatah, Beroot) HADEES 7: Mishkaat Baab Ul Masaajid Bariwaayat Tarmizi hai: Tarjama: " Pas Hamare liye har cheez zaahir hogai aur Hum ne Pehchaan li ". (Jaamay Sunan Tarmizi Kitaab Ul Tafseer, JILD 5, PAGE 160, RAQAMUL HADEES 3246 Matboo'a Daarul Fikar Beroot) Imaam Jalaludeen 911 Hijri main likhte hain: Tarjama: " Tibraani ( رحمة الله عليه ) ne IBN-E- UMAR (رضي الله عنه) se Riwaayat ki, Inhon ne kaha k RASOOL ALLAH ( صلى الله عليه و سلم )ne farmaya, ALLAH AZZAWAJAL ne Saari duniya ko utha kar mere Pesh-E-Nazar kar diya, aur main ise dekh raha hun, aur Qayaamat tak jo kuch us main hone waala hai main use is tarah Waazeh tor par dekh raha hun jese meri yeh hatheli hai, ALLAH AZZAWAJAL ne apne NABI k liye Munkashif farmaya, jis tarah AAP se pehle NABIYON ki taraf kiya" . (Khasaesul Kubra, JIL 2, PAGE 185, Matboo'a Daarul Kutub Ilmiya, Beroot) HADEES 9: Mishkaat Baab Ul Fitan Fasal Saani Main HAZRAT HUZEFA (رضي الله عنه) se Riwaayat hai.. Tarjama: " Nahin chora HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne kisi Fitna chalanay waalay ko duniya ke khatam hone tak, jin ki taadaad 300 se ziyada tak puhnchay gi magar hum ko us ka naam is ke baap ka naam aur us ke Qabeelay ka naam bata diya" (Mishkaat Ul Musaabeh, baab Ul Fitan Fasal Saani, PAGE 463, Matboo'a Qadeemi Kutub khana karachi) Hadees 8: Musnad Imaam Ahmed Bin Hambal main Ba Riwaayat Abu Zarr (رضي الله عنه) hai: Tarjuma: " Hum ko HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne is Haal par chora keh koi Parindah apne Par bhi nahin hilaata, Magar us ka hum ko ILM bata diya". (Musnad Ahmed, JILD 5, PAGE 53, Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta, Qurtuba Misar) IMAAM yusuf Bin Ismail Nibhani (Rehmatullah Aleh) Likhte hain". Tarjuma: " Imaam Ahmed-O-Ibn-E-Saad aur Tibraani ( رحمة الله عليه ) ne Hazrat Abu Zarr (رضي الله عنه) se Riwaayat keh, Inhon ne kaha keh RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) ne humen is haal main chora hai, Keh Fiza-E-Aasmaani main jo parinda par maarta hai AAP ne Az Roe ILM hum se uska Zikar kar diya". (Musnad Ahmed, JILD 5, PAGE 153, Matboo'a Darul Fikar Beroot) Imaam Muhammad Bin Ahmed Bin Jamee'e Us Sedaawi 402 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " HAZRAT ABU ZARR (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat hai k inhon ne kaha keh RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) ne humen is haal par chora keh Fiza- E-Aasmaani main jo Parinda par Maarta hai AAP ne Az Roe ILM hum se us ka Zikar kar diya hai". (Majma-E-Shuyookh, PAGE 142, Matboo'a Mosasta Ur Risaala, Beroot) Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hjiri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Abu Zarr (Razi ALLAH Anhu) Farmate hain k Humen RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Is Haal par chora keh Fiza main jo bhi apne Paron se Urne waala Parinda tha, AAP ne humen Us Se Muta'aliq Zikar kiya ". (Musnad Ahmed, JILD 5, PAGE 153, Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta Qurtuba Misar) Ab Aap Khud faisla karen.. keh Kiya Bager ILm ke Aasmaan main Urne waale Parinday Ke baaray main maaloom kiya ja sakta hai??? Woh bhi tni jaldi maaloom karna, keh Parinday ke Par Hilaanay se pehle hi dusron ko bhi Parinday ke Baaray main bata diya jae... Ab