★بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم★لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ★اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ★
YaNabi.in
~@ Qurbani ka jaanwar kaisa hona chahiye ??? @~ - Mas'la Masayel Discussions on

~@ Qurbani ka jaanwar kaisa hona chahiye ??? @~

~@ Qurbani ka jaanwar kaisa hona chahiye ??? @~

<<<------Part 1------>>>
Qurbani ke janwar 3 qism ke hai...
(1) UNT (Camel)
(2) GAYE (Cow)
(3) BAKRI (Goat)
har qism me uski jitni jaat hai sab is me Dakhil hai....
Nar,mada,khassi aur gair khassi sab ka ek hukm hai
yaani sab ki Qurbani ho sakti hai...
BHAINS GAYE me shumar hai iski bhi Qurbani ho sakti hai...
<<<------Part 2------>>>
QURBANI KE JAANWAR KI UMAR YE HONI CHAHIYE...
● UNT 5 SAL KA
● GAY 2 SAL KI
● BAKRI 1 SAL KI
is se umar kam hogi to Qurbani jayaz nahi zyada ho to afzal hai..
Haan DUMBA ya BHED ka 6 mahine ka bacha ho aur door se Dekhne me 1 saal ka lagta ho to us ki Qurbani jayaz hai...
<<<------Part 3------>>>
Qurbani ka janwar Aibdar (Nuksanwala) na ho
Agar thoda sa Aib ho to Qurbani ho jayegi magar makruh hogi...
aur zyada aib ho to Qurbani hogi hi nahi !
● jis ke paidaish se sing na ho uski Qurbani jayaz hai,
Aur agar sing the magar tut gaya aur jad tak tuta hai to na jayaz hai is se kam tuta hai to jayaz hai.
● bhege janwar ki Qurbani jayaz hai...
● Andhe janwar ki Qurbani jayaz nahi...
● kana jiska kanapan zahir ho uski bhi Qurbani jayaz nahi...
● langda janwar jo zabah karne ki jagah tak apne paw se na ja sake Qurbani jayaz nahi...
● janwar ke kan ya Dum Kate ho yani kan dum tihai se zyada kate ho in sab ki Qurbani na jayaz hai...
● kan ya Dum tihai ya us se kam kati hai toh Qurbani jayaz hai..
● jis janwar ke paidaish se kan na ho ya ek kan ho us ki Qurbani jayaz nahi...
● jis janwar ke kan chote ho uski Qurbani jayaz hai...
● jis janwar ke Dant na ho ya than kate ya khushk ho uski Qurbani jayaz nahi...
● Bhed ya Dumba ki un(bal) kat li gayi ho uski Qurbani jayaz hai. .
........................................
��● Aalamgiri
● DURRE MUKHTAR
● BAHAR E SHARIYAT
جزاك الله خيرا... For reading
~@Aye Kash Main bhi Hajj kar pata @~
HAJ KI FAZILAT HADEESO ME :
1) HAJ kamzoro keliye jeehad hai.
(daarmi, part 2, page 45, hadees 1785)
2) HAJ un gunaho ko door kar deta hai jo peshtar (pehle) huwe hai.
(ibne maaja, part 3, page 414, hadees 2902)
3) jis ne HAJ kiya aur rafat (buri baat) na kiya aur Fisk (gunah) na kiya to gunaho se paak hokar aisa lauta jaisa us din ke maa ke pait se paida huwa.
(muslim sharif, page 74, hadees 121)
4) HAJ aur UMRAH mohtaji ko aise door karte hai, jaise bhatti lohe (iron) ko aur chandi (silver) aur sone (gold) ke mel (zang) ko door karti hai.
(bukhari sharif, part 1, page 512, hadees 1521)
Aye Kash humein bhi yeh saadat naseeb hoti... 
جزاك الله خيرا... For reading
~●~●~●~●~
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ
(صلی اللہ علیہ وسلم)
~●~●~●~●~
Sign In or Register to comment.
|Donate|Shifakhana|Urdu/Hindi|All Sunni Site|Technology|