★بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم★لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ★اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ★
YaNabi.in
Mardh Ki.Namaz Padhne Ka Tariqa Ba Hawala - Mas'la Masayel Discussions on

Mardh Ki.Namaz Padhne Ka Tariqa Ba Hawala

edited October 2016 in Mas'la Masayel
Hanfi Namaz :-Quran-O-Hadith Ki Roshni Me Mustnad Hawalo Ke Sath
Namaz ka Wo Tariqa Bayan Kiya Jaata Hy Jo Huzur Sallallahu Alaihi Wasalam Ki Namaz Ka Tariqa Hy, & Fiqh Hanfi isi Ke Mutabiq Hy.
1>Namaz Padhne Ka Masnun Wa Mustahab Tariqa Ye Hai K Namaz Padhne Wala Bawuzu & Namaz Ki Tamam Sharto Ka Paband Hokar 2no Qadmo Ko Karib Rakhkar Khada Ho { Al-Mugni V,2 P.11 }
2> Fir Niyyat Kare. {Bukhari V,1 P,4}Niyyat K Baad Dono Haath Kaano Tak uthay.{Sharhe Ma'ani Al Aasar V.1 P.116}Aurat Haatho Ko Kaandho Tak uthae{Musannaf ibne Abi Shibah V,1 P,270, Kanzul ummal V,3 P,175, Muajtte Kabir V,22 P,20 }
3>Taqbire Tahrima Haath uthane K Baad Allahu Akber Kahe {ibne Maja P,58} iske Baad Dono Haatho Ko Naaf K Niche Baandhle is Tarah K Daahini Hatheli Baayi Hatheli Ki Pusht Par Ho & Sidhe Anguthe & chhoti ungli ka Halka Karke Baae Panje Ko Pakad Le, Fir Baaki 3 ungliya Baayi Kalaai Par Rakh De.{Musannif ibne Abi Shibah, V.1 P.427 Sunan Abi Daawud V.1 P.274, Musnad Ahmed V.1 P.280 Aasarul Sunan V.1 P.69/71 Zujajatul Masabih V.1 P.233 Aini Sharhe Bukhari V.5 P.279 Nahal V.3 P.30}
Aurto Ko Sine Par Haath Bandhna chaahiye., (Sa'ayah V.2 P.16) 
Haath Baandhne K Baad "Sana" Aahisha Padhe ( Tirmizi V.1 P.57).
iske Baad "Aauzu Billahi Minash ShaitanirRajim & Bismillahirrahmanirrhim" Aahista Padhe.( Kitabul Aasar P.22 Sunana Nisaai V.1 P,144, Aasarul Sunan V.1 P.73) iske Baad Qir'at Kare ( Surah Muzzamil Aayat.20) Qir'at Me Sura Fatiha Ke Baad Kam Az Kam Kisi Bhi Surah Ki 3 Aayat Ya 1 Aisi Aayat Jo 3 chhoti Aayato K Barabar Ho Padhe( Bukhari V.1 P.109 Tirmizi V.1 P.55) ...
Jam'at Ki Surat Me Muqtdi Ko Surah Fatiha Aur zimma Surah Nahi Padhna chaahiye.( Surah Ae'araf Aayat.204 Bukhari V.1 P.111 Muslim V.1 P.274 ...
Ibne Maja P.64 Motta imam Maalik P.29 Sarhe Ma'ani Al Aasar V.1 P.121 ..
Tirmizi V.1 P.43/72 Zuja'jatul Masabih V.1 P.250 Daare Kutni. P.126 Abu Dawood V.1 P.119) .."Walad Daallin" Kahne Ke Baad Tanha Namaz Padhne Walo ko Aur Jam'at Ki Surat Me imam Aur Muqtadi Dono Ko Aahista Aamin Kehna Chaahiye.( Tirmizi V.1 P.58 Kitabul Aasar P.126 Kanzul ummal V.4 P.249 Aasarul Sunan P.99 Sharhe Ma'ani Al Aasar V.1 P. 120 A'alaasSunan V.1 P.244 Mu'ariful Sunan V.2 P.406 "Ruku'a" Surah Fatiha Ke Baad Zimma Sura Ke Baad "Allahu Akbar" Kehte Huve Ruku'a Kare.( Mishkat V.1 P.67 ) .Ruku'a is Tarah Kare Ke Dono Ghutno Ko Dono Haatho Ki ungliya Kholkar Mazboot Pakad Le.( Aasarul Sunan V.1 P.112.) Ruku'a Ki Haalat Me Sar Aur Pith Ko Barabar Rakhna chahiye.( Ibne Maja P.62 .. Mishkat V.1 P.75 ) Ruku'a Me Kam Az Kam Tin Martaba " Sub'han Rabbiyal Azim " Kahe.Tirmizi V.1 P.60 ) Fir " Samiallahu Liman Hamidah" Kehte Huve Sidha Khada Ho Jaae,Aur " Rabbana Lakal Hamd" Kahe( Bukhari V.1 P.109 ) Jam'at Ki Soorat Me Imam Ko " Samiallahu Liman Hamidah" Aur Muqtadi Ko " Rabbana Lakal Hamd" Kahana chahiye.. ( Bukhari V.1 P.101 ) Ruku'a Me Jaate Waqt Aur Ruku'a Se uthtne Ke Baad Haatho Ko uthana Nahi chahiy
( Muslim V.1 P.181 ,Tirmizi V.1 P.99 ,Nisaai V.1 P.61 ,Abu Dawood V.1 P.109 Majmaul Zawaid V.3 P.109 , Sharhe Ma'ani Al Aasar V.1 P. 113/132/133 , Zuja Jatul Masabih V.1 P.231 , Aasarul Sunan V.1 P.109) Fir "Allahu Akbar" Kehte Huve Sajda Me Jaae is Tarah Ke Haatho Se Pehle Ghutne Zameen Paq Rakhe ( Tirmizi V.1 P.61 )  & Peshani Dono Hatheliyo K Darmiyan is Tarah Rakhe K Anguthe Kaano Ki Lau K Barabar Me Ho (Sharhe Ma'ani Al Aasar V.1 P.151 )  & Peshani ,Naak, Dono Haath, Ghutne & Pairo Ki ungliya Zameen Par Lagi Rehna Zaroori He ( Bukhari V.1 P.112 )  & Baazu Bagal se, Pet Ko Raano Se Raan Ko Pindali Se & Kohaniyo Ko Zameen Se Alaahida Rakhe.( Abu Dawood V.1 P.130)Aurat Halate Sajda Me Baazu ko Bagal Se Pet Ko Zaanu Se Raano Ko Pindli Se & Kohniyo Ko Zamin Se Milaakar Rakhe,( Musannif ibne Abi Shaibah V.1 P.302/3


viset.www.yanabi.in

Comments

Sign In or Register to comment.
|Donate|Shifakhana|Urdu/Hindi|All Sunni Site|Technology|