aap khud hi faisla kar sakte hain, kiyon keh Aasmaan main Urne Waala PArinday ke Baaray main Maaloomat to Gaib hai, kiyon keh GAIB har Chupi huwi cheez ko kehte hain, jo kisi Hawaas ke bager maaloom na ki ja sake... to is GAIB ke ILM ko kiya kahen ge??? ALLAH, Bad Aqeedah logon ko Raah-E-Raast pe Lae.. Aameen.. HADEES 10: Mishkaat Baab Zikaril Ambiya main Bukhaari se Ba Riwaayat Abu Hurerah (رضي الله عنه) hai: Tarjuma: " Hazrat Daaod ( صلى الله عليه و سلم )par Qura'an (Zaboor) ko is Qadar halka kar diya gaya tha, keh Woh Apne Ghoron ko Zain laganay ka Hukum dete the to AAP in ki Zain se pehle ZABOOR parh lete the".. (Sahi Bukhari Kitaab Ul Ambiya, JILD 1, PAGE 475, Matboo'a Qadeemi Kutub khana karachi) Yeh Hadees is jagah is liye bayaan ki gai k Agar HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne ek Wa'az main Az Awwal Ta Aakhir Waaqiyaat bayaan farma diye to yeh bhi AAP ka ek Mojiza tha jese keh HAZRAT DAAOOD ( صلى الله عليه و سلم )AAN ki AAN main Saari ZABOOR SHAREEF parh lete the.. HADEES 11: Mishkaat Baab Manaaqib e Ahle Bait main hai.. Tarjuma: " HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne khabar di k FATIMA ZOHRA (رضي الله عنه) ke farzand peda hoga, jo tumhari parwarish main rahe ga".. (Mishkaat Ul Musaabeh Baab Manaaqib e Ahle Baitin NABI Al Fasal Ul Awwal, PAGE 572, MAtboo'a Qadeemi Kutub Khana KArachi) Tamaam baad ke Hone waale Fitnon ka bata dena, aur aese batana, Keh fitnah karne waalon ke naam batana, un ke Baap ka naam batana, Aur Qabeelay ka naam batana.. yeh kiya hai??? Jawaaaaab do??? Aap khud faisla kar sakte hain k FATIMA ZAHRA (رضي الله عنه) ko batana keh un ke Yahaan farzand peda hoga.. yeh GAIB hai ya nahin??? Batao?? Jawaab do Gustaakhon??? HADEES 12: Bukhari Baab isbaat Azaabil Qabar main HAZRAT IBN-E-ABBAS (رضي الله عنه) se Naqal hai: Tarjuma: " HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )do Qabron par se Guzre jin main Azaab horaha tha, to farmaya k dono Shakhson ko azaab diya ja raha hai, aur kisi Dushwaar baat mai Azaab nahin ho raha in main se ek to Peeshaab se na bachta tha, aur dusra Chugli Kiya karta tha, phir Ek Tar SHAAKH ko le kar is ko aadha aadha Cheera Phir har Qabar par ek ek ko Gaarh diya aur Farmaya keh jab tak yeh Tukray khushk naa honge, in dono shakhson se Azaab main kami ki jaawe gi".. (Sahi Bukhari, JILD 1, PAGE 611, MAtboo'a Qadeemi Kutub khana Karachi) HADEES 13: Bukhari Kitaab Ul e'tasaam Bil Kitaab Wa Sunna Aur Tafseer E Khazin main hai: Tarjama: " Huzoor ( صلى الله عليه و سلم )Mimbar par kharay huwe, Pas Qiyamat ka Zikar farmaya k Is se Pehle Baray Bary Waaqiyaat hain, Phir farmaya jo Shakhs jo Baat puchna chahay Puch le, QASAM khuda ki Jab tak Hum is jagah Yaani Mimbar par hain, tum koi baat hum se na pucho ge, magar hum tum ko is ki Khabar denge, ek Shakhs ne khare ho kar Arz kiya, Keh mera Thikaana kahaan hai?? Farmaya Jahannam main... Abdullah Bin Huzafa ne khare ho kar Dariyaft kiya keh Mera BAAP kon hai?? Farmaya HUZAFA.. Phir Baar Baar farmate rahek Pucho Pucho".. (Sahi Ul Bukhari Kitaab Ul e'tesaam, Jild 2, Page 1083, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi) Khayaal Rahe keh Jahannami Ya Jannati hona Uloom E Khamsa main se hai keh Saeed hai ya Shaqi, isi Tarah kon kis kaa Beta hai yeh aesi baat hai keh