★بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم★لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ★اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ★
YaNabi.in
Nashbandi Islam me haram he - Mas'la Masayel Discussions on

Nashbandi Islam me haram he


mohammad Asif daddy 
Hazrat shaadi k ba'ad aksar ye dekha gaya hai log kuch saal k liye family planing ka sochtay hai or bacha nahi paida kartay or usko rok nay k liye mard ya aurat jo bhi chezzay istemaal kartay hai kiya aisa karna sahi hai 
Or hazrat do yaa teen bacho k ba'ad aurto ka apni bachay daani nikalwa daalna or mardo ka nasbandi karwaana yaa fir pehlay jo humne bataaya usi tarha bachay rokna sahi hai hazrat 
Aap se guzaarish hai ki quraan or hadees ki roshni mai jawab inaayat farmaaye

بسم الله الرحمن الرحيم

والصلاة والسلام علي خير خلق الله أجمعين سيدنا محمد عليه
وعلي آله وأصحابة وزريتة وزوجاته أفضل وأزكي الصلاة السلام

Bachha nahi ho iske liye dawa karwana
Nasbandi karwana
Ya
Bachha daani nikalwa dena ye sakht HARAM hai..k ye BACHE KO QATL KARNA HAI..

Hurzur Muftie Aazam MUJADDID IBNE MUJADDIDE A'ZAM alaihirrehmah
Tehreer farmate hain k:
“ZABTE TAULEED K LIYE MARD KI NASBANDI YA AURAT KA OPERATION MUTA’ADDID WUJOOH SE SHAR’N NAAJAEZ O HARAM HAI..IS ME ALLAAH KI PAIDA KI HUEE CHEEZ KO BADALNA HAI..
OR
YE QUR’AN O HADEES KI NAS SE NAJAEZ O HARAM HAI..QUR’AN E AZIM ME HAI K
‘or zaroor unhe kahunga(shaitan bola)k woh ALLAAH ki paida ki huee cheeze’n badal denge..’
(para..5..sora e nisa..aayat no..119)

Tafseere saawee me hai:
‘OR ISME SE HAI JISM KI TAGHAIYYUR’..
OR
Tafseere kabeer me hai k:
“yaani is aayat me Taghaiyyure Khalq ka maanaa KHASSI karna waghera hai..”

Bukhari w Muslim ki hadees hai k:
“yaani Allaah ki laa’nat un awrato’n par jo Allaah ki paida ki huee cheez (jism ki qudrati banwat) ko badalne waali hain..”
Neez
Isme yaani NASBANDI me be waj’he shar’ee 1 nas or azw kaata jata hai,woh bhi aisi Nas aisa azw jo TAWAALUD o TANASUL ka ZARIYA HAI..
Or
Be zaroorate shar’ee Doosre k Saamne SATR woh bhi SATRE GHALEEZ khola jata hai..or usko chhoota bhi hai..
Or
Ye teeno umoor bhi HARAM HAI..
JAISA K FIQAH KI KITABO ME HAI..
OR
YE QAATAE TAWALUD HONE K SABAB MAANA KHASA ME DAAKHIL HAI..
OR INSAAN KA KHASSI HONA OR KARNA BHI BA NASSE QUR’AN O HADEES HARAM HAI..
NEEZ
HADEES ME
Huzoor alaihissalam ne farmaya:
“jis ne doosre insaan ko khassi kiya ya khud khassi hua woh ham me se nahi..”

Phir ye
Sochna k kasrate awlad MUFLISI KA BAAES HAIN “GHALAT”hain..
Balki
ALLAAH W RASOOL ki NAAFARMAANI wa BE HAA’EE k kaam MUFLISI k ASBAAB HAIN..
Maula ta’ala fermata hai:
‘APNI AWLAAD KO QATL NA KARO,MUFLISI K BAA’ES..HAM HI TUM’HEN OR UNHE’N SABKO RIZQ DENGE,OR BE HAYA’EYO’N K PAAS NA JAO,,JO UN ME KHULI HAIN OR JO CHHUPI HAIN.. ’
(para.8.soora e in’aam..aayat no..151)

***AL HAAASIL***
NASBANDI
YA
OPERATION
SHARI’ATE ISLAMIYAH ME HARGIZ “JAEZ NAHI”..
LIHAAZA IS SE NAFRAT O EHTIYAAT LAAZIM HAI..
(Fatawa Mustafawiyyah,page..531)
والله تعالى اعلم بالصواب


(By Hazrat Maulana Sayyed Minhaaj Raza Hashmi Miya Daamat Barkaatuhumul aaliya
Naazim E Aa'la Darul Uloom Faizaan E Mufti E Aazam, Phool Gali Mumbai-3).
Sign In or Register to comment.
|Donate|Shifakhana|Urdu/Hindi|All Sunni Site|Technology|