Jis ka ILM Siwae is ki Maa ke aur kisi ko nahin hosakta, Qurbaan un Nigaahon ke jo keh Andheray Ujaalay, Duniya O Aakhirat sab ko Dekhti hain.. HADEES 14: Mishkaat Baab Manaaqib e Ali (رضي الله عنه) main hai: Tarjama: " HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne Khaibar ke din farmaya keh Hum Kal yeh Jhanda us ko den ge, jis k haath par ALLAH Khaibar Fatah Farma dega, aur Woh ALLAH aur US ke RASOOL se Muhabbat karta hai".. (Mishkaa Ul Masaabih, Page 563, Matboo'a Noor Muhammad kutub Khaana, Karachi) (Sahi Bukhari, Kitaaab Ul Fazail Us Sahaba Baab Min Fazail Ali Bin Abi Taalib (رضي الله عنه, Jild 4, Page 1872, Raqam Ul Hadees 2407, Al Hadees 3499, Matboo'a Dar Ibn E Kaseer, Beroot) Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri main Likhte hain: Tarjama: " HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne Khaiber ke din farmaya keh Main Aese SHAKHS ko Jhanda dunga, jo ALLAH AZZAWAJAL aur us ke RASOOL ( صلى الله عليه و سلم )ko Mehboob rakhta hai aur ALLAH aur Us k RASOOL use Dost Rakhte hain aur Woh Mehsoor Yahood Ke Qilay ko Fatah karega".. (Tabqaat Ul Kubra Ibn-E-SAAD Gazwah E Khaibar, Jild 2, Page 110, Matboo'a Dar us Saadir, Beroot) Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri Main Likhte hain: Tarjama: " HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne farmaya Main Kal aese Aadmi ko jhanda Ata karunga jo ALLAH aur us ke RASOOL se Muhabbat karta hai, ALLAH TA'ALA us ke Haath par Musalmaanon ko Fatah Naseeb farmae ga woh Bhaagay ga nahin".. (Al Seerah Annabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn- E-Hishaam Zikar Ul Muyyassar, JILD 4, Page 305, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot) HADEES 15: Mishkaat Baab Ul Masaajid main Abu Zarr Gifari (رضي الله عنه) se hai: Tarjama: " Hum par Hamari Ummat ke Aamaal Pesh kiye gae, ache bhi aur Buray bhi, Hum ne un ke Achay Aamaal main woh Takleef deh cheez bhi Paai jo Raaste se Hata di jae".. (Sahi Muslim Kitaab Ul Masaajid Baab Ul Nahi An Ul Buzaaq Fil Masjid, Jild 1, Page 207, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi) Upar dono Ahaadees se Saaf Saaf ILM-E-GAIB Saaabit hai.. keh Khaiber ki Jang kon Fatah karega yeh Batana GAIB nahin to aur kiya hai?? Gustaakhon se Sawaal.. Batao jawaab do?? Dusri Hadees se to ab Koi Shak hi nahin Bachta.. Are NABI ( صلى الله عليه و سلم )khud farma rahe hain.. keh Un ke Saamne Unki Ummat ke Aamaal Pesh kiye jaate hain... Are Shaitaan ke Chelon Doob Maro.. ALLAH ke Azaab se daro.. HADEES 16: Muslim Jild 2, Kitaab Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar main Hazrat Anas (رضي الله عنه) se Riwaayat hai: Tarjuma: " HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne farmaya yeh Fulaan Shakhs ke Girne ki jagah hai aur apne Dast-E-Mubaarak ko idhar Udhar Zameen par Rakhte the , Raawi ne farmaya keh Koi bhi Maqtooleen main se HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ke Haath ki Jagah se Zara bhi na Hata".. (Sahi Muslim kitab Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar, Jild 2,Page 102, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi) NOTE: Khayaal Rahe k kon kis Jagah Mare ga, Yeh Uloom E Khamsa main se hai, jis ki Khabar HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )Jang-E-Badar main ek Roz pehle de rahe hain.. Imaam Abu Daaod 275 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Anas (رضي الله عنه) bayaan karte hain keh (Jang-E-Badar ke din) RASOOL ALLAH ( صلى الله عليه و سلم )ne farmaya Kal Yeh Fulaan k Girne ki jagah hai aur AAP ne Zameen par Haath rakha aur Kal yeh Fulaan k Girne ki jagah hai aur Zameen par haath rakha aur Kal yeh Fulaaan k Girne ki Jagah hai aur Zameen par Haath rakha tha, koi Shakhs is k Bilkul Mutujaajiz nahin huwa. (Isi jagah gir kar mara), Phir RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh E Wassalaam) ke Hukum se unko Ghaseet kar Badar ke Kooen main Daal diya gaya". . (Sunan Abi Daaod, Baab Fil Aseer, Jild 3, Page 58, Raqam Ul Hadees 2681, Matboo'a Dar Ul Fikar, Beroot) Imam Noo'wi Shaafai 676 Hijri main is Hadees Mubaraka ki sharah main likhte hain: Tarjuma: " Is Hadees Mubaraka main HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ke 2 Mojazon ka Zikar hai, jo keh AAP ki nabuwat ki nishaaniyaan hain, Ek AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ka in Un ke Jaabir Sardaaron ke Qatal Gaahon ki Khabar dena keh kisi ne apni Qatal Gaah se Tajaawuz na kiya, Dusra Mojaza AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ka yeh batana keh jis Larkay ko woh Maar rahe the, jab use Chortay to woh such bolta, aur jab use Maarte to woh jhoot bolta aur yahi Haqeeqat thi".. (Such kiya tha aur Jhoot kiya?? Is ko Sahaba E Karaam (رضي الله عنه) na samajh sake aur HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne Waazeh farma diya, Yahi GAIB batana HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ka Dusra Mojiza tha).. (Sahi Muslim imam Noo'wi Kitaab Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar, Jild 2, Page 102, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi) HADEES 17: Mishkaat Baab Ul Mojizaat main HAZRAT ABU HURERA (رضي الله عنه) se Riwaayat hai: Tarjuma: " Shikaari Aadmi ne kaha mene Aaj ki tarah kabhi na dekha keh Bheriya Baaten kar raha hai , to Bheriya bola, keh is se Ajeeb baat yeh hai keh Ek Sahib (HUZOOR ALEH SALAAM) Do (2) Maidaanon ke Darmiyaani Nakhlistaan (Madina Munawaarra) main hain aur Tum ko Guzishta aur Aaendah ki Khabren de rahe hain". (seerat Ibn-E-Ishaaq Aalaam Un Nabbuwwah, Page 261, Raqam Ul Hadees, 433, Matboo'a Ma'ahad Daraasaat Wala Bahas Ut Taareeb) Imaam Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597 Hijri main Likhte hain: Tarjama: " Bheriye ne kaha yeh to koi Ta'ajub Khez Baat nahin hai, Dar Asal Herat aur Ta'ajub ka Mojib to yeh baat hai keh Sangistaanon ke darmiyaan Nakhlistan main ek Hasti Jalwah farma hain, jo Guzre huwe Waaqiyaat bhi Batlaate hain, aur Aane Waale bhi".. ( Al Wafa ul wafa , Baab Us Saani Zikar Aalaam Ul Hawash, JILD 1, PAGE159, Matboo'a Mustafa Ul Baabi, Misar) ALLAMA Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maaliki Qurtubi 668 Hijri main Likhte hain: Tarjuma: " Bheriya kehne laga, Ae Bakriyon Waale!! Is se kahin Ziyaadah Ajeeb Baat to yeh hai keh In do (2) Sangistaanon ke Darmiyaan Khajooron ke Baagaat Waale Sheher main ek MArd Jalwah Farma hain, jo tumhen Maazi ki Khabren bhi Deta hai, aur jo kuch tumhare Mustaqbil main hone waala hai un Waaqiyaat ki khabren bhi deta hai".. (At Tazkara Fi ahwaal Jild 2, Page 527, Matboo'a Saeediya, Kutub Khana, Sadaf Plaza Muhalla Jangi Peshawar) Imaam Kabeer Muhaddis Haafiz Hadees Abu Nu'aim Ahmed Bin Abdullah Asfahani 430 Hijri Main Likhte hain: Tarjuma: " Bheriye ne Kaha is se bhi Ajeeb tar Baat yeh hai keh Ek Aadmi Do (2) Medaanon ke Darmiyaan, Waaqiye Nakhlistaan (Madina) main Beth kar Batla raha hai keh Kiya ho chuka hai aur Aaendah kiya hoga"... (Dalael Un Nabuwwah, Imaam Abu Nu'aim Asfahaani, Page 337-338, Matboo'a Ziya Al Qura'an , Publications, Lahore) Haqeeqat Aap k Saamne hai.. Hadees 18: Tafseer-E-Khaazin main (Parah 4, Surah 3, Aayat 179) k Tehet hai: Tarjama: " HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم ) ne farmaya keh Hum Par Humari Ummat Pesh farmai gai , apni apni Sooraton main, Mitti main, jis tarah keh HAZRAT ADAM ( صلى الله عليه و سلم )par pesh huwin thin , HUM ko bata diya gaya, keh kon HUM par Eemaan Laawega, aur Kon Kufar karega , yeh Khabar Munaafiqeen tak Puhnchi to woh Hans kar kehne lage, keh HUZOOR (ALEH SALAAM)farmate hain, keh un ko logon ki Pedaish se Pehle hi Kaafir O Momineen ki khabar hogai, hum to un k saath hain, aur hum ko nahin Pehchaante, yeh khabar HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )tak Puhnchi to Mimbar par khare huwe, aur KHUDA ki Hamd O Sana ki Phir farmaya keh Qaumon ka kiya haal hai keh Hamaray ILM main Taana karte hain, Ab se Qiyaamat tak kisi Cheez ke Baaray main jo bhi tum hum se Pucho ge, hum tum ko Khabar Denge" .. Is Hadees se 2 Baaten Maaloom Huwin... 1) Ek yeh k HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ke ILM main Taana karna, Munaafiqon ka Tareeqah hai.. 2) Dusray yeh k Qiyaamat tak k Waaqiyaat saaray HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ke ILM main hain.. (Al Baab Ul Taaweel Fi Ma'ani Ut Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer Khaazin, JILD 1, Page 324, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiya, Beroot) HADEES 19: Mishkaaat Kitaab Ul Fitan, Baab Ul Malaahim, Fasal Awwal main Muslim se Ba Riwaayat Ibn- E-Mas'ood (رضي الله عنه) hai: Tarjama: " Hum in (Dajjal se Jihaad ki Tayyari karne waalon) ke Naam, In ke Baap Daadon ke Naam, In ke Ghoron ke Rang Pehchaante hain , Woh Ro-E-Zameen par Behtareen Sawaarhain".. (Muslim Raqam Ul Hadees 2224, Kitaab Ul Fitan, JILD 2, PAGE 392, Matboo'a Qadeemi Qutub Khaana , Karachi) HADEES 20: Mishkaat Shareef, Baab Manaaqib Abi Bakar O Umar main hai keh HAZRAT AAYESHA (Razi ALLAH Anha) ne Baargah Risaalat main Arz kiya keh Kya koi Aesa bhi hai, jis ki Nekiyaan Taaron ke barabar bhi hon, Farmaya who Umar hai... (Mishkaat Ul Masaabeeh Baab Munaaqib Abi Bakar O Umar Al Fasal Us Saalis, PAGE 560 Matboo'a Qademi, Kutub Khaana, Karachi) Is se Maaloom huwa keh HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ko QIYAAMAT tak ke Saaray logon ke Zaahiri aur Posheedah Aamal ki Puri khabar hai, aur Aasmaanon ke tamaam Zaahiri aur Posheedah Taaron ka bhi Tafseeli ILM hai, Haalankay, Ba'az Taaray ab tak Sciencey Aalaat se bhi Maaloom na ho sake, HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne in dono cheezon ko Mulaahaza farma liya, keh UMAR ki Nekiyan Taaron ke Barabar hain, Do Cheezon ki Barabari ya Kami Beshi wohi Bata sakta hai, jise Donon Cheezon ka ILM bhi ho aur Miqdaar bhi Maaloom ho.... HADEES 21: NIJAASHI (رضي الله عنه) ke Inteqaal ki khabar dena: Nijaashi Mulk-E-Habsha ke Baadsha ka laqab tha, jo koi wahaan ka Baadsha hota tha, use Nijaashi kehte the, woh Nijaashi pehle Eesaai tha, Lekin jab HUZOOR( ALEH SALAAM) ka Naama-E- Mubaarak jis main us ko Daawat-e-Islaam di gai thi , mila to HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )pe Eemaan le aaya aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Risaalat ka Iqraar kiya.. Imaam Ali Bin Mehmood Bin Saood-Ul- Khazai 789 Hijri main likhte hain: Tarjama: " Nijaashi (رضي الله عنه) Eemaan lae aur Gawaahi di Tauheed O Risaalat ki".. (Takhreej-Ur-Dalaalaat Us Samee'a, Page 297, Matboo'a Daar-Ul-Garb Ul Islaami, Beroot) Imaam Abdur Rehman Bin Al Jauzi 597 Hijri main Likhte hain: Nijaashi (رضي الله عنه) ne farmaya: Tarjuma: " Agar main Mulk (Hukmaraani) ke Masael main na hota, to main AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ke Pass aa kar AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Naal'en ko Choomta".. (Safoo'o Al Safoo'o, Jild 1, Page 518, Matboo'a Daar ul Ma'arfatah, Beroot) Haafiz Abu Al Qaasim Sulemaan Bin Ahmed Tibraani 360 Hijri main ek Taweel Riwaayat main likhte hain: Tarjama: " HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )kharay huwe aur Wazu kiya aur phir 3 martaba yeh dua ki keh Ae ALLAH Nijaashi ki MAgfirat farma Pas SAHABA (رضي الله عنه) ne Aameen kaha".. (Mo'ajjam Ul Kabeer Tibraani ba Asnad Jaafar (Razi ALLAH Anhu), Jild 2, Page 110, Raqam Ul Hadees 478, Matboo'a Maktab Tul Uloom O Al haka, Ul Mosal) Imaam Shamsuddeen Muhammad Bin Ahmed Zehbi 748 Hijri main likhte hain: Tarjama: " HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )kharay huwe aur Wazu kiya aur phir 3 martaba yeh dua ki, Ae ALLAH Nijaashi ki Magfirat farma pas Sahaba (رضي الله عنه) ne Aameen kaha".. (Seera Aalaaam Un Niblaal, Jid 1, Page 437, Matboo'a Mo'sasta, Ur Risaala, Beroot) Imaam Abu Daaod 275 Hijri main riwaayat karte hain: Tarjama: " Hazrat Aayesha Siddique'ah (رضي الله عنه) se Riwaayat hai keh woh Farmaati hain, hum Guftugoo kiya karte the keh Nijaashi (رضي الله عنه) ki Qabar par hamesha ek Noor NAzar Aata hai".. (Sunan Abu Daa'ood, Kitaab Ul Jihaad, Baab Fin Nooweri, Jild 1, Page 341,342, Matboo'a Maktab-a-Hukaaniyah Peshaawar) (Sunan Abi Daa'ood, Kitaab Ul Jihaad, Baab Fin Nooreri, and Kabar Us Shaheed, Jild 3, Page 16, RaqamUl Hadees 2523, Matboo'a Dar Ul Fiqar Beroot) Aur jab Nijaashi (رضي الله عنه) Wafaat paa gae , to HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne usi din Sahaba-e-Karaam (رضي الله عنه) ko un ki Wafaaat ki khabar sunai aur un par Namaz-E-Janaza parha aur Namaz-E-Janaza ke baad Hazrat Nijaashi ke liye dua bhi farmai.. Imaam Muslim bin Hajjaj 261 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Hazrat Abu Hurera (رضي الله عنه) bayaan karte hain, k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Habsha k Baadsha Nijaashi ki Wafaat ki khabar usi din di, jis din us ka Inteqaal huwa tha, AAP ne farmaya Apne Bhai k liye istagfaar kar do".. (Muslim Shareef, Jild 1, Page 309, Matboo'a Qadeemi Kutub khaana karachi) (Akmaal Akmaal Ul Mu'allim, Sharah Sahi Muslim, Jild 3, Page 88, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiy, Beroot) Imaam Abdur Rehman Ahmed Bin Shoib Nisaai 303 Hijri main Riwaayat karte hain k: Tarjuma: " Hazrat Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu0 se Riwaayat hai k jab Nijaashi (razi ALLAH Anhu0 Ka Inteqaal huwa to, NABI-E- Kareem ( صلى الله عليه و سلم )ne farmaya keh un k liye Istagfaar karo".. (Sunan Ul Kubra Ul Nisaai, Jild 1, PPage 657, Raqam Ul Hadees 2169-2168, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah, Beroot) (Nisaai Shareef, Jild 1, Page 287, Mujtaba'I Pakistan, Lahore) Imaam Abi MAnsoor Muhammad Bin Mehmood Al MA Taredi 333 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " Hazarat Hasan Basri ( رحمة الله عليه ) se Riwaayat hai k jab Nijaashi (رضي الله عنه) ka inteqaal huwa to NABI-E-KAREEM (Sallalaho Aleh Wassallam) ne farmaya k Apne Bhai k liye IStagfaar karo".. (Taawweelaat-E-Ahle Sunnah, Tafseer Ul Ma taredi, ild 2, Page 567, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot) Madeena shareef se habsha kafi door hai aur madeena shreef se hi sarkar sallallahu alaihi wasallm habsha ke baadshaah ke inteqaal ki khabar de rahe hain ye gaib ki khabar dena nahin to aur kiya hai HADEES 22: HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne Pehle hi bata diya tum mujh se Neki aur Badi ke baaray main puchne aae ho: Imaam Ismail Bin Fazal 535 Hijri main Likhte hain: Tarjama: " Hazrat Wabsah Asadi (رضي الله عنه) se Riwaayat hai keh Unhon ne kaha, main NABI-E-KAREEM ( صلى الله عليه و سلم )ki Baargah main is liye Aaya keh main NEKI aur BADI k baaray main puchon, Magar mere Puchne se Qabal HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne farmaya: " Ae Wabsah (رضي الله عنه) kiya main tumhen bata dun, jo tum mujh se Puchna Chahtay ho? Main ne Arz kiya, Ya RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh E Wassallam) mujhey bataiye, Farmaya tum Muhj se Neki aur Badi k Baary main Puchne Aae ho?? Main ne Arz kiya.. Qasam hai us Zaat ki jis ne AAP ko Haq k Saath Mab'oos farmaya, AAP ne Bilkul Sahi farmaya.. Farmaya NEKI woh AMAL hai, jis se Inshiraah e Sadar tumhen Haasil ho, aur BADI woh hai, jis se tumharay Dil main Inqabaaz ho, Agar Chay Logon ne tumhen is ko karne se Kaha ho.. (Dalael Un Nabuuwah, Page 115, RaqamUL Hadees 119, Matboo'a Daar Ut TAEBAH Riyaaz) Imaam Daarmi (RehmatULLAH) likhte hain: Tarjuma: " Hazrat Wabsah Asadi (رضي الله عنه) Bayaan karte hain, k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Wabsah se farmaya tum NEKI aur GUNAH k Muta'alliq puchne aae ho?? Unhon ne kaha jee haan.. (Sunan Daarmi, Jild 2, Page 320, RaqamUL Hadees 2533, Daar Ul Kitaab Ul Arbi, Beroot) Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم ) ne Irshaad farmaya Ae Wabsah (Razi ALLAH Anhu)! Kiya main tumhen bata dun jo tum mujh se Puchna chahtay ho?? Mene Arz kiya Ya RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) mujhe bataeye.. Farmaya tum mujh se Neki aur Badi k baaray main Puchne aae ho, Wabsah (Rzai ALLAH Anhu) ne farmaya AAP ne bilkul Sahi farmaya".. (Musannad Ahmed, Jild 4, Page 228, Matboo'a Mo'sasta, Qurtuba Misar) Imaam Jalaal Ud Deen Suyooti 911 Hijri main Riwayat karte hain: Tarjuma: " Imaam Ahmed O Bazaar, Abu Ya'ali, Behki aur abu Nu'aim ( رحمة الله عليه ) ne Hazrat Wabsah (رضي الله عنه) se Riwaayat ki , Unhon ne kaha main NABI-E- KAREEM (رضي الله عنه) ki Baargah main is liye Aaya keh MAin NEKI aur BADI k Baaray main Puchon Magar Mere Puchne se Qabal HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne farmaya: Ae Wabsah (Razi ALLAH Anhu)! kiya main tumhen yeh na bata dun jo tum mujh se puchna chahtay ho?? Mene Arz kiya, YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) mujhey bataiye, Farmaya Tum Mujh se NEKI aur BADI k Baaray main Puchne aae ho?? Mene Arz kiya, Qasam hai us Zaat ki, jis ne AAP ko HAQ k saath Mab'oos farmaya, AAP ne Bilkul Sahi Farmaya.. Farmaya NEKI woh AMAL hai, jis se Inshrah Sadar tumhen Haasil ho, aur BADI woh hai, jis se tumharay Dil main Inqabaaz ho, Agar Chay Logon ne tumhen is ko karne se Kaha ho.. (Khasa-e-Sul Kubra, Jild 2, Page 171, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot) Ab AAP hi Bataen, keh Kisi k DIL ki Baat jaan lena, kiya hai?? Kiya yeh ILM-E-GAIB nahin?? HADEES 23: * YEH BAKRI BAGER IJAAZAT K ZIBAH HUWI HAI: Imaam Jalaal Ud Deen Seyooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjuma: " Baihaqi ( رحمة الله عليه ) ne ek Ansaari se Riwaayat ki , us ne kaha keh ek Aurat ne NABI-E-KAREEM (Sallalaho Aleh Wassllam) k khaanay ki daawat ki , jab Khaana rakha gaya to HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم )ne ek Luqma le kar Moun main chabaya to farmaya, main is Gosht ko is Bakri ka pata hun, jise Na Haq pakar liya gaya tha, Us Aurat se Pucha gaya, us Aurat ne kaha, keh is ki Hamsaaya ne us Gost ko apne Shohar ki Ijaazat liye Bager Bheja tha".. (Khasaes Ul Kubra, Jild 2, PAge 176, Matboo'a Daar Ul Qutub, Ilmiyah Beroot) (Dalael Un Nabuwwah, Jild 6, Page 310, Matboo'a Dar Ul kutub ilmiyah Beroot) Imaam Abu Daaood 275 Hijri main Riwaayat karte hain: Tarjama: " Ansaar k ek Aadmi se Riwaayat hai, keh hum RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassllam) ke saath ek janaazay main gae, AAP Qabar Khodney waaalay ko Waseeiyat farma rahe the, keh Peron ki Jaaanib se QABAR ko kushaada karo, aur Sar ki Jaanib se QABAR ko Kushaadah karo, jab AAP waaapis huwe to ek Aurat ki taraf se Daawat dene waala aaya, AAP ne us ki Daawat ko Qubool kar liya, aur Hum bhi AAP k Saath the pas khaana laaya gaya, AAP ne apna Haath rakha, phir Qoum ne Apna Haath rakha, Sab ne khaaya Hum ne HUZOOR ( صلى الله عليه و سلم ) ki taraf dekha, AAP apne Moun main ek Luqma chaba rahe the, AAP ne farmaya, Muhjey yeh ILM huwa hai, k yeh US Bakri ka Ghosht hai, jise us k MAalik ki marzi k Bager Laaya gaya hai, Phir us Aurat ko Bulaaya gaya, us ne kaha YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) main ne kisi ko Mandi ki taraf bheja tha, Taa keh Meray liye Bakri khared li jae, to bakri nahin mili, mene Apne Parosi ko pegaam bheja, Jis ne ek bakri khareedi thi, keh woh Bakri Qeemat k Aewaz muhjey Bhej de to woh Parosi nahin mila, mene us ki biwi ko Peghaam bheja, to usne woh Bakri mujhey de Di, tab RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassllam) ne farmaya, yeh Khaana QEDIYOn ko khila do ".. (Sunan Abi Daa'ood, Baab Fi Ijtanaab Us Shubhaat, Jild 3, Page 244, Raqam Ul Hadees 3332, MAtboo'a Daar Ul Fikar, Beroot) Imaam Ali Bin Umar Al Daar Qatni Ul Baghdaadi 385 Hijri main likhte hain: Tarjuma: " AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, main is GHOSHT ko is Bakri ka paata hun, jis
Sign In or Register to comment.
|Donate|Shifakhana|Urdu/Hindi|All Sunni Site|Technology|